~Past
Aglay chand haftay Aleeza ko aik baar phir hospital ke chakkar laganay mein guzaarne pade. Usay achanak appendix ka problem hwa aur bohat emergency mein operation karwana para. Operation theek ho gaya magar ghar anay ke dosray din bath room jatay hue giri aur us ke tankay toot gaye .
Dobarah tankay lagwanay ke baad aik hafta tak woh bukhaar mein mubtala rahi. Us ka wazan bohat taiz raftaari se kam hota raha. Is tamam arsa ke douran Umar se aik baar bhi us ki baat nahi hui. Woh spain ja chuka tha aur wahan sher o tafreeh mein masroof tha. Jis shaam taqreeban aik mah ke baad us ne phone kiya. Us din bhi Aleeza ko bukhaar tha. Nanu ne phone par Umar ko Aleeza ke operation aur uski beemari ke baray mein bataya. Us ne Aleeza se baat karne ki khwahish zahir ki. Aleeza phone par uski aawaz suntay hi ronay lagi. Woh is ke ronay se ziyada, uski aawaz ki Saqahat par pareshan hwa tha."Alizay...! chup ho jao yaar, kya ho gaya."
Woh usay kisi bachay ki terhan behlaane laga. Woh phir bhi roti rahi."Tumhara operation to theek ho gaya hai na?"
Us ne phir bhi koi jawab nahi diya."Granny bta rahi theen. Tumhe bukhaar hai, ziyada bukhaar hai?"
Woh kisi nah kisi terhan usay khamosh karwana chaah raha tha. Woh ab bhi roti rahi."Aleeza ! mujhe takleef ho rahi hai tumahray ronay se. Plzzzz chup ho jao."
Woh chup nahi hui."Mujhe batao mein kya karoon?"
Usne bilakhir thak kar kaha."Mein ne aap se kaha tha. Aap wapas aa jayen. Aap nahi aaye. Pata nahi har koi mere sath jhoot kyun bolta hai..."
Usne hichkiyon aur siskariyon ke darmiyan kaha aur aik baar phir ronay lagi."Mein ne tum se bilkul jhoot nahi bola. Mein kal nahi to parson jo bhi flight millti hai, us se ajata hon. Ab to rona band kar do."
Iss baar Alizeh bakai chup ho gayi."Aap sach keh rahay hain? “
"Bilkul sach keh raha hon. Mein bas aa jata hon agar tumhari zid yahi hai to theek hai. Mein tumhari baat maan laita hon. Ab mujhe batao tum kaisi ho?"
"Mein theek hon."
Ronay se is ke sir mein dard honay laga tha ."Medition le rahi ho?"
"Haan."
"Aur khana?"
"Wo bhi."
"Tumahray liye kya le kar aon yahan se?"
"Pata nahi."
"Theek hai mein apni marzi se kuch bhi le aon ga. Tum bas yeh karo ke mere anay tak apna bukhaar khatam kardo. Mein kam az kam tumhe bistar mein dekhna nahi chahta."
"Nanu kehti hain, mein har waqt laitee rahon, aap kehte hain, mein bistar mein nazar nah aon. Phir mein kya karoon?"
Us ne be chaargi se kaha."Tum apna bukhaar khatam kar do, taa ke Granny ko tum se yeh kehna nah parre."
Woh ab bhi bachon ki terhan usay behla raha tha."Aap kal ajayeen ge?"
Woh is ki baat ke jawab mein is se poochnay lagi."Kal ya parson magar aajaon ga."
Us ne yaqeen dilaya .☆☆☆
Aur teesray din woh waqai us ke samnay tha. Aleeza ko us din bhi halka halka bukhaar tha aur woh apne kamray mein thi.
Jab woh darwazay par dastak day kar andar daakhil hwa. Woh usay dekh kar be ikhtiyar muskurany lagi magar Umar usay dekh kar fikar mand ho gaya. Aleeza apne bistar se uth kar baith gayi. Woh seedha us ke paas aakar baith gaya.
"Come on Alizeh...Kya haal banay hua hai tumne apna. Mein to pehchan hi nahi saka."
Woh us ke kandhay par baazu phelaye keh raha tha. Woh muskarayi. Us ki fikar mandi usay achi lag rahi thi. Us ke khush honay ke liye itna hi kaafi tha ke woh sirf us ke liye itni daur se sab kuch chore kar aa gaya tha.
YOU ARE READING
Amar Bail
RomancePresenting The Novel "Amarbail" written by Umera Ahmed in English language. Join the heart-wrenching journey of Aleezay Sikandar and Umar Jehangir. A story that beautifully portrays the intensity and sacrifices that love can entail. © All Rights Res...