Aglay din woh shaam ko Shehla ke sath KFC gayi, jab aik lambay arsay ke baad usne Umar ko wahan dekha. Aleeza aur us ki table ke darmiyan kaafi faasla tha aur yeh sirf aik ittafaq hi tha ke Aleeza aur Shehla ki apne table ki taraf barhatay hue us par nazar par gai. KFC mein us waqt khasa rush tha aur shayad yeh rush hi tha jis ki wajah se Umar unhen nahi dekh saka. Woh aik table par betha khana khanay mein masroof tha magar uski table par aik aur fard bhi mojood tha. Yaqeenan uske sath koi aur bhi tha.
Shehla ne Umar ko nahi dekha aur Aleeza ne Umar ki wahan mojoodgi ke baray mein usay bataya bhi nahi, woh dono khana khatay hue baatein karti rahen magar waqtan fawaqtan Aleeza ki nazarein us table ki taraf jati rahen jahan par Umar betha tha.
Shehla ke sath khana khatay hue usne soft drink ka aik ghoont piya aur phir usay jaisay achho sa laga.
"Kya hwa Aleeza?"
Shehla ne dekha jo apne mun ko saaf karte hue kuch hakka bakka Umar ke table par baithy hue dosray shakhs ko dekh rahi thi. Woh Junaid Ibrahim tha..Woh palken jhapkaye baghair Junaid ko Umar ke samnay baithy dekhatii rahi, us ki bhook urr gayi thi. Woh dono khana khatay hue aik dosray se baton mein masroof thay. se.
"Tumhe kya hwa, kha kyun nahi rahen tum?"
Shehla ne usay mutwajjah kiya magar usne Shehla ki baat par dheyaan nahi diya. Woh abhi bhi unhi dono ko dekh rahi thi.Shehla ne uske tasurat ko note kiya aur gardan mourr kar us simt dekha jahan woh dekh rahi thi. Chand lamhoon ki justojoo baad uski nazar Umar aur Junaid par par gai.
"Umar junaid ke sath kya kar raha hai?"
Shehla ne be ikhtiyar gardan seedhi karte hue herani se kaha."Meri zindagi tabah karne ki koshish."
Aleeza ne un dono se nazrain htaye baghair talkhi se Shehla se kaha. Shehla kuch nahi sabhi. Usne aik baar phir gardaan mourr kar Umar aur Junaid ko dekha."Kya yeh aik dosray ko jantay hain?"
Shehla ne kuch najas amaiz andaaz mein poocha."Us se kya farq parta hai ke yeh aik dosray ko jantay hain ya nahi. Umar zaroorat ke waqt gadhay ko bhi baap bana lainay wala aadmi hai aur is waqt gadha Junaid hai. Umar se ziyada achi terhan koi kisi ko istemaal karne ka fun nahi jaanta. Badshah hai woh us kaam mein."
Usne kook ka ghoont le kar apna ishtial kam karne ki koshish ki."Aaj kal usay ju6naid ki zaroorat hai to Junaid haazir hai."
"Kyun Junaid ki kya jarurat hai usay? Us se kya talluq hai us ka?"
Shehla ne tissue se mun puchhte hue kaha."Junaid ke zariye mujhe pressurize kiya ja sakta hai na. Junaid ke zariye mujh se saari maloomat aur khabrain li ja sakti hain Saleha ke baray mein. Aur us ke source of information ke baray mein."
Usne be dili se burgar uthaya."Junaid ko istemaal karna Umar jaisay aadmi ke liye kya mushkil hai. Mein bhi heran thi ke Junaid aakhir is saaray muamlay mein itni dilchaspi kyun le raha hai. Usay aakhir mere aik Adad cousin ke sath kyun hamdardi ho rahi hai. Cousin bhi woh jisay woh theek se jaanta bhi nahi."
Aleeza ne aik baar phir un dono par nazar daali."Mera andaza kitna ghalat tha, mein soch rahi thi shayad Abbas ne Junaid ko pressurize kiya hoga, kyunkay Junaid ki aik behan ke sath uski dosti thi magar mein to ahmaq thi. Mujhe pata hona chahiye tha ke Umar itna gira hwa shakhs hai ke woh khud bhi is muamlay mein Junaid se baat karne mein koi aar mehsoos nahi kere ga."
Uska chehra buri terhan surkh ho raha tha."Mein ab sochti hon Shehla ! mein bohat khush qismat thi jo us shakhs ne mujhe reject kar diya warna mein us jaisay khud gharz aur ghatiya aadmi ke sath zindagi kaisay guzaar sakti thi."
"Relax itnay ghusse mein anay ki zaroorat nahi hai, hum yahan enjoy karne aaye hain. Mazeed tension lainay to nahi."
Shehla ne usay thanda karne ki koshish ki.
YOU ARE READING
Amar Bail
RomancePresenting The Novel "Amarbail" written by Umera Ahmed in English language. Join the heart-wrenching journey of Aleezay Sikandar and Umar Jehangir. A story that beautifully portrays the intensity and sacrifices that love can entail. © All Rights Res...