Ten
9 : 10 amUmar ne dressing table ke samnay kharray hokar balon mein brush kiya. Usne kal raat ko baal katwaye thay. Police force mein anay se pehlay tak woh saal mein kayi baar hair style tabdeel karne ka shoqeen tha. Das saal pehlay civil service join karne ke baad agar chay yeh shoq kuch kam ho gaya, magar khatam nahi hwa. Civil service mein woh jis had tak hair cut ke baray mein azad rawi ka muzahira kar sakta tha usne kiya. Magar police service mein aakar yeh shoq yakdam khatam ho gaya. Woh pichlle kayi saloon se mamooli si tabdeelion ke sath Crue cut ko hi apane hue tha.
Kal raat bhi usne balon ko usi andaaz mein tarshwaya tha. Do chaar baar balon mein brush karne ke baad usne brush dressing table par rakh diya. Aur perfume utha kar apne oopar spray karne laga. Spray karte hue apni gardan par nazar anay walay chand surkh nishanaat ne uski tawajah apni taraf mabzol karli.
Perfume dressing table par rakhtay hue usne gardan oopar kar ke apne coller ko kuch kholtey hue un nishanaat ko dekha. Kal shaam ko golf khailtay hue usay us jagah par achanak jalan aur kharish hui thi, yaqeenan kisi keeray ne usay kaata tha. Raat ki nisbat woh ab kuch madoom honay lagey thay. Usne kuch mutmaen hotay hue apne coller ko aik baar phir durust kiya phir palat kar apne bed ki taraf gaya aur bed side table par pari hui wrist watch utha kar apni kalayi par bandhnay laga. Wrist watch bandhnay ke baad usne bed side table par para hwa apna mobile, cigrette case aur lighter uthaya.
Dressing table ke samnay aakar usne un cheezon ko table par rakha aur stand par latki cap utaar kar pehnay laga. Cap pehan kar usne aik aakhri nazar aaiine mein apne oopar daali, phir mutmaen hotay hue usne aik baar phir mobile, cigrette case aur lighter ko utha liya. Phir jaisay usay kuch yaad aaya. Woh wapas side table ki taraf gaya. Is baar usne daraaz khol kar uske andar mojood wallet nikala aur usay apni jaib mein daal liya. Uske baad uski nazar us kitaab par pari jisay woh raat ko sonay se pehlay parh raha tha. Kitaab ko usne ondha kar ke khuli haalat mein bed side table par rakha hwa tha.
Usay herat hui, woh aam tor par kitabein kabhi bhi us terhan nahi rakhta tha. Phir usay yaad aaya raat ko woh yeh kitaab parh raha tha jab Judith ki call aayi thi. Usne phone par us se baat karte karte kuch be dhayani ke aalam mein kitaab ko book mark rakh kar band karne ke bajaye usi terhan side table par rakh diya. Woh Judith se baat khatam karne ke baad dobarah us kitaab ko parhna chaah raha tha, magar Judith se uski baat bohat lambi ho gayi aur usne jis waqt phone band kiya. Us waqt Umar ko neend anay lagi thi. Woh kitaab ki taraf mutwajjah hue baghair hi so gaya tha.
Usne kitaab uthai aur side table par rakha hwa yak mark utha kar uske andar rakha phir usay band kar diya.
Kitaab ko wapas side table par rakhnay ke bajaye woh kitabon ke us shelf ki taraf barh gaya. Usne kitaab ko us self mein rakh diya. Aglay kuch din usay itnay kaam karme thay ke usay tawaqqa nahi thi ke woh us kitaab ko parhnay ke liye ab waqt nikaal sakay ga. Kuch dinon tak apne kaam nimtany ke baad usay apna samaan pack karwana tha. Aur phir usay Lahore bhijwa dena tha. Aur uske baad usay Lahore se America jane ki tayario mein masroof ho jana tha.
Us kitaab ko woh ab shayad America ja kar hi parhnay ki fursat nikaal paata. Woh bhi us soorat mein agar woh uske zehen mein rehti. Aur woh usay America sath le jata. Warna aglay kuch saloon tak woh kitabein Granny ki anexy mein hi pari rehni theen. Woh America jane se pehlay apne samaan ko aik baar phir wahein rakhwana chahta tha. Woh soch raha tha usne Judith ko raat ko apni America wapsi ke baray mein bta diya tha. Woh be ikhtiyar chillayi thi.
"To bilakhar tum wapas aa rahay ho?"
"Haan bilakhir."
Umar uske josh o kharosh par muskuraya."Kab tak raho ge yahan?"
"Is mahinay ke aakhir tak."
Kamre ke darwazay ki taraf barhatay hue usay raat ko Judith se honay wali apni guftagu yaad anay lagi.☆☆☆
![](https://img.wattpad.com/cover/379395541-288-k129586.jpg)
YOU ARE READING
Amar Bail
RomancePresenting The Novel "Amarbail" written by Umera Ahmed in English language. Join the heart-wrenching journey of Aleezay Sikandar and Umar Jehangir. A story that beautifully portrays the intensity and sacrifices that love can entail. © All Rights Res...