☆☆☆
"Tum mujhe yeh batao ke mein is saaray silsilay mein tumhari kya madad kar sakta hon?"
Humayun Shakeel ne Ayaz Haider ke sath honay wali lambi chorrie guftagu ke baad kaha. Woh Ayaz Haider ke first cousin they aur CBR mein aik aala ohday par Faiz thay. Ayaz Haider ko kuch der pehlay unhon ne phone kiya tha.Pichlle chand dinon mein Ayaz Haider bohat saaray rishta daaron, collaeges aur doston ke sath musalsal raabtey mein thay. Akhbarat mein yeh scandal samnay anay par aur Abbas ki us mein involvement ki khabar paate hi yeh rawabit shuru ho gaye thay. Har aik unhen apne taawun aur madad ka yaqeen dila raha tha aur Ayaz Haider achi terhan jantay thay ke yeh sirf khaali baatein nahi hain. Woh log waqai har qeemat par unke betay ki madad karna chaah rahay thay.
"Mein chahta hon, Qasim Durani ko handle karne mein tum meri madad karo."
Ayaz Haider ne unki peshkash par kaha."Kis terhan ki madad?"
"Uski factories ki tax files ko zara aik baar phir kholo, tax ke muamlay mein track record kaisa hai uska?"
Ayaz Haider ne poocha. Humayun ne aik halka sa qehqa lagaya."Kaisa ho sakta. Bhai waisa hi hai jaisa chember of commerce ke kisi bhi ohdedaar ka ho sakta hai? Jo jitna bara tax chor... woh itna hi bara industrialist..."
"Yaani haath saaf nahi hain is ke?"
"Mujhe tafseel ka to pata nahi magar mera khayaal hai, yeh bhi un industrialists mein shaamil hai jo political favours ki wajah se bacha hwa hai. Prime minister ki party ko fund mein khasi lambi chorrie raqum deta rehta hai."
"Tum zaati tor par nahi jantay usay?"
"Nahi... Do chaar parties mein salam dua zaroor hui hai aur chehray se waaqif hon, magar koi lambay choray rawabit nahi hain uske sath."
Humayun ne bataya."Tumhara kya khayaal hai, uske tax record ki chhaan bin shuru honay par, oopar se mudakhlat ho sakti hai?"
"Yeh to tay shuda hai... mein ne tumhe bataya naa ke khasi barri raqum donate karta raha hai prime minister ki party ko."
Humayun ne apni raye di."Dekho, mein koi uske tax ke mamlaat theek karwana nahi chahta, nah hi mein uske khilaaf tumahray department ki taraf se koi case karwana chahta hon."
"To phir?"
"Mein sirf fori tor par usay pressurize karna chahta hon aur uske sath chember ke jo dosray log kharray hain, unhen thora sa khaufzadah karna chahta hon."
Ayaz Haider ne unke sath apna laiha amal discuss karte hue kaha."Interior minister ne mujhe bataya hai ke chember ke aik wafad ne isi saaray muamlay par un tak apna ehtijaj pohanchanay ke liye unse appointment li hai. Aur mujhe yeh khadsha hai ke yeh Islamabad chember ko bhi is silsilay mein pressurize nah kare. Uske aligi uske barray betay ka sasur hai."
"Tum Islamabad chember ki fikar mat karo. .. Sulaiman se baat krlon ga mein... woh wahan aisi koi cheez nahi honay day ga. Phir mein bhi udhar hi hon. . Pareshani wali koi baat nahi hai."
Humayun ne apne aik dost ka naam liya jo Islamabad chember of commerce ka ohday daar tha."Khaali wafood ke milnay se mein pareshan nahi hota, magar agar un logon ne koi strike ya juloos launch karne ki koshish ki to phir soorat e haal khasi kharab hogi. Media pehlay hi saaray muamlay ko bohat high light kar raha hai, unhen aur front page stuff mil jaye ga."
"Ayaz ! tum khuwa makhuwa pareshan ho rahay ho. Qasim khasa ba assar aadmi hai. Magar jahan tak aisi kisi strike ka tal'luk hai... To mujhe yeh mumkin nazar nahi aata. Chember ke election qareeb hain aur Qasim ka mukhalif group khasa mazboot hai. Aam khayaal yahi hai ke anay walay election mein mukhalif group clean swap kere ga. Qasim waisay bhi aindah elections mein hissa nahi le raha. Aisi soorat e haal mein chember ki kitni support uske paas hai. Yeh to bohat clear hai."
Humayun ne soorat e haal ka tajzia karte hue kaha.
YOU ARE READING
Amar Bail
RomancePresenting The Novel "Amarbail" written by Umera Ahmed in English language. Join the heart-wrenching journey of Aleezay Sikandar and Umar Jehangir. A story that beautifully portrays the intensity and sacrifices that love can entail. © All Rights Res...