Last Part

255 15 12
                                    

"Aleeza bi bi! aap hospital chali jayen."
Woh gaari porch mein rokkk kar abhi neechay utar hi rahi thi jab mureed baba ne us se kaha.

"Hospital kis liye?"
Usne herani se unhen dekha.

"Abbas sahib ka phone aaya tha, unhon ne kaha hai."
Mureed baba ne bataya.

"Abbas ka magar kyun?"
Usay is baar tashweesh hui.

"Bas aap wahan chali jayen."
ureed baba ne kaha.

"Nanu aur mummy kahan hain?"
Aleeza pareshan ho gayi.

"Woh log shopping ke liye gaye hain. Abbas sahib bhi unka pooch rahay thay phir unhon ne kaha ke unhen bhi pegham day den. Aur aap ko bhi. Unhone yeh bhi kaha hai ke aap apna mobile on rakhen aur unse rabita karen."
Mureed baba ne kaha .

"Kon se hospital?"
Aleeza ne gaari mein dobarah baithtay hue kaha.

"Service hospital."
Mureed baba ne kaha.

"Aap ne unse poocha ke sab kuch theek hai na?"

"Jee mein ne poocha woh keh rahay thay, koi accident hwa hai."

"Accident kis ka?"

"Umar sahib ka..."
Uske dil ki aik dharkan miss hui.

"Umar ka, woh theek to hai?"

"Aap unse baat kar len. Unhon ne jaldi phone band kar diya tha."
Mureed baba ne kaha.

Aleeza ne driving set par baith kar bag se apna mobile nikala aur usay on karte hue Abbas ke mobile par call ki. Line masroof thi. Pareshani ke aalam mein usne apni gaari bahar nikaal li. Rastay mein usne aik baar phir Abbas ko phone kiya. Line ab bhi masroof thi. Doosri baar call karne ke baad phone rakh rahi thi, jab doosri taraf se koi call anay lagi. Usne dekha, woh Abbas ka number tha.

"Hello Abbas bhai! Umar ko kya hwa hai?"
Usne call receive karte hi kaha. Doosri taraf chand lamhoon ki khamoshi ke baad Abbas ne kaha.

"Tum kahan ho?"

"Mein service hospital ki taraf aa rahi hon. Abhi gaari mein hon... Umar ko kya hwa hai?"

"Kuch nahi, mamooli sa accident hai, ab theek hai, ghabranay ki zaroorat nahi, tum aaraam se drive karo. Apni gaari mein aa rahi ho?"

"Haan."

"Aur Granny kahan hai?"

"Woh mere sath nahi hai. Shopping ke liye mummy ke sath gayi hain."

"Theek hai, tum aajao."
Woh ab usay is gate ke baray mein bta raha tha jahan se usay aana tha.

"Mein security walon ko tumhari gaari ka number day deta hon, tumhe rokain ge nahi."
Abbas ne keh kar phone band kar diya. Usne be ikhtiyar sukoon ka saans liya.

"Iska matlab hai ke Umar theek hai."
Magar phir usay khayaal aaya ke pata nahi usay kitni chouten aayi hon gi aur mein ne yeh bhi to nahi poocha ke woh zakhmi kaisay hwa hai, usay khayaal aaya.

Abbas ko dobarah phone karne ki zaroorat nahi thi kyunkay woh service hospital ke paas pahonch chuki thi aur woh wahan hospital ki chaar deewari ke bahar jagah jagah police ki gariyaan aur ahelkaar dekh rahi thi. Usay yeh cheez ghair mamooli nahi gayi. Kisi haadsay mein police ke aala Afsar ke zakhmi honay par police ki nafri ka hona zaroori tha. Aur phir woh janti thi khud Abbas bhi waha tha, wahan security ki bahar haal zaroorat thi.

Woh mutaliqa gate se andar chali gayi, andar police walon ki tadaad bahar se bhi ziyada thi, woh gaari park kar rahi thi jab uske mobile par call anay lagi. Gaari se bahar nikaltay hue usne call receive ki, doosri taraf Saleha thi. Gaari ke darwazay ko lock karte hue uski nazar syren bajati ambulance aur police ki gariyon par pari jo usi gate se andar daakhil ho rahi theen.

Amar Bail Where stories live. Discover now