Part 11

240 3 0
                                    

~Past

Nano ne khafgi se Umer ko dekha tha. "Is tarah chillane ki kya zarurat hai?"

"Granny! Baat hi aisi ki hai aap ne."

"Kyun! Aisi kya baat ki hai maine? Kya ladkiyon ki shadiyan nahi hoti?"

"Hoti hain Granny! Magar is tarah is umar mein?"

Woh ab bhi hairan tha.

"Haan! Isi umar mein, tum jante ho hamari family mein ladkiyon ki shadiyan bohot jaldi kar di jati hain."

"Haan! Pehli shadi isi umar mein kar di jati hai."

"Kya matlab hai tumhara?"

"Mera matlab bohot saaf hai Granny aur aap janti hain ke main kya keh raha hoon. Aap khud shaahid hain ke hamari family mein ladkiyon ki kam umri mein ki jane wali shadiyon mein se ginti ki shadiyan kamiyab rehti hain."

"Umer tum..."

Umer ne unki baat kaati thi.

"Granny! Please meri baat sunein. Aap ne Sameena phupho ki shadi bhi bohot kam umri mein kar di thi. Natija kya nikla, aur agar aap Alizeh ki shadi abhi kardengi to is par bohot zulm karengi."

Nano ne ek tanziya muskurahat ke sath usay dekha tha.

"Tum abhi itne bare nahi huay ke mujhe in baton ke bare mein samjhane lago."

"Main aap ko samjha nahi raha hoon, main to aap ko sirf bata raha hoon, ke aap theek nahi kar rahi hain. Shadi Alizeh ke problems ka hal nahi hai."

"Umer, tum abhi chhote ho aur itne mature bhi nahi ho ke in baton ko samajh sako."

Nano ne bari mutanat se us ko kaha tha.

"Granny! In baton ko samajhne ke liye maturity ki zarurat hai aur na hi umar ki. Jis waahid cheez ki zarurat hai woh common sense hai aur mera khayal hai yeh cheez mere paas hai."

Nano kuch dair to uski baat ke jawab mein kuch nahi bol saki thi. Woh sirf khamoshi se dekhti rahin.

"Alizeh ke sath yeh na karein, woh bilkul bachi hai."

Umer ne dheeme lehje mein Nano se kaha tha.

"Woh bachi nahi hai, satrah saal ki ho chuki hai."

Nanu ne mustahkam awaaz mein kaha tha,

"So what, Granny, satrah saal par aap uski zindagi khatam kar rahi hain. Main apni family ko samajh nahi saka, baaz cheezo mein itne broad minded baaz itne adiyal itne conservative, itne narrow minded itne paradox toh nahi hone chahiye apki zindagi mein." Woh jaise phat parha tha.

Granny ne bade pur sukoon andaaz mein uski baat suni.

"Umer, tum khwah makhwah jazbati ho rahe ho. Main ne jis shakhs ko uske liye chuna hai, woh usay bohot khush rakhega."

"Kis shakhs ka intekhab kiya hai aap ne uske liye?"

Usne kuch mutajasus ho kar poocha tha.

"Usama ka, Haseena ne do saal pehle mujh se Alizeh ke bare mein kaha tha, abhi dobarah poocha hai usne," Nano ne bade itminan se bataya tha.

Umer tanziya andaaz mein muskurane laga tha.

"Sari duniya mein aap ko Alizeh ke liye Asama hi mila hai."

Nano ne use khafgi se dekha, lekin Umer ne apni baat jari rakhi thi.

"Aur aap ko yeh khush fehmi hai ke Asama Alizeh ko bohot khush rakhega."

"Kyun ab kya takleef ho gayi hai tumhe?"

Nano ne is baar kuch jal kar kaha tha.

"Usama Alizeh ko kya, kisi ladki ko khush nahi rakh sakta biwi ke roop mein. Haan agar biwi ka rishta na ho to Usama Alizeh ko kya, har ladki ko khush rakh sakta hai."

Amar Bail Where stories live. Discover now