Part 25

270 10 0
                                    

~Present

Woh jis waqt Umar ke sath ghar pohanchi aadhi raat guzar chuki thi. Nanu gate ke chakkar lagatay hue uska intzaar kar rahi theen. Gaari ke porch mein rukhtay hi woh barq-e raftari se Aleeza ke paas agaien. Aleeza baa-mushkil apni ankhen khol parhi thi, sukoon aawar injunction ab mukammal tor par assar kar raha tha. Haari se paon bahar rakhtay hue woh larkharyi, to Nano ne usay pakar liya. Uske suje hue neeley gaal ko dekh kar un ki ankhen dubduba  gayeen.

"Tum theek ho?"
Unhon ne Aleeza se poocha.

"Haan Nanu! mein theek hon."
Woh baat karte hue diqat mehsoos kar rahi thi.

"Is ko kya ho raha hai ?"
Nano kuch ghabra gayeen. Umar tab tak driving seat chor kar peechay aa chuka tha.

"Kuch nahi Granny injunction diya hai, is liye neend aa rahi hai usay."
Aleeza ne usay kehte suna aur phir shayad usneNanu ka haath hata kar khud uska baazu pakra tha.
Aleeza baa-mushkil qadam utha parhi thi.

"Tum to keh rahay thay ke isay kuch nahi hwa magar isko to chouten lagi hain."
Nanu ne uske chehray aur haath par bandi hui bendaze ko dekhte hue gulu geer aawaz mein kaha.

"Yeh mamooli chouten hain, yeh bilkul theek hai."
Woh ab laonj mein daakhil ho gaye.

"Aleeza kon thay woh larke, kyun tum dono ke peechay par gaye thay?"
Nano ab aik baar phir us ki taraf mutwajjah huien."

"Granny Abhi is se kuch nah poucheen abhi usay sonay den."
Aleeza ke kuch kehnay se pehlay hi Umar ne Nanu se kaha.

Woh laonj mein ruka nahi is liye woh aur Nanu seedha uske kamray mein chalay gaye. Aleeza ne bed par let'te hi ankhen band kar len. Us ke jism ko ajeeb sa sukoon mila tha. Kisi ne usay aik chadar udhayi thi. Umar shayad Nanu se kuch keh raha tha, Aleeza ab us ke alfaaz ko samaj nahi parhi thi. Chand lamhoon baad us ne apne ird gird mukammal khamoshi payi, aakhri ehsas kamre mein honay wali tareqi ka tha. Phir kisi ne darwaaza band kar diya. Aglay din woh jis waqt uthi us waqt do baj rahay thay. Kuch der to usay yaqeen hi nahi aaya ke woh itni der tak soi rahi hai. Phir usey pichli raat k tamam waqeat yaad anay lagey. Us ne inhen zehen se jhatakne ki koshish ki. Us ka jism aur zehen is waqt bilkul halkay phalkay ke thay, aur woh aik baar phir tense hona nahi chahti thi. Wardrobe se kapray nikaal kar us ne shower liya aur phir apne kamray se nikal aayi. Laonj mein atay hi us ne Umar aur Nanu ko wahan baithy dekha. Umar usay dekh kar muskuraya. Woh bhi jawaban muskarayi, Nanu us ke paas aakar us ka chehra dekhnay lagen.

"Abhi bhi soojan khatam nahi hui."
Unhon ne tashweesh se kaha.

"Nahi, pehle se kuch kam hai. Magar dard kuch ziyada ho raha hai. Raat ko to chout ka itna pata nahi chala."
Aleeza ne sofay par baithtay hue kaha.

"Aik do din mein dard khatam ho jaye ga, Albata nishaan kaafi dinon tak rahay ga."
Umar ne usse kaha.

"Granny khana lagwa den is ke liye."

"Aap log khana kha yin ge?"

"Nahi, hum log khana kha chuke hain. Mein to sirf tumhara intzaar kar raha tha, mujhe wapas jata hai. Mein bas aik baar tumhe dekhna chaah raha tha."
Umar ne kaha. Nanu kitcehn mein ja chuki theen.

"Kaisa mehsoos kar rahi ho tum? "

"Mein theek hon."
Us ne muskuratay hue kaha.

"Jo bhi kuch hwa woh bohat khofnaak tha magar..."

"Mein theek hon."
Woh usay daikhta raha.

"Tum pehlay se kaafi badal gayi ho."
Kuch der baad us ne kaha, Aleeza ne choank kar usay dekha. Woh muskura raha tha.

"Much more mature and composed. ( ziyada mature aur suljhi hui )"

"Achi baat hai."

"Pata nahi shayad.."

Amar Bail Where stories live. Discover now