Part 14

317 6 0
                                    


~Past

"Mujhe Zara Masood kehte hain." Un ke taaruf ke baad us ne apna taaruf karwaya tha. Jahangir Maaz ne use khaasi gehri nazron se dekha. "Yeh jaan kar khaas afsos hua, mera khayal tha aap ko kuch aur kehte honge." Zara ne dilchaspi se unhein dekha.

"Maslan kya kehte honge? Kis zuban mein? Urdu mein ya English mein?" Jahangir ne us ki muskurahat ke jawab mein utni hi khoobsurat muskurahat thi.

"Dono mein."

"Urdu mein dilruba, dilnashain, dilkash, maahwash."

"Aur English mein?" Us ki muskurahat aur gehri ho gayi.

"Helen of Troy, Cleopatra, princess, Cynthia, moon goddess, nymph." Jahangir ki fehrist aur lambi ho jati agar Zara ke halaq se be ikhtiyar ek qahqaha na nikalta.

"Very flattering." Us ne hanste hue Jahangir se kaha. "Ek dam hi Jahangir mein us ki dilchaspi barh gayi thi.

"Khoobsurat aurat ki tareef na karna zulm hai aur main behrahal zalim nahi hoon."

Sharaab ka glass doosre haath mein muntakil karte hue us ne Zara ki baat ka jawab diya. "Ek din main kitni auraton ko is zulm se bachate hain?"

"Din mein nahi sirf raat ko. Din mein, main office hota hoon. Halankeh raat ko parties mein yeh kaam karta hoon."

Jahangir Maaz us raat pehli baar Zara se Karachi ke ek hotel mein mila tha. Woh wahan ek fashion show attend karne aya tha aur Zara models mein se ek thi. Show ke baad dinner ke doran ek dost ne un dono ko ek doosre se mutarif karwaya. Zara ko pehli hi nazar mein woh acha laga tha aur us ke saath hone wali guftagu ke aaghaz ne us ki dilchaspi ko kuch aur barha diya, jahan tak Jahangir ka taluq tha to use har khoobsurat aurat mein dilchaspi paida ho jati thi aur Zara ke liye bhi us ne aisi hi dilchaspi mehsoos ki thi.

"Parties mein us ke ilawa aur kya karte hain?" Zara ne us ke saath guftagu ka silsila barhate hue kaha.

"Yahi karta hoon jo is waqt kar raha hoon."

"Aur is waqt aap kya kar rahe hain?"

"Aap ka kya khayal hai is waqt hum kya kar rahe hain?" Jawab dene ke bajaye us ne Zara se sawal kiya.

"Hum baatein kar rahe hain."

"Aap baatein kar rahi hongi. Main baatein nahi kar raha."

"Toh aap kya kar rahe hain?"

"Main romance kar raha hoon." Us ne kamaal itmaad se kaha. Chand lamhon ke liye Zara us ka chehra dekh kar reh gayi phir be-sakhta hansi.

"Toh aap romance kar rahe hain?"

"Bilkul."

"Haar khoobsurat aurat se romance karte hain?" Is baar Zara ne bade andaaz se kaha.

"Nahi, jin se nahi milta, un se nahi karta."

Woh us ki baat par ek baar phir hansi.

"Aap khaas dilchasp baatein karte hai."

"Foreign service ka sense of humour khaasa acha ho gaya hain."

"Foreign service walo ki aur bhi sensing khasi acchi ho gayi hai. Sirf mauqa milne ki baat hai. Achhi modelling karti hain aap." Is baar us ne guftagu ka mauzoo badal diya.

"Thank you. Aap aksar fashion shows mein aate hain?"

"Aksar toh nahi magar aata jata rehta hoon."

"Is ka matlab hai aap se dobarah kabhi mulaqat bhi ho sakti hai?"

"Dobarah mulaqat ke liye kisi fashion show mein aana zaroori nahi hai. Aap jab chahen mujh se mil sakti hain. Yeh mera card hai."

Zara ne us ka card pakad liya.

Amar Bail Where stories live. Discover now