Part 7

203 5 0
                                    

~Past

Woh Nano ke peeche un ke bedroom mein daakhil ho gayi thi.

"Baitho."

Nano ne andar daakhil hote hi us se kaha tha. Woh khamoshi se sofe par baith gayi thi. Nano khud apne bed par baith gayi thi.

"Tum ne Umer se kya kaha tha?"

Chand lamhon ki khamoshi ke baad unhon ne us se usi akhrey hue lehje mein poocha tha.

"Main ne theek andaza lagaya tha. Yeh sab kuch Umer hi ka kiya dhara hai." Us ne Nano ke sawal par socha tha.

"Main samjhi nahi Nano!"

"Main ne itna mushkil sawal to nahi poocha. Sirf yeh poocha hai ke tum ne Umer ko kya kaha tha."

"Nano kis baare mein?"

"Is ghar se chale jaane ke baare mein!"

Alizeh bilkul saakit ho kar reh gayi.

"Yeh aap kya keh rahi hain Nano, main ne us se kya kaha hai?"

"Tumhari wajah se woh ghar chhod kar chala gaya hai aur tum keh rahi ho ke main ne us se kya kaha hai?"

Is baar Nano ka lehja pehle se bhi zyada talkh tha.

Woh hairani se un ka chehra dekhte rahi.

"Nano, main ne us se ghar chhodne ke liye nahi kaha, I swear! Main ne aisa kuch bhi nahi kaha."

Woh rohansee ho gayi thi.

"Toh phir woh kisi wajah ke bina ghar chhod kar chala gaya hai."

Is baar Nano ka lehja tanzia tha.

"Mujhe nahi pata ke woh kyun ghar chhod gaya hai, but believe me Nano! Ke main ne use ghar chhodne ke liye nahi kaha. Main aakhir us se aisi baat kyun kehti."

Woh apni safai dene ki koshish kar rahi thi.

"Tum ne use ghar chhodne ke liye nahi kaha magar tum ne aise halat paida kar diye ke woh yahan nahi rahe."

Woh Nano ke is ilzam par hakaabaka reh gayi.

"Nano, main ne aisa kuch bhi nahi kiya!"

"Main ne kabhi yeh nahi socha tha Alizeh ke tum is tarah ki harkatein karogi. Tum ne meri saari umar ki mehnat par pani pher diya hai."

"Nano, please! Aap is tarah mat kahain. Main ne aisa kuch nahi kiya jis ki wajah se Umer ghar chhod kar chala gaya ho."

"Alizeh! Main ne us se baat ki thi, tumhara kya matlab hai, main ne use aise hi jaane diya hai, usi ne mujhe bataya tha ke tumhein us ka yahan rehna pasand nahi hai aur woh yahan reh kar khawamakah ki tension khadi nahi karna chahta, aur main yahi jaan na chahti hoon ke tumhein us ke yahan rehne par kya aitraaz hai?"

Nano ne tez aawaz mein baat karte hue kaha tha. Alizeh ka chehra surkh ho gaya.

"Nano, woh jhoot bolta hai."

"Woh jhoota hai aur tum?"

"Nano! Us ne aap se ek baat keh di aur aap ne sochay samjhay baghair us ki baat ka yaqeen kar liya. Ab main jab explanation de rahi hoon to aap meri baat hi sunne ko tayar nahi hain."

Woh bilkul rohansee ho rahi thi.

"Aap ko Umer ki har jhooti baat par yaqeen aa jata hai magar meri baat par yaqeen nahi hai."

"Umer jhoot nahi bolta!" Nano ke jumlay ne us ki ranjidgi mein izafa kar diya tha.

"Aur main... aap samajhti hain ke main jhoot bolti hoon?"

Amar Bail Where stories live. Discover now