~Past
Woh subah ki flight se Islamabad pohanch gaya tha. Airport par usay Laiq Uncle ki bari beti Shanzeh ne receive kiya. Woh Shanzeh se pehle bhi do teen baar mil chuka tha is liye usay koi ajnabiyat nahi hui thi, magar jis mood mein woh in dino tha bohot koshish ke baad bhi woh us tarah Shanzeh se baat nahi kar saka jaise pehle karta tha. Na chahte hue bhi woh kuch khincha khincha tha aur Shanzeh ne yeh baat foran mehsoos kar li thi.
Airport se ghar jatay hue gaari mein usne Umer se khaasi baytakallufi se kaha...
"Tum kaafi serious ho gaye ho Umer. Chee mah pehle jab tum se mulaqat hui thi to tum kaafi jolly hua karte the. Ab kya hua hai?"
"Nahin, main waisa hi hoon, koi tabdeeli nahi aayi. Pata nahin tumhein kyun aisa laga hai." Umer ne muskara kar kaha.
"Chalo theek hai. Ho sakta hai aisa hi ho."
"Laiq Uncle to is waqt office mein honge?" Umer ne baat shuru karte hue kaha.
"Haan! Papa to office mein hi hain. Isi liye to main lene aayi hoon tumhe. Agar tumhari flight raat ko hoti to woh khud tumhe lene aate. Tum ab ghar jaane ke baad unhein ring kar lena. Unhone khaas tor par kaha hai."
"Main soch raha hoon ke Uncle ke office hi chala jaata hoon, wahan..."
Shanzeh ne Umer ki baat mukammal nahi hone di.
"Wahan jaane ka koi faida nahi hai. Woh aaj thodi der hi wahan rahenge. Phir unhein do teen jagaon par jaana hai. Aaj kal office mein unka zyada waqt nahi guzarta, balke kuch doosri sar-garmiyon mein masroof hain." Shanzeh ne la parwahi se kaha.
"Iska matlab hai ke aaj ka din to aise hi nikal jayega," Umer ne kuch sochte hue kaha.
"Tumhein jaldi kis baat ki hai? Aaj ka din guzar jayega to phir kya hai. Tum aaraam se yahan reh kar apna kaam karo. Din ginne ki koshish mat karo. Waise bhi Papa bata rahe the ke Uncle Jahangir ne tumhein abhi Islamabad rehne ke liye hi kaha hai."
Umer ne is baat par aik gehra saans le kar khidki se bahar jhaanka.
"Waise Umer! Uncle Jahangir ka taste bohot acha hai." Umer ne chonk kar Shanzeh ki taraf dekha. Uske honton par aik gehri muskurahat thi.
"Roshna kisi ko ghaas tak nahi daalti thi. Shaadi to door ki baat thi, magar dekh lo..." Umer ne be-ikhtiyar apna nichla hont bhinch liya.
"Maine ek do shows mein modeling ki hai uske saath, woh waqai bohot attractive aur glamorous hai," Shanzeh ab uski tareef kar rahi thi.
"Tum modeling karne lagi ho?" Umer ne jaan-bujh kar baat ka mawzu badalne ki koshish ki.
"Professionally to nahi, bas adventure ke tor par. Mummy ki ek friend ke kehne par ladies club ke ek function mein ki thi. Response bohot acha mila, aur wahin ek magazine ki editor ne ek fashion shoot ke liye kaha. Bas phir aahista aahista kuch aur fashion shows bhi milne lage. Balke ab to ek TV serial ka contract bhi sign kiya hai. Leading role nahi hai magar acha role hai. Mujhe to bas yeh khushi hai ke bohot achi cast ke saath kaam karne ka mauqa milega," Shanzeh ne bohot josh se apne baare mein tafseel se batana shuru kar diya tha.
"Achi activity hai," Umer ne sarsari sa tabsira kiya.
"Is weekend par ek fashion show mein hissa le rahi hoon, tum chalna saath," Shanzeh ne foran usay offer ki.
"Nahin, mujhe koi dilchaspi nahi hai fashion shows mein," Umer ne saaf inkaar karte hue kaha.
"Kya? Tumhein koi interest hi nahi hai, haalaanke tumhari mummy khud itni mashhoor model reh chuki hain. Phir bhi tumhein interest nahi hai?"
YOU ARE READING
Amar Bail
RomancePresenting The Novel "Amarbail" written by Umera Ahmed in English language. Join the heart-wrenching journey of Aleezay Sikandar and Umar Jehangir. A story that beautifully portrays the intensity and sacrifices that love can entail. © All Rights Res...