~Present
"Alizeh bibi, kya main yeh poday andar le jaun?"
Malaazim ne aik baar phir uski sochoun ka tasalsul tod diya tha, Alizeh ne chonk kar idhar udhar dekha tha. Sab kuch gayab ho gaya tha. Wahan sirf wohi thi aur samne pade hue paude.
"Alizeh bibi, yeh paude andar lein jaau..?"
Malaazim ek baar phir us se pooch raha tha.
Alizeh ne ek gehri saans li aur kaha, "Haan, andar le jao."
Woh uth kar khadi ho gayi aur mulaazim poday andar le jane laga tha. Aik dam hi uski dilchaspi podon se khatam ho gayi thi.
"Maali Baba, yeh kuch plants reh gaye hain, aap inhein dekh lein," kuch door lawn mein kaam karte hue Maali ko usne aawaz dekar bulaya tha aur khud andar aa gayi thi.
"Woh parso kitne baje ki flight se aayega?" andar aate hi woh ek khayal aane par kitchen ki taraf gayi thi jahan khansaman ko hidaayat dene mein masroof thi.
"Parson raat do baje ki flight se aayega," Nano ne usay bataya tha.
"Do baje ki flight se?" Woh kuch mayus ho gayi thi. "Phir to humlog use receive karne nahi ja sakenge, driver ko hi bhejna padega," usne Nano se kaha tha.
"Woh to keh raha tha ke main driver ko bhi nahi bhejunga lekin main ne zabardasti usay kaha hai ke driver ke saath aaye," Nano khansama ko hidayat dene ke dauran usse bhi guftagu kiye jaa rahi thi.
"Nano, agar hum dono use receive karne chale jayein toh..." usne kuch dair khamosh rehne ke baad kuch multiyana andaaz mein Nano se kaha tha.
"Sawaal hi paida nahi hota, raat ke do baje hum dono use receive karne chal pade, aaj kal aise halat nahi hain Alizeh is tarah ghar se nikle jaaye..tumhe andaza hona chahiye is baat ka."
"Acha Nano, phir aap mujhe driver ke saath bhej dain."
"Tumhara dimaag to theek hai, Alizeh, main isse bhi badi hikakat karu ke jawan jahan ladki ko is tarah akeli raat driver ke sath do baje airport bhej doon?"
"Nano, kuch nahi hota, please."
"Kuch bhi kehne ki zarurat nahi hai, main tumhe bilkul bhi akela nahi bhej sakti aur tumhe aakhir itni bechaini kyun ho rahi hai? Use aakhir yahin aana hai, khaali receive karne se kya hoga?"
Nano ne use daant diya tha.
"Nano, dekhein use bura nahi lagega, ke woh itne saalon baad aa raha hai aur koi use receive karne bhi nahi aaya." Alizeh ne kuch sambhalkar kaha tha. "Nahi, usey bura nahi lagega woh koi ahmaq nahi hai jaanta hai hum dono yahan akelay hain, aur is tarah raat ko use receive karne ke liye aana hamare liye mushkil hai, tumhe maine bataya hai ke woh to driver ko bhejne se bhi mana kar raha tha, yeh to maine hi zid ki thi."
"Nano, please."
"Alizeh, bachon ki tarah zid mat kiya karo bas kehdiya na use driver hi receive karne jayega," Nano ne qata'i lehje mein kehte hue jaise baat hi khatm kar di thi. Woh kuch badd dil hokar kitchen se bahar nikal aayi thi. Shaam ho rahi thi. Apne kamray mein aakar usne lights on kar li thi. Kuch der tak kamray ke beech mein khadi sochti rahi ki ab use kya karna chahiye. Use aisa lag raha tha jaise woh har kaam nipta chuki ho. Jaise karne ke liye kuch aur raha hi na ho. Kuch soch kar woh apni sketch book nikaal kar bed par aagayi thi. Farigh waqt woh isi tarah guzara karti thi.. Pehle se bane hue sketches ko pencil ke sath mazeed kuch touches deti rahi, phir khali safha nikaal kar ek naya sketch banane lagi. Sketch karte karte usay pata bhi nahi chal saka kis waqt woh woh chehra usay shanasa lagne laga. Usne hatj rok liya aur chehre ko pehchanne ki koshish karne lagi. Use bohat der nahi lagi. Woh us chehre ko woh pehchan chuki thi. Ek baar phir uska hath ravani se sketch book par chalne laga.
YOU ARE READING
Amar Bail
RomancePresenting The Novel "Amarbail" written by Umera Ahmed in English language. Join the heart-wrenching journey of Aleezay Sikandar and Umar Jehangir. A story that beautifully portrays the intensity and sacrifices that love can entail. © All Rights Res...