Part 37

150 6 0
                                    

☆☆☆

Sahafti halqon mein hukoomat ki tabdeeli ke baray mein afwahen zoroan par theen. Nah sirf mulki press balkay bainal aqwami press bhi is baray mein andazay paish kar raha tha. Aleeza ke office mein bhi roz is baray mein guftagu hoti rehti.

Yeh khabrain us waqt aur zor pakar gayeen jab fouj ke aik cover commander ne jo aik hakoomati ohday daar ke rishte daar thay Wazeer e Azam se mulaqaat ki. Aglay chand dinon mein army cheif ne unse istifa le liya. Press ki qiyaas aaraiyan theen ke unhon ne hakoomati halqon ko aagey ke plan of action ke baray mein mutala karne ki koshish ki thi.

"Hukoomat ab bas kisi waqt bhi ja sakti hai kyunkay tamam tayyariyan poori ho chuki hain. Beurocracy ke barray barray naam jin ki is hukoomat mein rishta dariyan hain un mein se aksar taweel rukhsat par mulk se bahar ja chuke hain ya ja rahay hain aur yeh woh log hain jo oodati chirya ke par gin letay hain. Wazeer chahay jitne bhi bayan kyun nah dete phiren ke hukoomat ko koi khatrah nahi hai. Un ki baat par yaqeen nahi kiya ja sakta."
Us din bhi lunch break mein yahi discussion ho rahi thi aur Asad humayun barray zor o shore se apna tabsarah kar raha tha. Aleeza lunch karte hue wahan honay wali guftagu suneney mein masroof thi. Woh khud aisi guftgu mein hissa nahi layte thi.  Uski wahid sargari har aik ki raye ko ghhor se sunna hota tha.

"Khaas tor par woh beurocrates jin ke rishta daar army mein hain, unhen to pehlay mein di ja rahi hain."
Maqsood Jaffer ne guftagu mein shaamil hotay hue kaha.

"Aik hoti hai military beurocracy, aur doosri hoti hai soul beurocracy. Pakistan mein dono baari baari hukoomat karte hain. Mil kar khatay hain mil kar atay hain."
Asad humayun ki baat mein Maqsood Jaffer ne lakada lagaya.

"Magar mil kar jatay nahi hain."

"Jayen ge kyun, abhi is malik ki ragon mein khasa khoon hai. Aglay kayi saal choosa ja sakta hai."
Is baar Saleha ne tabsarah kiya tha.

"Har chay mah baad fouj ke anay ki afwaah gardish karne lagti hai. Meri to yeh samajh mein nahi aata ke aakhir hum kab tak afwahon par is terhan discussion karte rahen ge."
Is baar Asmat ne kaha tha.

"Journalists ka kaam hi afwahon ko discuss karta hota hai. Aap ko hamari baton par yaqeen aaye ya nah aaye magar is baar aap meri khabron ki sadaqat par yaqeen le ayen gi."
Asad humayun ne Asmat ki baat ke jawab mein kaha tha, Asmat ne jawab mein kuch kehnay ke bajaye chaye peenay par iktifa kiya tha.

Magar Aleeza soch mein doobi hui thi, kya chand din pehlay Umar Jahangir isi tabdeeli ki baat kar raha tha. Is ke baad woh aik behtar position mein aa jaye ga. Woh soch rahi thi.

Kya uske khilaaf honay wali inquiry... Kya uski taraf se ki jane wali press conference aik sochye samjhi scheme ka hissa hai aur woh aakhir us se kya aydwantij haasil kar sakta hai. Aur fouj agar hukoomat mein aa bhi gayi to Umar Jahangir ko is se kya haasil ho sakta hai.

Usay bohat saaray sawal pareshan kar rahay thay. Uske saaray salawon ke jawab usay aglay haftay mil gaye thay. Mulk mein fouj ne hukoomat sambhaal li thi aur hukoomat sambhalay ke baad jo mukhtalif notification jari kiye gaye thay un mein se aik kuch sarkari afsaron ki bahaali ka bhi tha aur un sarkari afsaron mein Umar Jahangir bhi shaamil tha. Usay nah sirf bahaal kar diya gaya tha balkay us shehar mein dobarah tainaat kar diya gaya tha jahan woh pehlay posted tha. Uski inquiry ka kya bana? Uske baray mein koi ittila nahi thi. Hukoomat waisay bhi itnay zaroori kamon mein uljii hui thi ke Umar Jahangir jaisay aik mamooli Afsar ke case ke liye uske paas waqt nahi ho sakta tha. Aur press khud bhi hukoomat ki har nai hikmat e amli ko follow karne mein itna masroof tha ke Umar Jahangir yakdam jaisay back ground mein chala gaya tha.

Aakhir kar woh Aleeza Sikandar thi aur Saleha Parwez  ne uski bahaali ki khabar office mein discuss honay par Saleha ne us se kaha tha.

"Tumhara cousin waqai bohat khush qismat hai. Har baar makhan se baal ki terhan nikal jata hai ya nikaal liya jata hai. Waqai uski qismat kisi khaas qalam se likhi gayi hai."
Aleeza janti thi, yeh tareef nahi thi. Saleha khasi mayoos nazar aa rahi thi. Saleha ne apni baat jari rakhtay hue kaha.

Amar Bail Where stories live. Discover now