Part 34

244 10 0
                                    

☆☆☆

Junaid ne hamesha ki terhan raat ko usay phone nahi kya. Apne kamray mein anay ke baad woh bed par laitee kaafi der tak la shaori tor par uske phone ka intzaar karti rahi. Aglay din subah uska mood bohat kharab tha. Office jane ko bhi jee nahi chaah raha tha, magar us din usay office mein kuch zaroori kaam niptaane thay.

"Junaid ko phone kiya tha raat ko mein ne."
Nashtay ki maiz par Nanu ne usay bataya. Aik lamha ke liye nashta karte hue uske haath ruke phir woh dobarah nashta karne mein masroof ho gayi.

"Woh to keh raha tha ke tum dono ke darmiyan koi jhagra nahi hwa."
Nanu chaye cupp mein daaltay hue keh rahi theen.

"Woh keh raha tha ke sirf tumhara mood kharab tha. Shayad office ki kisi masrufiyat ki wajah se."

"Mein ne aap ko pehlay hi kaha tha ke uske sath mera koi jhagra nahi hwa."
Aleeza ne sir jhatakte hue kaha.

"Aap khuwa makhuwa pareshan ho rahi hain. Aap ko usay phone hi nahi karna chahiye tha."

"Tumhara mood kis wajah se kharab hai?"
Nanu ne uski baat par tawajah diye baghair us se poocha.

"Koi mood kharab nahi hai mera"
Woh apni plate par jhukatey hue bud budai.

"To phir junaid aisa kyun keh raha tha?"

"Ab yeh aap Junaid se hi pooch litin to behtar tha. Mein kya bta sakti hon."
Uske lehjey mein nah chahtay hue bhi kuch na raazi jhalak aayi.

"Woh office ke maslay ka zikar kar raha tha. Kya tum waqai office ke kisi maslay ki wajah se pareshan hai?"

"Koi masla nahi hai Nanu. Bass kaam ka load ziyada hai aaj kal isi wajah se mein kuch up set hon."
Usne nanu ko mutmaen karne ki koshish ki.

"Mein tum se pehlay bhi kehti aa rahi hon, tum job chore do. Yeh tumahray bas ki baat nahi hai. Full time job tumahray liye hai hi nahi. Khud ko bhi thakati ho, doosron ko bhi pareshan karti ho, behtar hai tum apne problems mein se job ka problam nikaal do."
Nanu ne hamesha ki terhan usay lecture dena shuru kar diya.

"Mein ne to raat Junaid se bhi kaha ke usko tumhe rokna chahiye tha is job se. Meri to tumhe parwah nahi hai, shayad uski baat maan lo."
Woh unki baat ka jawab dainay ke bajaye table se uth gayi.

"Ab tum phir office jarahi ho. Agar ziyada kaam ki wajah se pareshan ho to kya yeh behtar nahi hai ke aik do din ki chhutti le kar aaraam karo, taa ke tum kuch relax to ho sako."
Nanu ne usay uthte dekh kar toka.

"Mein do din ke liye ghar par rahon gi. Office mein kaam aur ziyada ho jaye ga, behtar hai mein office ja kar sara kaam niptalu. Is se ziyada acha tareeqa koi nahi hai khud ko relax karne ka."
Woh kehti hui laonj se bahar nikal gayi. Nano aik gehri saans le kar usay jatay hue dekha aur phir kuch narazi ke aalam mein barr baranay lagen.

☆☆☆

Uski pareshani agar Nanu se chhupi nahi rahi thi to office mein bhi woh doosron se apni zehni aur dili kaifiyat nahi chhupa saki thi. Sab se pehlay Saleha ne us se uska haal ahwaal poocha tha.

"Tumhe koi problam to nahi hai?"
Usne salam dua karne ke baad pehla sawal yahi kiya.

"Nahi koi problam nahi hai."
Aleeza ne apni maiz par parre articles par apni nazrain jamate hue kaha.

"Phir itni sanjeeda kyun nazar aa rahi ho?"
Saleha ko us ki baat par yaqeen nahi aaya.

"Kaam karne ke douran mein hamesha sanjeeda hi nazar aati hon."
Aleeza ne usi terhan articles par nazar doratay hue kaha.

"Mein is baat par yaqeen nahi kar sakti. Subah tumhe office mein daakhil hotay dekh kar hi mujhe andaza ho gaya tha ke tumhara mood kharab hai magar tum keh rahi ho ke sab kuch theek hai."

Amar Bail Where stories live. Discover now