Part 38

285 13 3
                                    

☆☆☆

"Junaid ke ghar walay kal khanay par aa rahay hain."
Shaam ki chaye par Nanu ne Aleeza ko bataya. Aleeza ne mamool ke andaaz mein unhen dekha.

Junaid ke ghar walon ka un ke yahan khanay par aana koi nai baat nahi thi. Nanu aksar unhen apne yahan madho karti rehti theen aur khud Junaid ki ammi bhi un dono ko apne yahan khanay par bulati rehti theen, is liye Aleeza ne kisi khaas ro amal ka izhaar kiye baghair chaye peetay hue sir hila diya.

"Shadi ki tareekh tay karna chaah rahi hain woh, usi silsilay mein aa rahay?"
Woh chaye peetay peetay ruk gayi.

"Shadi ki tareekh ?"
Usne taajjub se kaha. Nanu ko uski herat par herat hui.

"Aik saal guzar chuka hai Aleeza ! woh log mangni ke aik saal baad hi shadi karna chahte the."
Nanu ne jaisay usay kuch yaad dilaya. Aleeza ne haath mein pakra hwa cupp maiz par rakh diya.

"Magar Junaid ne to mujh se is silsilay mein koi baat nahi ki."

"Usne zaroori nahi samjha hoga, yeh koi ghair mamooli baat to nahi hai."
Nanu ne qadray be nayazi se chaye ka aik cupp banatay hue kaha.

"Phir bhi usay mujh se baat to karna chahiye thi ya phir Fariy hi kuch bta deti. Mein pichlle haftay hi to unke ghar par thi aur phir abhi parson meri us se baat hui hai."
Aleeza ne jaisay khud kalami ki.

"Ab kal khanay par aa rahay hain to tum khud hi us se pooch laita ke kyun usne tumhe nahi bataya. Lekin March mein woh shadi karna chaah rahay hain, uske baray mein to mein ne tumhe chand mah pehlay bataya tha."
Nanu ko achanak yaad aaya. Aleeza ne kuch kahe baghair chaye ka cupp utha liya.

"Acha hi hai, jitni jaldi mein is zimma daari se bhi farigh ho jaoon utna hi acha hai."
Nanu ne badbadate hue kaha.

"Kya shadi chand mah aage nahi ho sakti?"
Aleeza ne achanak kaha.

"Chand mah agay magar kyun?"
Nanu ne kuch choank kar poocha. Woh kuch jawab nahi day saki.

"Chand mah agay kis liye?"
Nanu ne aik baar phir apni baat duhrai.

"Bas aisay hi..."
Us se koi jawab nahi ban paaya.

"Koi munasib baat to nahi hogi yeh. Woh log shadi agay karne ki wajah jana chahain ge."

"Aap keh den ke abhi hum tayari kar rahay hain."
Aleeza ki baat par Nanu muskarayeen.

"Junaid ki ammi janti hain ke hamari tayari mukammal ho chuki hai."

"Woh kaisay janti hain?"

"Mujh se har dosray teesray din rabita hota rehta hai unka, mein khud unhen batati rehti hon."
Nanu ne kaha.

"Aap bhi Nano bas..."
Aleeza se koi jawab nahi ban para.

"Koi dosra bahana bhi to kar sakti hain."
Aleeza ne chand lamhoon ki khamoshi ke baad kaha.

"Abhi mujhe Samina aur Sikandar se baat karti hai. Dekhna hai ke Samina kab bahar se askati hai, phir Sikandar ki masrofiyat ka dekhna hai. Date to uske baad hi tay ki jaye gi."
Nanu ne kaha.

"Aur agar mummy nahi aa saken ya unhon ne date agay karne ko kaha to?"
Aleeza ko achanak khayaal aaya.

"Nahi Sameena aisa kuch nahi kahe gi. Mein us se pooch kar hi uski sahoolat ke mutabiq tareekh tay karoon gi. Aur uske nah anay ka to sawal hi peda nahi hota. Kya woh apni beti ki shadi par nahi aaye gi."
Nanu ne uske qiyaas ko mukammal tor par radd karte hue kaha.

"Phir bhi Nano behtar hota agar aap chand mah aur intzaar kar litin"

"Akhir kis liye?"

"Bas waisay hi, Junaid ko thora aur jaan layti mein."
Usne chaye ka sip letay hue kaha.

Amar Bail Where stories live. Discover now