Part 24

939 23 0
                                    

~Past

Aleeza kuch der bistar mein laitee rahi. Darwazay ke bahar ab bilkul bhi aawaz nahi thi, phir usay dur aik gaari ke start honay ki aawaz aayi. Woh jhatkay se uth kar baith gayi.

"Kya Umar waqai Judiyh ko le kar ja raha hai?"
Woh shatar thi. Taizi se uth kar usne darwaaza khoola aur laonj mein aayi. Wahan Nanu ke ilawa ab waqai koi nahi tha.

"Nanu! Umar kahan gaya?"
Us ne idhar idhar dekhte hue poocha.

"Umar! woh Judith ke sath chala gaya."
Nanu ne akhbar ka safha palatne hue kaha.

"Kyun?"
Woh taqreeban chalay. Nanu ne herani se usay dekha.

"Tum khud hi to yeh chahti thi."

"Mein kab yeh chahti thi?"
Woh mayusi se un ke paas sofa par baith gayi.

"Tum ne Umar se yeh nahi kaha ke tumhe Judith ka aana bura laga hai?'

"Nahi mein ne aisa to kuch bhi nahi kaha."

"Umar ne khud mujh se yahi kaha tha ke tumhe Judith ka aana acha nahi laga."
Aleeza ki sharmindagi mein izafah hwa.

"Nahi aisi koi baat nahi thi."

"Agar aisi baat nahi thi to phir yahan baithna chahiye tha. Judith aur Umar ko compny deeni chahiye thi."

"Nano mujhe neend aa rahi thi bas mein is liye... Magar aap ne Umar ko roka kyun nahi. Aap ko rokna chahiye tha."
Woh ab ruhansi ho rahi thi.

"Mein ne roka tha magar jab usne tumhari na pasandeedgi ka bataya to par mein kuch nahi keh saki."
Alizeh kuch bhi kahe bagair sofa par let gayi aur usne Nanu ki goad mein chehra chhupa liya. Us ki udasi aur sharmindgi yak dam bohat barh gayi thi. Nanu ne akhbar rakh diya.

"Woh shaam ko dobarah aaye ga. Tum us se excuse kar laina. Itna pareshan honay ki zaroorat nahi hai."
Nanu ne us ka sir thapaktay hue kaha.
Aleeza ne be ikhtiyar sir utha kar unhen dekha.

"Woh wapas Spain nahi gaya?"

"Nahi bhai. Spain kaisay ja sakta hai, woh to dobarah flight waghera dekh kar seat book karwaye ga. Tab hi ja sakay ga. Abhi to driver use yaur Judith ko kisi hotel chorney gaya hai."
Aleeza ne itminan ka saans liya. 

"Woh aaye ga to mein us se excuse krlon gi. Aur phir us se kahoon gi ke woh Judith ko yahan le aaye. Theek hai Nanu?"
Aleeza ne Nanu se apni baat par raye li.

"Haan theek hai. Tumahray baray mein bohat fikar mand ho raha tha, keh raha tha ke tum bohat kamzor hogayi ho. Mein tumhe kisi achay Dr ko dukhao. . Mein ne us se kaha aisa operation ki wajah se hai. Phir yeh jo tumhe bukhaar ho jata hai. Tumhe apna khayaal rakhna chahiye."
Nanu uske balon mein ungelian phertey hue keh rahi theen. Magar Aleeza ka dheyaan kahin aur atka hwa tha.

"Nanu! aap ko Judith kaisi lagi hai?"
Us ne kuch der sochte rehne ke baad Nanu se poocha.

"Judith? Bohat achi hai woh. Tum kyun pooch rahi ho?"

"Bas aisay hain. Woh keh rahi thi ke woh pichlle das saal se Umar ki friend hai, magar Umar ne pehlay kabhi is ka zikar hi nahi kiya.
Nanu ne laa parwai se kandhay uchakka diye.

"Haan is ne pehlay kabhi zikar nahi kiya, magar us se kya farq parta hai. Har baat to woh nahi bta sakta, waisay bhi wo kis kis ke baray mein betaye. Us ke dost bohat ziyada hain."

"Magar us ko Judith ke baray mein batana chahiye tha, waqi friends ka bhi to naam laita rehta hai."
Aleeza ne israar kiya.

"Woh aayega to us se pooch lena ke us ne Judith ka zikar kyun nahi kiya."
Nanu ne baat ka mauzo badalny ki koshish ki, magar woh kamyaab nahi huien.

Amar Bail Where stories live. Discover now