~Past
Umar uska chehra dekhne laga.
"Aap karen ge mujh se shadi?"
Aleeza ka andaaz is baar pehlay se bhi ziyada tha ukhda tha.Umar yak dam hans para.
"Mazaaq kar rahi ho? "
"Nahi. Mein mazaaq nahi kar rahi. Mein bilkul sanjeeda hon aur aap ne aisa socha bhi kyun ke mein aap se is baray mein mazaaq karoon gi. "
Umar ki muskurahat gayab ho gayi ."Bataye, aap karen ge mujh se shadi?"
Woh is sanjeedgi ke sath pooch rahi thi."Aap khamosh kyun hain? "
"Har sawal ka jawab zaroori hota hai kya? “
"Haan zaroori hota hai, kam az kam is sawal ka jo mein aap se pooch rahi hon. "
Umar us ka chehra daikhta raha phir us ne mustahkam andaaz mein kaha."Nahi "
Aleeza ki rengat mutaghayyar hui phir is ke chehray par aik muskurahat ubhri."Mein janti thi, aap ka jawab yeh hi hoga. Mein itnay hafton se yahi jan-nay ki koshish kar rahi hon ke Zolqarnain ne aakhir mujh se shadi se inkaar kyun kiya. Koi to aisi khaami hogi mujh mein ke us ne mujhe sirf time paas samjha. Mujh se mustaqil talluq nahi jora aur mein ne khudkhushi soochey samjhay baghair nahi karna chahi. Mein ne sab kuch soch kar woh pills li theen. Aap jab se yahan aaye hain, mujhe yahi batatay rehtay te thay. Kr mein bilkul normal hon, mujh mein koi kami nahi hai. mujh mein bohat saari ko qualities hain. Aap ko pata hai aap mein aur Zulqarnen mein ziyada farq nahi hai, woh bhi mujh se yahi sab kehta rehta tha. Bas aap ne us ki terhan mujh se izhaar e mohabbat nahi kiya. Us ne kaha..."
"Aleeza..."
Umar ne kuch kehnay ki koshish ki ."Aap mujhe baat karne den, rokain nahi. Mujh mein koi aisi khaami to hogi jis ko cover karne ke liye aap aur Zulqarnen sab accha hai ki patti bant'te rahe."
"Aisa nahi hai."
Umar ne madham aawaz mein kaha."Aisa hai. Mujh mein kuch to abnormal hai. Koi kami to hai."
"Tum mein teenage impulsiveness ke ilawa aur koi khaami nahi hai."
Umar ne jaisay usay yaqeen dilaana chaha."Logon ko mere baray mein baat karne ka bohat shoq hai."
Woh Umar ki baat sunay baghair bolti gayi."Chahay woh aap hon ya phir Nanu, Nana. Har aik ne zindagi ka maqsad Aleeza par tabsarah karna bnalya hai."
Umar kuch kehte kehte ruk gaya."Mein tang aagai hon is sab se har cheez ki aik had hoti hai."
"Tumhe hum logon se shikaytein hain?"
Umar ne usay ghhor se dekhte hue kaha .
Pata nahi woh had darja bezaar nazar aayi ."Tum kuch arsa ke liye apne parents mein se kisi ke paas chali jao."
"Kyun jaoon?"
Woh yak dam hatthe se ukhar gayi ."Tumhara depression dur ho jaye ga. Khud ko behtar mehsoos karoon gi tum "
"Parents ke paas ja kar khud ko behtar mehsoos karoon gi, mein? Mujhe un ki zaroorat nahi hai. Woh agar mujhe apni zindagi se nikaal chuke hain to mein ne bhi inhen apni zindagi se nikaal diya hai. Mein dobarah kabhi un dono se milna nahi chahti."
"Theek hai un ke paas mat jao, kahin aur chali jao granny ke sath. "
"Mujhe Nano ke sath bhi kahin nahi jana."
"Grand pa ke sath chali jao. "
"Un ke sath bhi nahi jana."
"Akailey jana chahti ho ?"
YOU ARE READING
Amar Bail
عاطفيةPresenting The Novel "Amarbail" written by Umera Ahmed in English language. Join the heart-wrenching journey of Aleezay Sikandar and Umar Jehangir. A story that beautifully portrays the intensity and sacrifices that love can entail. © All Rights Res...