Part 20

302 8 0
                                    

~Past

"Humne metha wash kar diya hai. Woh ab theek hai. Das pandrah minute baad usey kamray mein shift kar denge. Tab aap us sey mil sakte hain."
Doctor ne unhe it'talaah di.

Nano aur Umar ne aik dusre ka chehra dekha. Nano ke chehre par itminaan ubhar aaya. Jabki Umar pehle hi ki tarah sanjeeda nazar aa raha tha. Alizeh ko hospital le jaatey huye gaadi mein Umar ne Nano ko Zulqarnen ke baarey mein bata diya tha. Alizeh ki side table par pada hua kaagaz, jo Alizeh ke bed ke paas jaatey hi Umar ko nazar aaya tha usne Nano ko dikha diya. Jismein Alizeh ne apni khudkhushi ke baarey mein likha tha. Nano khat haath mein liye poora raasta shakte ke sath bethi rahi. Unke hospital pahunche par unke family doctor ne fori tor par  Alizeh ke case ko deal Kiya tha. Family doctor hone ki bajah se usne iss case ko police mein report nahi kiya.

"Isne kya khaya tha?"
Umar ne doctor se pucha.

"Sleeping pills thi. Aap log ise bohot jaldi le aaye. Abhi Puri tarah se hal nahi ho saki thi aur is par jyada asar isliye bhi nahi hua ki woh goliyaan lene ki aadi lagti hai. Warna jitni tadaat mein usne yeh goliyaan li hain, uski haalat khasi kharab honi chahiye thi."
Doctor aahista aahista bata raha tha.

"Lekin Alizeh ne is tarah kyun kiya hai. Woh to bohot samazdar bacchi hai. Phir tarah..."
Doctor ne pni baat adhuri chod kar jawab talakh nazron se Nano ko dekha.

"College mein kuch friends se uska jhagda ho gaya aur shayad depression mein ya gusse mein usne ye kiya hai."
Umar ne doctor ko mutmain karne ki koshish ki.

"Granny kya Alizeh sleeping pills leti hai?"

"Ye goliyan to nahi, koi aur dawa leti rahi hai. Magar woh bhi tab jab psychiatrist ke sath sessions hotey rahe they."

"Toh phir iske paas ye pills kahan se aayin?'

"Mein toh khud hairaan hoon."

"Kya grandpa letey hain?"

"Nahi. Woh toh nahi letey. Ho sakta hai usne kahin se khareed li ho."
Nano ne andaza lagane ki koshish ki.

"Khareedi hain usne, yahi to samaj nahi aa raha. Park se toh seedha mein use ghar laya hoon aur uske baad woh ghar se bahar nahi gayi. Phir uske paas ye pills kahan se aa gayi. Aap keh rahin hain ki  grandpa bhi nahi letey phir..."
Umar uljhe huye andaaz mein kehte kehte yakdam seedha hokar beth gaya. Usne apni baat adhuri chor di.

"Kya hua?"
Nano ne kuch hairaan hokar uske chehre ke tas'suraat ko dekha.

"Kuch nahi."
Woh yakdam bohot pareshan nazar aane laga tha.

☆☆☆☆

Woh agley din hospital se discharge hokar Ghar aa gayi thi. Hospital mein us sey mulakat ke dauran kisi ne us sey kuch puchne yaa us sey kuch kehne ki koshish nahi ki thi. Nano ko agar uss saarey waqiye se shock laga tha. To Nano bohot khaufzda ho gayi thin. Sayad woh dono Alizeh se iss harkat ki tawaqko nahi kar sakte they. Nano ko ab bhi yakeen nahi aa raha tha ki Alizeh pichle aik maah se itni kaamyabi se unhe dhoka de rahi thi.

"Alizeh iss tarah ki harkat kaise kar sakti hai? Woh to shy hai. Reserve, introvert. Aaj tak woh aik se dusra dost nahi bana saki. Phir boyfriend, aur woh bhi iss tarah chupkar. Meri samaz mein kuch nahi aa raha. Meine to uss par bohot mehnat ki thi, uski acchi tarwiyat ki thi."
Shaam ko ghar aane ke baad Nano, Umar aur Nana ke sath lounge mein bethi huyi keh rahi thin. Alizeh apne kamray mein thi aur Umar kisi kism ke tas'suraat ke bagair Nano aur Nana ki guftgu sun raha tha.

"Mujhe afsos iss baat par hai ki Umar ne sab kuch humse chupaya. Agar ye hume pehele bata deta toh ye sab kuch naa hota."
Nana ne achanak Umar ki taraf dekhte huye kaha.

Amar Bail Where stories live. Discover now