Part 26

251 7 5
                                    

~Past

Aglay do din ghar mein calls aur milnay ke liye anay walon ka tanta bandha raha. Aleeza shadion ke ilawa pehli baar apne taqreeban tamam jaan-nay walon aur rishta daaron ko dekh rahi thi. Ziyada tar log baar baar phone kar ke Nimra ki aakhri rasomaat ke baray mein hatmi maloomat le rahay thay. Ghar mein uske tamam uncles apni familes ke sath aachukay thay... Aleeza ne logon ke is anay jane ke douran Umar ko bhi do teen baar ghar atay jatay dekha. Uske sath Judith nahi thi aur woh akela hi tha. Woh us se taaziyat karna chahti thi magar Umar ke ravayye ne usay is qader heran kiya ke woh us se baat karne ki himmat hi nahi kar saki.

Woh janti thi ke Nimra uski sagy behan nahi hai phir bhi Umar jis qader jazbati aur naram dil shakhs tha. Uska khayaal tha ke woh apni behan ki mout par khasa afsurda hoga. Magar Umar ke tasurat us ki samajh se baala tar thay. Woh bilkul par sukoon tha.

Logon ke taziyati kalmaat wusool karte hue bhi uske chehray par kisi gham ya afsurdagi ka shaiyba tak nahi tha. Yun lag raha tha jaisay usay Nimra ki mout par koi shock laga tha nah hi dukh hwa tha. Ya phir shayad usay Nimra ki mout ya zindagi se koi dilchaspi hi nahi thi.

Aleeza ke liye uske tasurat bohat shocking thay. Jo shakhs aik cousin aur aik girl friend ke liye out of the way ja kar sab kuch karne par tayyar ho. Jo apne aik andor planet ki kai jane wali shaakh ko dobarah gamlay mein tab tak lagaye rakhta hai jab tak woh sookh nah jaye aur sokhne ke baad bhi jo usay hataane par tayyar nah ho, woh aik soutelay sahi magar khooni rishta ki is terhan ki mout par kisi radd amal ka izhaar nahi kar raha tha. Kya Umar ka waqai apni family ke sath koi talluq nahi tha? Kya woh waqai un ke baray mein kisi qisam ke koi ehsasat nahi rakhta? Kya woh apni family ko is had tak na pasand kar sakta hai ke? Ya phir woh hamesha ki terhan bohat kuch chhupanay ki koshish kar raha hai?

Aleeza apne zehen mein ubhar ne walay un tamam salawon se ulajh rahi thi, woh bohat achi chehra shanaas nahi thi magar usay phir bhi yeh yaqeen tha ke us ne Umar ka chehra parhnay mein koi ghalti nahi ki. Uske chehray par be hisi aur la-taluqi ke ilawa aik teesra ta-assur bhi tha aur yeh teesra ta-assur Aleeza ko ziyada khaufzadah kar raha tha. .. Umar ke chehray par itminan tha.

Teesray din Jahangir nimra ki dad body le kar Pakistan aagaye. Uske sath Samreen aur baqi dono bachay bhi thay. Aleeza ko Jahangir Maaz ke chehray par bhi kisi ranj ya afsurdagi ke tasurat nazar nahi aaye. Unke noon ke chehray par sanjeedgi thi. Wahi sangeedgi jo pehlay bhi kayi baar unke chehray par dekh chuki thi, jab woh shadeed ghusse mein hotay thay. Jahangir ke baraks Samreen khasi nidhaal nazar aa rahi theen. Unke baqi dono bachon ke cheharon par bhi aisay hi tasurat thay. Beron mulk se ikathay anay ke bawajood tamam logon ki terhan Aleeza ne bhi mehsoos kiya Samreen, unke bachon aur Jahangir ke darmiyan aik ajeeb si kasheedgi aur sardmehri thi. Aleeza ka khayaal tha ke uncle Jahangir ki kuch arsa pehlay honay wali teesri shadi us ki wajah ho saki thi, magar us ke ilawa aur wajah bhi hosakti thi, yeh is ke vahm o guman mein bhi nahi tha.

Nimra ki tadfeen ke baad aahista aahista tamam log wapas jana shuru ho gaye. Magar Jahangir Maaz aur uske do barray bhai apni familes ke sath abhi wahein thay. Jab aik raat Aleeza ne laonj mein sab ke samnay unke aur Samreen ke darmiyan shadeed jhagra dekha.

Woh dono sab ke samnay aik dosray par ilzamaat laga rahay thay aur chilla rahay thay. Aleeza ke liye aisa jhagra koi nai cheez nahi thi. Nanu ke haan woh apne  aur uncles aur unki biwion ke darmiyan pichlle kayi saloon se aisay bohat se jhagray hotay dekhatii hui aayi thi.

Magar is baar jis inkishaaf ne usay haulaya tha. Woh nimra ki mout ki wajah tha. Woh neend mein apartment ki khirki se nahi giri thi. Udne khud kashi ki thi aur apartment ki khirki se chhalang laganay se pehlay usne aik khat mein tafseeli tor par apni mout ka zimma daar Jahangir Maaz ko thehraya tha. Police ko woh khat mil gaya tha. Magar chunkay Jahangir sifarat khanah se munsalak thay, is liye har cheez barri mahaarat se wrapup kar li gayi thi. Aik senior diplomat ke hawalay se is terhan ka koi scandal Pakistani hukoomat ke liye khasi nedamat aur sharmindagi ka baais bantaa. Chand ghanton ke andar andar hukoomat Pakistan ki darkhwast par police ne is khud kashi ko ittifaqi mout qarar day kar file band kar di.

Amar Bail Where stories live. Discover now