~Present
Kamre ka darwaza aikdam khul gaya tha, woh aikdam hadbada gyi thi. Aur kamra ek baar phir uss wajood se khaali ho gya tha.
"Aliza bibi, mujhe begum sahiba ne bheja hai, wo keh rahi hai ke kamre ki setting badalni hai, to mujhe bta dein, mein chize utha kar idhar udhar kar dunga."
Mulazim ne uski socho ka tasalsul tod diya tha.Wo kuch use khaali ul zeheni ki taifiyat mein use dekhti rahi, phir jaise woh apne hawaas mein aa gayi.
Usne perfume ko dressing table par rakh diya."Haan, mein kuch chize idhar udhar karwana chahti hun, magar pehle tum store room mein jaakar wo parde nikalo, jo pichle maah tumne yaha se utaare the."
Aliza ne use hidayat dena suru kar diya tha."Woh, neele wale?"
Mulazim ne Aliza se pucha."Haan, wahi Wale. Aur dekho vaccum bhi le aao"
Mulazim ne uski hidayaat par sar hilana suru kar diya, woh wapis mud raha tha jab Aliza ne fir use ek baar roka.
"Accha dekho, wapas aao to sath Haakim ko bhi lete aana. Mein chahti hun ki kamra jaldi saaf ho jaye"
Usne mulazim ko rok kar use masid hidayad di thi."Jee, theek hai." Mulazim kamre se nikal gaya tha.
Wo aik baar phir kamre ka jayza lene lagi thi. Kamray mein bahot se indoor plants rakhe huye the aur ye sab Umar ki choice thay. Usay Jin chand chizo mein dilchaspi thi usmein baagwani bhi thi. Woh jitna arsaa waha raha tha usne Ghar ko apni pasand ke indoor plants se bhar diya tha. Mahine mein aik din wo unn sab podho ko lekar baith jaya karta tha. Unki taraash kharash karta, usmein khaad daalta, unpar dawaao ka spray karta aur apne kamray mein unki jagah badalta rehta. Uske jaane ke baad ye kaam Aliza ne sambhal liya tha.
"Inn plants ko bahar lounge mein le aao."
Mulazim jab parde le aaya tha to Aliza ne use ek nayi zimmedari saup di thi. Woh khud bhi kamray se bahar nikal aayi thi. Mulazim baari baari saare plants bahar le aaya.Aliza me podho ko dekhna suru kar diya. Usne unki cutting suru kar di thi. Woh money plant ko dekh rahi thi, chand choti shakhe khushk hokar latak rahi thi, usne usey chhatna suru kar diya tha. Woh bari aehtiyat se bel ki shakho aur patton ko kaat rahi thi. Sirf aik lamhe ke liye uska dhyan kahin aur gaya... Khushkh shaakh ke sath ek hari bhari shaakh bhi kat gayi thi. Woh aikdam saakit ho gayi thi...
"Koi baat nahi, esa ho jata hai, tum dekhna ab ye bohot tezi se badhega aur pehele se jyada khubsoorat ho jayega. Mujhse bhi jab koi plant iss tarah kat'ta hai to weh pehle se bahot accha ho jata hai."
_______________________________________________________
~Past
Woh perfume apne kamre mein rakh kar lounge mein aa gayi thi. Woh pehle hi Nano ke paas mauzud tha. Nano use dekh kar muskurane lagin thin.
"Umar ne kaunsa gift diya hai tumhe?"
Unhone Aliza ko dekhte hi pucha tha.Wo mad'dham si muskurahat ke sath unke paas sofay par baith gayi.
"Unhone aapko bataya nahi?"
Usne Umar ki taraf dekhte hue kaha tha, jo dilchaspi se use dekh raha tha."Nahi. Woh keh raha tha ki ye secret hai magar Aliza aapko bata sakti hai."
Nano ne bataya tha.Aliza ne aik baar phir use dekha tha.
"Perfume diya hai." Usne aahista aawaz mein bataya tha.
"Kaunsa perfume?"
Nanu ko tajas'sus hua."Chinel 5"
"Tumara favourite perfume! Kyun Umar... Tumhe kaise pata chla ki Aliza ko yeh perfume sabse jyada pasand hai?"
Nano ne Umar se pucha.
![](https://img.wattpad.com/cover/379395541-288-k129586.jpg)
YOU ARE READING
Amar Bail
RomancePresenting The Novel "Amarbail" written by Umera Ahmed in English language. Join the heart-wrenching journey of Aleezay Sikandar and Umar Jehangir. A story that beautifully portrays the intensity and sacrifices that love can entail. © All Rights Res...