Part 33

1K 23 0
                                    

☆☆☆

Umar Jahangir aur Zain alaabdin ke jhagray ki ibtida kab aur kis terhan hui thi? Uska andaza koi bhi sahi terhan se nahi laga sakta tha.

Umar ki posting us waqt Pakistan ke pehlay paanch barray shehron mein se aik mein thi. Umar tajurbah ke lehaaz se woh police service ke sab se junior officers mein shaamil tha aur aik junior officer ke paas is shehar ka hona heran kun baat thi. Pakistan mein shayad yeh itni heran kun baat samji nahi jani chahiye thi jahan posting mein khandani assar vrsokh aik bohat bara kirdaar ada karta hai. Aur Umar Jahangir ke khandan mein beurocracy se talluq rakhnay wala koi bhi shakhs aisa nahi tha, jo kisi ghair ahem post par hota. Aur yeh sirf Umar par hi moqoof nahi tha, civil service ke ziyada tar officers bhi isi behti ganga mein haath dho rahe thay. Yaqeenan yeh is qader ghair mamooli baat nahi thi jo Zain alaabdin jaisay journalist ko Umar ki taraf mutwajjah karti. Is se pehlay Zain alaabdin ke record par kisi no amooz beurocrate ki choti mouti haath ki safaiyan shaamil nahi theen. Usne jab bhi kisi beurocrate par likha tha, woh bees aur ikees grade ka bara officer hota tha. Aur Zain alaabdin ne kisi barray scandal ki wajah se hi us par likha tha. Phir Umar Jahangir kis terhan us ki tawajah ka markaz bana tha. Aleeza yeh samajhney se qassar thi.

Teesray din akhbar mein Saleha ka article chup chuka tha. Aleeza ne jab se is news paper mein kaam karna shuru kiya tha. Umar ki apne shehar mein karkardagi ke hawalay se kayi baar akhbar mein uske baray mein kuch nah kuch shaya hota rehta tha. Baaz dafaa us par tanqeed hoti, baaz dafaa usay saraha jata aur baaz dafaa us ki sar garmion ke hawalay se maloomat hoten. Phir aik dam uske hawalay se anay wali khabron mein izafah hota chala gaya. Uske zila mein aman o Amaan ki soorat e haal kharab hoti jarahi thi. Firqa waranah kasheedgi ke hawalay se hassas tareen shehron mein se aik mein uski taenati ke arsa ke douran waqtan foqtan kisi nah kisi firqa waranah qatal ki goonj national press mein sunai deti rahi. Aur radde amal ke tor par police ke kiye jane walay iqdamaat jin mein zaroorat se ziyada girftaryan shaamil theen, woh bhi akhbarat mein aati theen. Phir aksar auqaat woh press conference mein police ki karkardagi ke hawalay se safaiyan deta bhi nazar aata.

Kuch arsay ke baad usne dhara dhar apne ilaqay mein matlyan shuru kar den, uska nateeja aman o Amaan ki soorat e haal mein behtari ki soorat mein aaya, magar doosri taraf zila mein, apne mehakma mein uske liye na pasandeedgi mein izafah hota gaya. Phir achanak apne shehar mein nai sabzi manndi ke hawalay se uska aur uske shehar ke deputy commissionaire ka charcha national press mein chand column naweeson ke tareefi kalmon mein suna gaya.

Uske shehar mein mojood sabzi manndi mulk ki chand barri, gandi tareen aur ghalat mansoobah band sabzi mandiyon mein se aik thi. Manndi ko sirf do rastay jatay thay aur un dono raastoon par is qader rush hota tha ke traffic ko guzarnay aur likhnay mein kayi kayi ghantay lag jatay. Traffic jaam honay ki wajah se wahan har waqt aik hungame ki haalat Bar pa rehti. Khaas tor par subah Fajar aur raat ke auqaat mein jab wahan truckon aur tralyon par dosray shehron se phal aur sabzi aati. Aur un ijnaas ke kharidar mukhtalif dukandaar aur rediyon walay wahan atay. Manndi mein nah sirf traffic ka nizaam bohat bura tha balkay gandagi ke lehaaz se bhi uska koi pursan haal nahi tha. Wahan se guzarnay wala ganday pani ka naala, gali sari sabzion aur phalon aur un ke chilkon se har waqt bhara rehta. Koorray ki miqdaar is had tak ziyada ho jati ke pani ka behna bhi mushkil ho jata, nateeja yeh tha ke pani buri terhan mutaffan ho jata, manndi mein kuch der kharray rehna jaan jokhon ka kaam lagta tha.

Barsaat ke dinon mein soorat e haal us waqt aur bhi kharab ho jati, jab naaley mein yakdam peechay se bohat ziyada pani ajata aur woh pani guzarnay ke bajaye manndi mein selabi railay ki soorat mein bharta rehta. Pani ka yeh keechar Numar yla kayi kayi haftay manndi mein mojood rehta aur log usi haalat mein wahan ka robar karte rehtay. Kayi hafton ke baad yeh pani utar bhi jata tab bhi zameen ko khushk honay mein kayi kayi din lagtay. Baaz dafaa wahan pipe bhi phoot parhtin. Magar logon ko un cheezon ki ziyada parwah nahi thi.

Amar Bail Where stories live. Discover now