"Aleeza, Junaid ka phone hai, woh tum se baat karna chahta hai."
Woh nashta karne ke liye laonj mein daakhil ho rahi thi, jab Nanu ne us ko mukhatib kiya. Woh phone ka receiver haath mein thaamay hue theen. Aleeza aik lehzha ke liye thithki aur phir unki taraf barh aayi. Sofa par baith kar usne Nanu ke haath se receiver le liya. Woh heran thi, Junaid aam tor par us waqt phone nahi kiya karta tha."Hello!"
Usne receiver thaamte hue mouth peace mein mein kaha."Kaisi ho Alizeh?"
Doosri terhan se wohi naram, puchkaarti hui aawaz sunai di, jis ki ab woh kuch aadi ho gayi thi."Mein theek hon. Aap ne is waqt phone kaisay kiya?"
"Tumhe herani horahee hai...."
Junaid ne Khushgawar lehjey mein kaha."Kisi had tak."
"Tumhe lunch par le jana chaah raha tha."
Usne kisi tamheed ke baghair kaha."Aap raat ko mujhe bta dete jab aap ne mujhe call ki thi."
"Us waqt mujhe yaad nahi raha, phone band kar diya, tab yaad aaya. Phir mein ne socha ke dobarah call karna theek nahi. Mein subah krlon ga isi liye tumhe ab call kar raha hon."
Junaid ne bataya. Woh kuch soch mein par gayi."Tumhara lunch hour kab shuru ho raha hai?"
Usay khamosh pa kar Junaid ne poocha."Aik bajey."
Aleeza ne kaha."Theek hai phir mein office se saarhay baara bajey nikata hon. Adhay ghanta mein tumahray office pahonch jaoon ga."
Junaid ne program tay karte hue kaha."Tum lunch hour shuru hotay hi bahar aa jata. Hum kisi qareebi restaurants mein lunch kar lenge, phir mein tumhe wapas drop kar doonga."
"Magar aaj to mein lunch karna hi nahi chaah rahi thi."
Aleeza ne kaha."Kyun..?"
"Aaj khasa masroof din guzrega office mein. Shayad anik do functions cover karne ke liye bhi Jana pade, to lunch hour to nikal hi jayega."
Usne muazrat khana andaaz mein kaha. Doosri taraf kuch der khamoshi rahi phir Junaid ne kaha."Tumhe yakeen hai, tum kisi tarah bhi kuch waqt nahi nikaal sakti.."
"Agar mujhe yakeen nahi hota to mein aapse kabhi nhi kehti."
Alizeh ne kaha."Hum kisi aur din lunch kar lete hain."
Usne fori tor par ik mutwadil hal pesh kiya."Theek hai. Kisi aur din lunch kar lete hain. Aap bata dijiye ke aap kis din dastiyaab hongi?"
Alizeh uski baat par muskuraai.Woh usey "aap" usi waqt kehta tha jab woh khase khush gawar mood mein hota tha.
"Kal chalte hain..."
Alizeh ne apni ghari par nazar dauraate huye kaha."Kal... Aik minute mein zara apna schedule dekh lon... Mujhe lagta hai kal, mein office se nikal nahi sakoo ga."
Aleeza ne usay barr badate suna phir kuch der khamoshi rahi... Chand minton ke baad Junaid ki aawaz dobarah aayi."Kal mumkin nahi hoga Aleeza... Parson chaltay hain. Parson mere paas khasa waqt hoga."
"Theek hai phir parson hi chaltay hain. Aap se mein ne aik kaam kaha tha. Aap ko yaad hai?"
Alizeha ko baat karte karte achanak yaad aaya."Naa sirf yaad hai balkey mein pehle hi aapka kaam kar chuka hun. Do din mein maine woh naksha mukammal kar liya tha. Ab meine ek assistant ko usey de diya hai, taake woh dobara usey ek dafa dekh le. Mujhe ummid hai aaj ya kal tak woh ye kaam kar dega. Phir mein tumhe saare papers bhijwa dunga."
"Mujhe shukriya ada karna chahiye."
Alizeha ne khush gawar andaaz mein kaha."Yakinan... Ismein to puchne wali koi baat hi nahi hai."
Doosri tarah Junaid ne badi sangeedgi se kaha.
YOU ARE READING
Amar Bail
RomancePresenting The Novel "Amarbail" written by Umera Ahmed in English language. Join the heart-wrenching journey of Aleezay Sikandar and Umar Jehangir. A story that beautifully portrays the intensity and sacrifices that love can entail. © All Rights Res...