Part 22

300 5 0
                                    

~Past

Us se honay wali is lambi chorrie guftagu ke chouthay din Umar America chala gaya.  Alizeh ko iss baar pehli dafaa uske jane ko sanjeedgi se liya tha. Woh us ki baton par amal karne ki koshish kar rahi thi. Woh apni zindagi ko normal karne ki koshish kar rahi thi. Nana aur Nano ne is se pichlle kuch hafton mein honay walay waqeat ke baray mein koi baat nahi ki. Un ke liye shayad itna hi kaafi tha ke woh dobarah college jane lagi hai, us ki khud sakhta qaid tanhai khatam hui thi aur Shehla aik baar phir se us ki zindagi ka hissa ban gayi thi. Us ke test pehlay ki terhan achay honay lagey thay. magar is ki pehli wali sangeedgi ki aur kam goi abhi bhi barqarar thi .

Umar ne wapas jane ke aik haftay baad unhen phone kiya tha. Nanu se baat karne ke baad us ne Aleeza se bhi baat ki. Aleeza ko woh pehlay se ziyada pur josh aur khush laga tha .

"Yaar! mein tumhe bohat miss kar raha hon."
Us ne hamesha wali be takalufi ke sath Aleeza ki aawaz suntay hi kaha.
Aleeza us ki baat par bachon ki terhan khush hui.

"Mein bhi aap ko bohat miss kar rahi hon."
Us ne jawaban kaha.

"Yeh to barri heran kun baat hai ke Alizeh Sikandar jaisi hasti humein miss kar rahi hain. Wapas aajaon?"
Us ki aawaz mein shokhi thi.

"Ajayeen."
Aleeza is ke andaaz se mahzooz hui.

"Aajaon ga magar abhi nahi. Abhi mein Spain ja raha hon."

"Kyun?"

"Bas waisay hi, sair wgera ke liye, kuch doston ke sath ja raha hon."
Us ne ittila di.

"Wapas kab ayen ge?"

"Pakistan ya America ?"
Umar ne poocha.

"Pakistan."

"Chand mah tak."

"Aap ne kaha tha. Mein session karwana shuru kar dun to aap jaldi aja yin ge."
Aleeza ne usay yaad dilaya.

"Haan mujhe yaad hai, tum ba qaidgi se sessions ke liye ja rahi ho?"

"Haan phir aap kab ayen ge?"
Aleeza ne aik baar phir be taabi se poocha.

"Pata nahi. Darasal mujhe kuch kaam bhi hai lekin phir bhi mein wada karta hon, jaldi aajaon ga."
Umar ne usay mutmaen karne ki koshish ki. Woh mutmaen hui ya nahi magar is ne Umar se mazeed israar nahi kiya. Usay yaqeen tha woh jaldi woh ya wapas aajay ga.

_______________________________________________________

~Present

Usay magazine join kiye teen mah ho gaye thay, aur yeh teen mah is ke liye bohat achay saabit nahi hue thay. Woh iske baray mein jo khawab le kar is magazine mein gayi thi. Woh pehlay haftay hi khatam ho gaye. Jab usay kuch ghair mulki magazine yeh keh kar diye gaye ke usay un mein se show business ki khabrain muntakhib karni hain. Woh kuch hakka bakka ho kar sara din woh magazines dekhatii rahi. Shehla is din office nahi aayi. Aleeza ne ghar wapas jatay hi usay phone kiya.

"Kya hwa bhae? Itni pareshan kyun lag rahi ho?"
Shehla ne is ki aawaz se foran andaza lagaya ke woh kisi wajah se pareshan hai. Aleeza ne usay saari tafseel btadi .

"To phir?"
Shehla ne is ki saari baatein suneney ke baad barray itminan se poocha.

"To phir! Kya matlab hai tumhara?"

"Mera matlab hai ke tum kyun pareshan ho is sab se?"

"Mein pareshan kyun hon?
Mein is liye pareshan hon kyunkay yeh woh kaam to nahi hai, jis ke liye mein wahan gayi hon."
Aleeza us ki baat par heran hotay hue boli.

"Aap kisi liye gayi hain wahan?"

"Koi takhleeqi aur challenging kaam karne, ghair mulki magazines se khabrain churaney nahi gayi. Hum kya karen ge wahan bahar ki khabrain ghair mulki models ke fashion shoots ki copy karte hain. Bas farq yeh hota hai ke model apni hoti hai aur photo grapher bhi. Make up aur hair style tak un hi jaisa hota hai. Yeh kya cheez hai jo hum apne logon ko day rahay hain, tafreeh?"
Woh waqai preshan hui thi.

Amar Bail Where stories live. Discover now