Hii Guy's let's start the story...
Ks HM ke maathe par kiss 😘 karte hue bola- Biwi tum Rest karo Hamne jo medicine di hai... Usse tumhe jaldi hi Nind Aa jayegi...
Itna bolker Krish Room se Bahar chale gaya...
In Hall- Raj Abhi bhi stairs ke paas vaise hi khada tha... Jaise ks ne Rok kar gaya tha...
Ks Raj ko dekhte Ekdum gusse se bhar gaya... Aur uska hath pakad ker khichte hue use study Room me leker gaya... Aur gate Ander se locked kar diya... Isse pahle Raj kuch kahta... Ks ne ek kantaap Raj ke gaal per laga diya... Aur Raj kuch ko Sambhal nahi paya... Aur ladkhade hue sofe par gir pada...
Ks Raj ka coller pakad ker use khaa jane vali Nazro se ghurkar bola- Himmat kaise hui Aapki ? Hamse itni Badi baat chhupane ki... Aakhir HM hoti kon hai Aapki ? Aur Aapne itna bada such chhupaya kaise ?
Raj ks ki Aakhhon me Dekhte hue bola- kya karoge Krish such jankar... Aj HM ki jo bhi halat hai sirf Aur sirf Aapki vajah se... Kya ye such jankar Ap unhe jis maksad ke liye laye ho... Vo sab chhod donge... Kya HM se Badla lena chhod donge... jo pahle se hi kisi ki jaan lena chahta hai... Vo kya kisi ki jaann bachayega... Vo to Alredy maut ke muh me ja rahi hai...
Ks Apne daant piste hue bola- Agar dubara Aapne ye sab word Apne muh se nikala to Aapko zinda yahi gaad denge... Bta rahe hai hum Aapko... Biwi hai vo Hamari... Unke bare me sab kuch jaanna Hamara Haq hai... She is mine...
Tabhi study Room ke Door per knock hua... Aur ks ne door open kiya... To samne ek sarvent ek file liye khada tha... Aur ks ko vo file deker chup chap vaha se chala gaya... Ks vo file khol raha tha... Tabhi uske phone per Dr minakshi ka call Aaya...
Ks on call- Hello Dr file hamare paas Aa chuki hai... Aur is waqt Hamare hath me hai...
Dusri taraf se Dr boli- Mr Singh mrs Singh ko sincope hai... Ap Acche se jaante hain... Sincope kab kyu Aur kaise hota hai ? Agar HM ka Bp stress ki vajah se high hota raha to Ap ek din mrs Singh ko kho donge... Isliye ek Doctor hone ke naate hum Aapko ye Advice de rahe hai ki Aap mrs Singh ko jitna stress se dur rakhenge Aur khush rakhenge... Utne jaldi vo thik ho jayegi.
Ek Baat vo Ap Dhyaan rakhiyega ki unka hiper tention unke Health ke liye bilkul sahi nahi hai...
Phir thoda rukkar vo boli- Ap Khud ek Docter hai mr Singh... Hame nahi lagta Aapko is baare me Aur kuch batana padenga...
Dr ne jaise hi kaha Ap ek Docter hai
Ks gusse me Chillate hue bola- Nahi hai hum Docter... Aur Agar Aj ke Baad Aapne hame Docter kaha to hame zara bhi waqt nahi lagega... Aapka medical license destroy karne me...
Itna bolker Krish ne call cut kiya... Aur Raj ki Aur dekhte hue bola- sirf Aur sirf Aapki vajah se AAj Hamari Biwi ki ye Halat hai... Kash Aap us test Result ke bare me hame pahle bata dete... Aapne Hamne Batana jaruri nahi samjha... HM ki condition ke bare me... Aapko last varning de rahe hai Ap Hamari Biwi se Bilkul dur rahege...
Raj sarcastic way me bola- Accha vaise Aapko unki takleef se itna fark kyu pad raha hai... Kyunki HM ne Aapki shivi ko Apna liya...
Ks zor se chillate hue bola- Raj don't cross ur limit... Aapko hua kya ? Ap HM ko leker itne worried kyu hai ? Kya Aap HM ko pahle se jaante hain... Esa kon sa Rishta hai Aapka Hamari Biwi ke sath ?
Raj muskuraake bola- Are HM ki jagah koi Aur ladki bhi hoti tab bhi Hum ye Bardast nahi karte ki Ap kisi ladki ko Apne badle ki aag me torcher kare samjhe Ap... Aur Ha hai Hamara HM se Insaniyat ka Rishta... Aur Ap jise Biwi kah rahe hai use to laye the Ap Barbaad karne ke liye... Aur Badla lene ke liye to Ab kyu fark pad raha itna Aapko unke jeene marne se...
Ks ne wall per lagi shivaaye ki pic ko dekha Aur bola- I m sorry Bhai...
Aur ek khich kar kantaap double se Raj ke gaal per laga diya... Aur daant piste hue bola- Biwi hai vo Hamari... Hame unki takleef dekhkar Bahut Dard hota hai... Kyu hota hai kaise hota hai ? Pata nahi... Lekin jab se Hamari unse shadi hui hai... Ab unke har ek gum ko her pareshaniyon ko Krish se hoker guzarna honga... Ha maante hain diye hamne unhe bahut se Dard bahut si takleefe... Lekin shadi se pahle hamne unse sabki maafi mangi Aur unhe Dil se Apni Biwi Maanne lage... Aur Raj Ab hum unke Aakhhon me ek bhi Aasun dekhna pasand nahi karte... Pata nahi kyu kaisa ek Bahut Ajib sa Ahsas hai...
Itna bolker Krish Room se Bahar chale gaye... Aur Raj shivaye ki pic ko dekhkar Haste hue bola- Dekha shiv Aapke Bhai ko princess se pyaar ho gaya... Per laad sahab Qubool nahi karege... Aur jealousy to dekho unki ...
Apne gaal pe hath rakh kar bola- Accha khasa Hamare gaalo per thappdo ki Barish kar di... Lekin koi na hum inhe itna majbur kar denge ki ye khud princess se Apne pyaar ka izhar kar denge... Per tab tak Hamare in pyare pyare gaalo ka pata nahi kya honga...
Phir vo smile ke sath bola- Hum bahut khush hsi Krish ke liye Aakhir unki life me ek ladki Aa gayi... Jisse vo Badalne lage... Aur to Aur Ab Hame hi kuch karna honga... Taki unhe relaise ho ki vo HM se sacchi Mohabbat karne lage hai...
In Krish Room- krish Room me Aaya to dekha shivi Aur HM khilkhilaker Has rahe hai...
Krish HM ko gusse se dekhte hue bola- Biwi Aapko Hamne sone ko kaha tha... Aur Aap yahan choti si Bacchi ke sath masti kar rahi hai...
Tabhi shivi HM ke samne Aaker khadi ho gayi... Aur ks ko ghurkar boli- Dad Aapne Hachi Mumma ko kyu dant lahe Solly kahiye ye mumma che.
Ks Apne dono kaan pakadker HM ko dekhte hue Apni cute si voice me bola-Solly Hachi Mumma... Solly shivi ki mumma... Hamne Aapko daant diya.
HM ki Nazre jhuki hui thi... Aur vo muskura rahi thi... Ks Bed per Aaker Baitha Aur usne shivi ko Apni god me Baitha liya... Aur shivi ke gaalo per kiss karke bola- Ab khush Hamne Aapki Hachi Mumma se maafi maang li na...
Shivi bhi Chahakte Hue boli- Ha ha Dad bahut khuch...
Shivi HM ko dekhte hue boli-Hachi Mumma Aap yahan Aaiye na...
HM Apni jagah se thoda Aage Aaker baith gayi... Bich me shivi baithi thi... Aur uske left side ks Aur dusre side HM...
Shivi Apne dono gaalo per finger se point karte hue boli- Dad Mumma Bady ko kicchi (kissi) do na...
HM ko ks ke samne thodi hichkichahat ho rahi thi... Phir bhi shivi ke zid ke Aage vo dhire dhire jhuki... Aur sath hi krish bhi jhuka..
Aur Dono ne Apne hothon se shivi ke gaal per kiss kiya... Aur jaldi se Hatne ko hue... To shivi boli- Dad mumma ek aul...
Ks Aur Hm phir se ek sath jhuke shivi ko kiss karne ke liye... Aur shivi ek jhatke me uthker khadi ho gayi... Aur Accidentally Dono ke lips ek dusre se touch ho gaye... HM jhat se dur hat gayi... Air ks se Apni Nazre churane lagi...
Shivi Bed se utarkar samne Table per rakhi chocolate tray ke paas gayi... Aur exited hote hue boli- Dad mumma itli sali chocolate...
Lekin ks Aur Hm dono to ek dusre se Nazre churaye baithe the...
Isi ke sath ye part yahi end hota hai In sha Allah milte hai next part me 😘
Ok by by take care good night 🌃
YOU ARE READING
💥💔ISHQ DA REVENGE 💔💥
FanfictionMumbai ka Best Docter king Krish...Uski life me kuch esa huaa ki use Docters se hi nafrat ho gayi... Aur vo jaane Anjaane me mumbai ka Business king ban gaya... Aur jaisalmer ki Princess Haseena malik se Badla lene ke liye shadi karta hai...kyaa ho...
