Virat pushes her down to the bed... and he is over her now....
Virat: teek hai....Bataunga... Lekin beech mein tum tokogi nahi... Okay?
Sai: aree par ...
Virat: mmm??
Sai: okay... Fine...
Virat: Sai....(pushing her hair strands behind her ear... Placing his hand on her cheek) itne dino mein ek baath tho mai samajh gaya ki... Mai tumhare bina akele tho kuch nahi sambhal saktha.... Kuch na kuch gadbad jarur hojathi hai... Aur yeh bhi patha chala ki jaane Anjaane mein shayad tumhara kaam badatha tha... Jo chote mote kaam mai kar saktha hu voh bhi tumhe hi karna padtha tha... Hospital se thaki hui aathi ho aur phir ghar mein kaam... Holidays mein or bhi kaam... Mai tho kabhi tumhare liye kaam kam hi nahi karpaya... Ulta bada diya hoga...
Sai is in sleeping position on bed... And virat is sideways sleeping position and his head supported by his hand...
Sai: aisa kuch nahi hai virat...
Virat: shh... Maine kaha na beech mein nahi bhologi...
Sai: 😏
Virat: mm.. aur isiliye maine tay karliya hai ki chote mote kaam jo mai manage kar sakta hu voh sab karungaa... Jaise ki... Clothes press karna...
Sai: voh tho aap vaise bhi karthe ho na aapna uniform...
Virat: sabke... I mean hum theeno ke..
Sai: nahi... Aap phirse jala dhoge...
Virat:yahi problem hai tumhari... mujhe kuch math karne dena... sab kuch tumhe akele karna hai.. Itna stress kyu lena hotha hai tumhe... Aur tumhe barosa nahi hai kya mujhpar... Bas ek baar Galathi hui usiko pakdi hui ho... Itne din sairu ki uniform mera uniform maine hi press kiya na..
Sai: teek hai teek hai... Karlijiyega...
Virat: Good... Aur sairu ko taiyyar bhi mai karunga...
Sai: lekin agar...
Virat:(cuts her) agar mujhe jaldi jana hoga tho tab tum karlena... Uski books arrange kardunga... Aur mujhe baal banaana bhi atha hai so voh bhi manage hojayega... Aur phir... Haa abhi yaad nahi aa raha par jo mai karna chahta hu aur kar saktha hu voh mai karke rahunga... Samajhlaa?
Sai: ho...
Virat:(pointing his finger on her face) aur tum... Double work karna bandh karo...
Sai: double work?
Virat: haa... Maine cupboard mein saare kapde ache se Arrange karke hi gaya tha lekin tum phirse vahi kaam kar rahi thi... Tho mera mehnath bekar gaya na.....
Sai: mai bas bore ho rahi thi tho kaam kar rahi thi...
Virat: kyu karna.. aur voh bhi already kiya hua kaam dubara karna... Jaruri hai kya... Nahi na... Agar koyi kaam nahi hai tho aaram karo na... Shaanthi se bait jau... Books pado ya phir family ke saath time spend karo... Stress free raho.... Subah se baghadaudi aur ghar aakar bhi vahi...
Sai: okay fine.... Nahi karungi... Khush?
Virat: jab tum yeh sab apply karogi tab khush hounga.... Ek aur baath...
Sai: ek aur?
Virat: ji ha... Ek aur... Tumhe mereliye wait karne ki jarurat nahi hai... Mujhe late hoga tho tumhe intezaar karne ki jarurat nahi hai... Tum time par khana khaya karo aur soya karo...
Sai: yeh tho mai bilkul nahi manne vaali...
Virat: Saiiiiii.....
Sai sleeps sideways facing virat supporting her head with her hand...
Pointing finger on his face....
Sai: dekhiye... Mujhe acha lagta hai aapka intezaar karna aur aapke saath dinner karna... Isiliye is point pe I won't agree...
Virat: okay fine... Tum mera intezaar karna chaho tho karo... Lekin khana time pe khaugi...
Sai: par ....
Virat: chup... Time pe khaugi and that's final....
Sai: teek hai .... And same applies to you to Mr. Khadoos jasus
Virat: voh kaise?
Sai: agar mai late hogayi tho aap bhi wait nahi karenge... Time pe dinner karlenge... Okay?
Virat: v..voh...uhmm....
Sai: kya hua Mr. KJ aapke hi rules hai na... Aap khudh follow nahi karenge? Huh? Agar aap nahi karenge tho mai bhi nahi karungi...
Virat: noo... I mean okay... Mai bhi time pe dinner karlunga... Okay
Sai: fine😏 lekin aap yeh sab achanak se kyu....
Virat: kyunki tumse dhoor rehkar tumhare baare mein aur jaan gaya... Shayad pehle maine jyada dhyaan nahi diya lekin jab akele manage kar raha tha na.. tab samajh mein aya ki kitna kaam hotha hai jo hum mardhon ko nahi dhiktha... Mai tho sochtha tha ki mai kuch tho help kar raha tha tumhari lekin... Khair ab maine decide karliya hai... Jitna mai kar sakta hu karunga aur koshish karunga ki aap ladies ka kaam nahi badau...
Sai kept staring at him for a moment..
Virat: kya hua? Aise ghoor kyu rahi ho
Sai hugs him making him fall on bed...
Virat: Saii....
Sai: Lovee you.....
She breaks the hug... (Virat is on bed and sai over him.. like the holi fall)
Sai: Virat... Agar aisa har husband har beta sochne lage na tho ghar mein koyi problem hi nahi hothi... Equality tho apne aap hi ban jayegi na... Har insaan ko chaahe mard ho ya aurath ko samajhna chahiye ki... Ki koyi bhi kaam chota ya bada nahi hotha.... Koyi bhi kaam sirf aurath ka ya sirf aadmi ka nahi hotha... ghar ka kaam dono ka hai.... Ghar ka kaam bhi utna hi jaruri hotha hai jitna humari naukri hothi hai... ghar ka kaam karne mein log sochne lag jaathe hai... House wife bholo tho illiterate jaise sochne lagthe hai... Ghar ko sambhalna itni asaan thodi na hotha hai... Bhabhi karishma aai kaki yeh sab tho bina kuch kahe ek din bhi bina rest liye humare liye karthe jaathe hai.... Haa mai bhi karthi hu lekin unki vajah se mere hisse ka kaam sachme kam hojatha hai.... aur aap na... Aise harkathe karthe ho tho aapkeliye pyaar na... Multiply hojatha hai....
She kisses him on cheek.... Virat is surprised....
Virat: mmm... Itna kuch karne ke baadh hi kiss milega varna tho mujhe maangna padtha hai humesha... Tch tch tch bechara Virat....
Sai:(hits him on chest) kuch bhi matlab... So jaye Mr. Bechara...
Virat: tum utogi mere upar se ya phir....( Teasing tone) aise rehna ka iraadha hai...
Sai: ut rahi hu....
She tries to getup but virat pulls her by wrist... She falls back on him...
Virat:(dramatic) math jau na.... Rukh jau na mere pass... please🥺
Sai: mohit bhaiya se baath karni padegi...
Virat: voh kyu aaya beech mein...
Sai: aap hi ne tho kaha na ki aapko mohit bhaiya hi acting sikha rahe hai...
Virat: tho....
Sai: tho unse kahungi ki classes bandh kare....(frees herself from his grip and stands up) kyunki aap over acting kar rahe ho....( She walks to the other side of bed)
Virat: haww... Pati ka pyaar tumhe overacting lag rahi hai....
Sai sleeps on the bed....
Sai: ji haa.... (Switches off the light)
Virat sleeps besides her....
Virat: kal yug hai... Jaha pati ka prem patni ko natak lag raha hai... Tch tch tch.... Hey bhagwan daya karo hum jaise bechare patiyon par....
Sai(sleeping sideways.. supporting her head with her hand..Stares at him🤨)
Hogaya?
Virat: hmm...
Sai: Good...
She sleeps hugging him.... He wraps her up in his arms... And they sleep peacefully...
.....
Next day... Sai's routine started... Going to hospital coming back home around 7 pm... And spending time with family and kids... Virat as he said started helping her trying his best to reduce her burden of work....
.....
A week later....
On one week day....
Both Sai and Virat are gonna be late to home... They informed the family...
So, family had dinner.... pakhi and karishma managed to make the kids sleep specially sairu....
It's 9:40 pm....
Virat enters home and walks towards his room ... He looks too tired... Ashwini is still awake she goes to check whether sai or virat came home or not... She finds virat sitting on the bed holding his head.... She walks in...
Ash: Godu... Tu teek hai na...
Virat:(looks at her... Weak tone) haa aai... Bas thoda headache hai... Aur bhohot thakaan si lag rahi hai...
Ash: Godu... Jaake fresh hoke ajaa... Mai tere liye khana lekar athi hu...
Virat: nahi aai... Khaane ka mann nahi kar raha...
Ash: chup kar... Khana tho padega... Mai khilaungi.... Tu jaa ab...
He goes to freshup... And ashwini comes there with food....
He sits on chair and ashwini stands nearby and feeds him...
आप पढ़ रहे हैं
Ghum hai ki pyaar mein❤️ part 2
FanfictionThis story is going to be the continuation of my story Ghum hai kisike pyaar mein ❤️...