(Disclaimer: the exact rules and regulations may not be mentioned... So just go with the flow... And please do vote and comment guys... )
After dinner... everyone went back to their rooms.
In sairat room...
Sai is bottle feeding the baby... virat sat beside her looking at the baby and is lost in his own thoughts... After baby slept, virat goes to the cradle and places it near his side of the bed. He also arranges the bed in the cradle and then sai gently puts the baby in the cradle. She swings for a while so that baby's sleep doesn't get disturbed. Later she sits on the chair and asks virat to come and sit with her. He sits on the chair next to her.
Sai: ab batayiye... kya chal raha hai aapke dimaag mein... kuch serious baath hai kya?
Virat: arre nahi nahi... itna bhi serious kuch nahi hai... mai tho yeh soch raha tha ki iska birth 29 feb mein hua na... ab 4 saal mein ek baar thodi na celebrate karega apna bday... aur school keliye bhi dusra date dena padega na... soch raha tha ki feb 28 daale ya march 1..
Sai: kamaal karthe hai aap bhi.. itni si baath keliye baby ko itna seriously ghoor rahe the aap?
Virat: arre... mai tho soch raha tha... ab batau ki kya date hoga
Sai: virat... abha ka bday mar 1 ko atha hai(assume it)... har saal tho hum bas shiv ji ki temple jaathe hai.. aur is saal tho humara baby is duniya mein aya hai.. tho.. march 1 teek rahega na
Virat: teek?? Perfect hai... ab se.. I mean agle saal se hum aabha ka bday baby ke through celebrate kar sakte hai...
Sai: thank you..
Virat: ab ek aur baar yeh word use kiya na tho acha nahi hoga sai... aaj vaise bhi bhohot baar bhol chuki ho..
Sai: okay patidev.. nahi kahungi aage... vaise virat... naam kya rakhna hai iske baare mein socha hai kya
Virat: helloo... tumne hi tho kaha tha ki is baar naam tum choose karogi kyunki saira ka naam maine choose kiya tha... bhool gayi?
Sai: (nervous smile) shayad... teek hai... mai hi choose karungi...
Virat: good... ab so jau... mere vaale side so jana...baby paas rahega... aur haa agar tumhe neendh aa rahi hai tho mujhe uta dena.. mai sambhallunga baby ko... akele manage karne jaise mahaan khayal dimaag mein math lanaa... samajhlaa?
Sai: ji patidev... aur kuch?
Virat: filhal bas itna hi.... (they get up) oh haa... ek aur baath hai..
Sai: ek aur? Kyaa?
Virat: (kisses on her forehead) love you jaan
Sai: (smiles) love you too...
They go to sleep. And its obvious that baby wakes up at midnights. Sai took care of the baby. She managed to put him back to sleep.
Next day, family had a discussion about names. Bhavani asked the pandit about the letter to name the baby and the letter suggested according to the astrology was 'V'.
Samrat: arre wah... yeh tho S-V family hogaya na..
Mohit: ho na dada... ab V se names list out karna shuru karna padega...
Ash: vahini.. naamkaran kab rakhenge?
Bhavani: theen din baadh shub din bataya pandit ne.. tab hi rakh lethe hai...
......
( I am not gonna write much about the namkaran and all... I want to bring the next plot into the story.. so i am writing this off in a fast forward mode)
The family made a list of v names and final selection was of sai and saira. They finalised the name of the baby.. so, sairat's baby boy named as VEDHANT. ( I know it's a common name.. but story is more important than the names right)
.......
After few days...
Evening.... In police station...
Virat is packing his things to leave... just then a constable enters and informs him that DIG has come and wants to meet him. Virat goes to his cabin.
Virat: Jai hind sir... aapne mujhe bhulaya?
DIG: haa virat... ek case ke silsile mein yaha aya hu... mujhe lagtha hai ki tum hi is mission ko lead kar sakthe ho...
Virat: case kya hai sir?
DIG sir gives information about the case. (This will be revealed later and its different from the present plot)
Virat: sir, i am grateful ki aap mujhpar viswas rakhkar aise most important cases lead karne ka mauka dethe hai.. but sir is baar mai yeh mission lead nahi karna chahtha..
DIG: what?? Dekho virat, I know you have a family, aur vedh bhohoth chota hai isiliye tum abhi apne family ko vedh ko jyada time dena chahthe ho.. but understand the seriousness of the case?
Virat: sir, mereliye farz se badkar kuch nahi hai.. aur yeh baath aap achi tarah se jaanthe hai... mai isliye nahi lena chahtha thaaki ek officer ko apna kabiliyat dhikana ka mauka mil sakhe. Sir, jaise aapko mujhpar viswas hai ki mai cases solve kar saktha hu vaise hi mujhe apne officer par viswas hai.. kuch hi vakth hua hai duty join kiye hue phir bhi Voh mere bhohoth se cases solve karne mein bhohoth helpful rahi hai... ek badi case keliye wait kar rahi hai. I want to handover this case to her..
DIG: tum kiski baath kar rahe ho virat?
Virat: officer Devika jadhav , trust me sir she will ensure the success of this case at any cost.
DIG: tum itni tareef kar rahe ho tho she must be capable.. phir bhi..
Virat: don't worry sir... mai is case ko sirf lead nahi karunga lekin involve jarur hounga...
DIG: ohk then... I will take a leave..
Virat: jai hind sir...
....
In virat's cabin...
Virat calls the officer...
Virat: officer... you got a case to solve..
devika: mujhe sir?
Virat: I think maine abhi vahi kaha... bhohot hi crucial case hai and I feel you can lead this mission
She is in shock..
Virat: shock se bahar aau... case ke baare mein tumhe bathana bhi hai...
devika: yes..yes sir...
Virat explains the case to her...
Virat: I think you wont dissapoint me... and mai bhi is case mein involved rahunga so mujhe tumhare har move ke baare mein jaankaari deni hogi.
Devika: I get it sir... and mai aapka yeh viswas tootne nahi dunga...
She goes to touch his feet for blessings.. He stops in the midway...
Virat: iski jarurat nahi hai... Tum bas is mission mein focus karna...
Devika: yes sir... Jai hind sir...
Virat: Jai hind...
She leaves....
......
Just then a constable comes and informs him that a lady wants to meet him... He asks to send her in... The lady enters... She is in bhurkha...
Virat: ji batayiye... How can I help you
Lady removes the face bhurka...
Virat gets shocked..
Virat: Sandhya??? Tum?? Aise?? Baito...
She sits on the chair...
Virat: tum aise... Yaha? Kuch hua?
Sandhya: mujhe ek case file karna hai...
Virat: case? Kispe? Hua kya hai?
Sandhya: Rahul pe... domestic violence ka case file karna hai...
Virat: (shocked)Domestic violence??
Sandhya:(teary eyes) maine... dusre station mein complaint file karne ki koshish ki thi lekin... Rahul ki network badi hai aur us station ke ek police vaala usko jaake batha diya tha... Uske baadh mujhe house arrest kiya gaya tha... Mai vaha se himaat jhutake baagh kar ayi hu... aapne kaha tha na us din... Ki aap mere dada ho... Mujhe apne dada par hi viswas hai isliye mai aap hi ke paas ayi hu...
(Folded hands)Please help me... Please...
She cries ... Virat sits on the chair facing her... He holds her hands...
Virat: Sandhya... (She looks at him and he wipes her tears) mujhe dada maanthi ho aur request bhi kar rahi ho... Mai hu tumhare saath... Complaint file karne se pehle mai chahtha hu ki tum Ghar chalo sai se baath karo...
Sandhya: kya aap bhi... Mere aai baba ki tarah compromise karne keliye keh rahe hai?
Virat: mera voh matlab nahi tha Sandhya... Case yu hi tho nahi daal payenge na... Complaint file karne keliye shuru se kya hua hai kya nahi... Yeh jaanna jaruri hai... Tumne hi kaha tha ki tum kisipar bhi viswas nahi karsakti... Isiliye shayad aise aayi ho... Kuch cheeze tum dada se kehne mein uncomfortable feel karogi That's why I am saying ki sai se baath karo...
Sandhya nods as yes...
Virat: ghar chale?
She nods as yes...
....
They reach home... Door bell rings... Sai opens the door....
Sai: virat aap aagaye..(she looks at Sandhya and feels so happy) Sandhyaa... (Hugs her) kaisi ho? Kitne mahine hogaye yaar tu tho calls karna tho dhoor utathi bhi nahi... Meri Godhbharayi ke baadh ab jaake mai yaad aayi na tumhe...
Sandhya couldn't answer anything... She just smiled...
Virat: Sai... Andhar tho aane dho...
Sai: (hits her hand on her head) ohhoo... Sorry... Aau Sandhya...
Sandhya enters with a bag...
Sai: yeh bag? Kahi jaa rahi ho?
Virat: nahi sai... Kuch dino keliye Sandhya yaha pe rukhegi...
Sai: yaha? Mai kuch samjhi nahi...
Virat: pehle yeh batau ki .... Vedh kaha hai?
Sai: voh bacho ke saath unke room mein hai...
Virat: aur baaki sab?
Sai: baba kaka dada aur Mohit Bhaiya tho kaam se nahi aye... Bhabhi karishma apne maike gaye the subah subah... Aai kaku kaki bua pados ke ghar pe gaye hai... Par...
Virat: tho tum Sandhya ko kamre mein le jau... Aur baath karo... Mai chai lekar atha hu... Jau...
Sai: okay... Sandhya... Chalo...
They both walk towards upstairs... And sai turns back and calls virat...
Sai: Viratt...
Virat: haa...
Sai: vedh ko dekhiyega Zara...
Virat: haa... Mai sambhalunga...
Sai and Sandhya go to sairat's room...
Sai: Sandhya... Ab tho batha dho ki kya hua... Mujhe gabrahat ho rahi hai tumhari silence se...
Sandhya immediately hugs her tight and starts crying....
Sai: ro kyu Rahi ho? (Breaks the hug and cupping her face)Hua kya hai...
Sandhya says what she told to Virat in the station... Sai gets shocked...
Sai: yeh sab... Yeh sab hua aur tum... Tum mujhe pehle batha dethi na...
Yeh sab kabse ho raha hai?
Sandhya: shaadhi ke kuch hi mahine baadh se usne apna asli rang dhikana shuru kardiya tha... Bhohot adjust karne ki koshish ki thi Sai... Apne had se jyada adjust Kiya karthi thi phir bhi kuch na kuch kamiya nikhaalthe the...
Phir meri job thak chodne keliye kehthe the... Phir maine keh di thi ki mujhse aur nahi hoga isiliye mai usse dhoor yaha nagpur agayi thi... Yaha kaam karne... Tab tumhe bathana chahthi thi lekin jab mai tujhse mila tho... Tumhare life mein problem chal rahi thi... Shruthi ka... Jab voh solve hua tab phirse ek baar hum sab mile the... Tab bhi Koshish ki thi maine... Lekin tum miscarriage ke us phase se bahar aa rahi thi... In sab mein mai tumhe kaise bathathi... Aur Mai akele deal karna chahti thi... Phir voh mere family ke saamne bechara ban jatha tha aur mere family mujhe ek aur mauka Dene ke baare mein bholthe the... Emotional blackmail shuru kardiye the... Isliye mann na manne par bhi mai gayi thi apne pati ke pass... Vapas... Lekin kuch difference tho dhika hi nahi... Vahi sab ho raha hai... Infact extra torture ke saath... Apne parivaar ko bathakar bhi koyi faidha nahi hai kyunki unhe society ka dar hai relatives kya kahaniya banayenge uska dar hai... Mujhe adjust karne keliye hi kehthe hai... kitna adjust Karuu🥺.... Kitnaa... Meri apni pehchaan ko peecha kaise chod dhu... Aur agar chod bhi diya kya guarantee hai ki voh mujhe khush rakhega...(she holds Sai's hands) aisa nahi hai ki maine apne rishte ko bachane keliye kuch nahi kiya... Maine kiya hai Sai.... Usko khush rakhne keliye har prayas kiya karthi thi... Lekin baadh mein ek dar shuru hogaya tha ki kya aise apne pehchaan ko peecha chodkar kisi aur ki khushi keliye zindagi bhar koshishe karthi reh jaungi? Kya mai kabhi dil se khush bhi reh paungi? Ek hi jawab miltha tha sai... Nahi.... Haa mai selfish hu... Mai doctor banna chuna uskeliye itna mehnath kiya aur ab uskeliye job kyu chodu? Mai nahi rehna chahti aise... Nahi... Nahi...
Sai hugs her....
Sai: sshhh .... Shaanth hojau... Baito yaha pe...
She makes her sit on the chair.... And sai sits on the table...
Sai: Sandhya... Ek bhohot personal sawal karne ja rahi hu... Kabhi... Tum dono... Apne rishte ko aage badana...
Before she could complete Sandhya says...
Sandhya: shuru shuru mein voh baby nahi chahta tha kyunki voh apne business mein concentrate kartha tha... Aur jab mai vapas gayi thi uske pass... Tab shuru hua tha... Maine kaha bhi tha ki mai taiyyar nahi hu iskeliye... Sasural se pressure shuru hua aur mere parivar se emotional blackmail....bhol rahe the ki Bache honge tho ristha bhi teek hojayega... Kya guarantee hai ki teek hoga? Ulta mere saath saath mera bacha bhi in sab mein ulajke reh jayega na .... Tab tho unhe ek aur point milega na mujhse job chudvaane ka...
Sai: tumhari job se kya problem hai? Yeh jaankar hi shaadhi kiya tha na ki tum ek doctor ho?
Sandhya: haa... Tab tho kisiko koyi etraas nahi tha lekin ab ghar sambhalne keliye ghar pe rehna chahiye bahar kaam kyu kare jab pati itna kamaa raha hai tho....
Sai: what nonsense? Kaunsi zamana mein jee rahe hai yaar...
Sandhya: mujhe ghar ke kaam karne se problem nahi hai... Lekin uskeliye mere job chudvana chahne ka kya matlab hua.... Hum kya bacha paidhe karne keliye hi hai... Usko jab bacha nahi chahiye tha tab sab teek... Ab mai sirf yeh bhol rahi hu ki mai ready nahi hu abhi...uskeliye thamasha hotha hai... Mai apne liye aisi life nahi chahthi thi... Jaha ek din guzarna hi mushkil ban jaye.... Isliye maine yeh faisla li thi...
Sai: sahi faisla liya hai tumne Sandhya... Aur mai tumhare saath hu... Mai kya mera poora parivaar hi tumhari saath degi... Aur humare friends bhi... Rahul ko apni kiye ki saza jarur milegi... Lekin uskeliye tumhe strong hona hoga... Hum sab tumhara saath jarur denge lekin ladna tho tumhe hai...
Sandhya: bhohot hi sochkar yeh faisla liya hai maine sai... Peeche hatne ka sawal hi nahi ut tha... Ab sirf himaath se aage badna hi hai... And thank you mujhe samajhne keliye aur saath dene keliye...
Sai: thank you bholne ki jarurat nahi hai tumhe... Aage se bholna math...
Sandhya: haa... Sai... kya mera yaha rehna tumhari family ko acha lagega?
Sai: tum iski chintha bilkul math karo... Sab tumhe already jaanthe hi hai tho kuch problem hoga hi nahi...
Sandhya: mmm...
Sai: Sandhya... Mai ek baath poochu..
Sandhya: haa...
Sai: tum... Jab Godhbharayi ke din aayi thi ... Tho... Baar baar apna phone check kar rahi thi aur... Rahul ki call athe hi bhohot gabra gayi thi... Kya hua tha us vakth?
Sandhya gets bit scared remembering those scenes... But what happened to her?
..........
I hope you like it and thanks for supporting and keep supporting and keep voting... Drop your valuable comments too..
आप पढ़ रहे हैं
Ghum hai ki pyaar mein❤️ part 2
FanfictionThis story is going to be the continuation of my story Ghum hai kisike pyaar mein ❤️...