Saira: tujhe Sona hai?
Vedh:(sits on the bed) tum sone vaali ho?
Saira: nahi... Abhi 10 hi tho bhaja hai... 11 thak mushkil...
Vedh: tho kya problem hai....
Saira: mai bas isliye poocha ki tujhe kal classes honge na... Chid kyu raha hai ab?
Vedh:(stands) aisa hi lagta hai jab tum bevajah chidthi hai tho... Itna gussa kyu hojathi ho yaar.... Mai gyaan thodi na de raha tha bas tumhe shaant karne ki hi tho Koshish kar raha tha na... Daantna hotha hai bas... Chota bhai jo hu... 😏
Saira:(puppy face and holding her ears) sorry Vedh... Sorryyy....
Vedh: nahi pigalne vala mai...😏
Saira:(does situps) sorry 1... Sorry 2...
Vedh: bas karo abhi...
Saira: hush... Thank God maan liya... Abhi itna kha liya ki utak baitak nahi ho raha...
Vedh: sab sahi naam hi diya tujhe.... Dramebaaz...
Saira: thank you... Ab bait ja...
Vedh: beds separate karna hai... Tu nahi thi tho maine join kardiya...
Saira: baadh mein karlenge... bait jaa...
Vedh sits on the bed... She goes to mirror and combs her hair...
Vedh: Tai... Bahar mai samar dada Krish dada bhi yahi kaha na ki baba pareshan honge tab tho hum pe gusse hoke andhar chali aayi... Aur andhar aathe hi normal hogayi... Kaise?
Saira:(ties her hair by band) unhe pareshaan nahi dekh paathi hu na mai... Gussa bhi phurr hogaya unhe Aisa dekhkar..
Vedh: mmm...
Saira:(sits beside him) patha hai vedh... college time pe na apne dream se divert hogayi thi poori... Itna ki mujhe lagne laga ki police banne ki sapna chod hi dhu... Mujhse nahi hoga... Itni mehnat kaun karega...
Vedh: Really?
Saira: haa.... Par ek din na mai papa ke station gayi thi... Unke break time pe... Tab na...
Flashback..
Saira hears some voices from Virat's cabin so she decides to stay outside and wait...
But she could here the conversation...
Virat: finally yeh case close hogaya..
Head constable: ji sir ji... Ab un maasum ko insaaf milegi...
Virat: haa...
Head constable: chaltha hu sir... Aap lunch karlijiye...
He is about to leave...
Virat: Patel ji...
Head constable (HC) turns around...
HC: ji sir...
Virat: maine suna hai ki... Aapki beti UPSC ki taiyyari kar rahi hai...
HC: ji sir... Voh police banna chahti hai...
Virat: arre wah... Yeh tho bhohot achi baath hai... Meri beti bhi police banna chahti hai...Abhi vakth hai usko yeh sab taiyyari karne keliye... Vaise kaise chal rahi hai taiyyari
HC: bhohot mehnath kar rahi hai sir...
Virat: mm... Karna bhi chahiye na... Agar kuch bhi poochna ho mujhe call karne ko kaho... Mai guide tho kar sakta hu na...
HC: sachme sir?
Virat: haa... Ab pada tho nahi paunga lekin guide jarur kar sakta hu...
HC: bhohot dhanyawad sir ji..
Virat: dhanyawad ki kya baath hai Patel ji... Mai dil se chahtha hu ki voh top kare aur aapka naam roshan kare... Ussey kahiye ga ki aur jyada mehnat kare ...
HC: vahi tho eklauta rastha hai na sirji?
Virat: matlab?
HC: hum jaise logo ke paas vahi ek rastha hotha hai... Lekin aap jaise bade logon ke paas dusra rastha bhi hotha hai na ....
Virat: dusra rastha?
HC: bhura math maniye ga sir ji... Lekin maine suna hai aur dekha bhi hai... Bade bade officers jinka bada network hotha hai... Voh apne bacho ko jinke pass kuch kabiliyat nahi hothi unko recommendation se jobs dhilva dethe hai... Jiske vajah se baaki jitne vacancies bache hothe hai unhe hazil karne keliye mamuli si logon ko bhohot jyada mehnat karni padthi hai... Ab aapka itna naam hai nagpur mein... Aapki beti ko aise hi naukri dhilaya jaa sakta hai... Jyada mehnat bhi nahi karni padthi....
Flashback ends...
Saira: us vakth na mai voh door thoda open karke dekha ki kaun baath kar raha hai aisa... Tab papa ko dekha... Bhohot pareshan dhik rahe the... Bas ek smile kiya aur voh head constable chala gaya... Mujhe bahar khada dekh papa mujhe andhar bhula liya... Smile karthe hue... Lekin unke Mann mein ek alag hi toofan chal rahi thi...
Vedh: shayad yeh soch rahe honge ki kya unke bache unki position ka galat faidha uta sakte hai...
Saira: mujhe bhi yahi laga... Patha hai na jab bhi mai station jaathi thi ya tum hospital jaathe the tho mumma papa unke chair pe bita dethe the hume aur proud feel karthe the... (Vedh: haa) Lekin Us din bas smile thi... Proud feeling nahi thi papa ke chehre pe... Pehli baar us chair pe baitkar maza nahi aayi Bhohot ajeeb laga mujhe.... (Long pause)
Vedh: phir?
Saira: phir kya... Maine hi tho bachpan se yeh ummedh jagayi thi na papa mein ki mai police banungi unki tarah... tho kaise divert hosakthi thi... Tab decide hogayi thi ki yeh sapna tho poora karna hi hoga... Voh bhi mehnat karke... Us head constable ke baatho ko galat saabit karna hi hai bas... Unko samajh tho aaye ki Baaki ka tho patha nahi lekin IPS officer Virat chauvan ki beti unhi ki tarah sahi raah par chalegi...
Vedh: phir mehnat ki aur UPSC ranker ban gayi...
Saira: haa... Aur training pe bhi meri target yahi thi ki trainers ko ya trainees keliye mai THE IPS OFFICER VIRAT CHAVAN ki beti ka image na banau... Koyi yeh na kahe ki yeh ek unki beti hai isliye isko pass karthe jaathe hai...
Vedh: mmm... Itna jee Jaan lagake mehnat ki hogi tabhi jaake best cadet ka medal Mila tujhe... (Hugs her) proud of you Tai...
Saira: hayyee... Yeh din ko golden letters pe likhkar rakhna chahiye... Vedh ne meri tareef ki .... O...M...G...
Vedh:(breaks the hug) jyada udo math... Tareef hazam hi nhi hothi na tujhe... Nahi karne vala abse tareef...😏 Chipkali
Saira:🤭(ruffles his hair) mera pyaara taperecorder 😂
Vedh:kitne baar bholu yaar baal ko haath matha laganaa...
Saira: par mai kaha tumhari baath maanthi hu... mujhe acha lagtha hai na tujhe pareshan karna...
Vedh:( stands) khadoos ho tum...
Saira: acha okay nahi karungi .. bait ja... (Vedh:🤨) bola na nahi karungi... Bait...
Vedh sits next to her...
Saira turns facing him...
Saira: (takes his hands into hers) acha sun... Jab bhi tum distract hojau na... Tumhe lagne lage ki kya yaar itni mehnat kyu karni and all... Tab break Lena... Aur aai ke saath unke clinic chali janaa... Unka kaam dekhna aur phir yeh poochna ki aai tumhe kabhi aisa nhai laga ki aaram kare itna mehnat kyu karna hai .. tab jo jawab milega na voh hume motivate kardega... Okay?
Vedh: okay☺️ ab jaise tum baba ki sapne ko aage lekar Jaa rahi ho vaise mai bhi aai ki sapne ko aage lekar jaunga... Unki hi tarah mehnat karunga...
Saira: haa... Jaise mai IPS officer Saira Virat chavan hu... Vaise tum bhi Doctor Vedhant Sai Chavan ban janaa...
Vedh: sunne mein kitna acha lag raha hai Tai....
Saira: hainaa.... Acha apni kahaniya batau tho... Itne mahino mein kya kya hogaya...
Vedh: ek tho bata diya...
Saira: aur mujhe shock lagi....😂
They have gossips session going on...
आप पढ़ रहे हैं
Ghum hai ki pyaar mein❤️ part 2
FanfictionThis story is going to be the continuation of my story Ghum hai kisike pyaar mein ❤️...