Next day....
A normal routine day....
Ninad and Omkar has to go out of town for some work related to their business...
During dinner time...
Ladies are in kitchen... Sai just came form hospital so she went to freshup...
Only the kids and chauvan brothers are at dining hall discussing something.... Bhavani enters and they stop discussing....
Bhavani: aise kya baathe kar rahe the mere aane se bandh hi kardiya..huh?
Krish: voh surprise ( virat closes his mouth..)
Bhavani: surprise? Kya surprise? Aur virat... Tu uska muh bandh kyu kar raha hai..?
Virat: kuch bhi nahi kaku....
Samrat: badi maami... Yeh Krish kuch bhi bholtha rehtha hai... Aapko patha hai na...
Bhavani: sach bhol rahe ho na...
Virat: ha kaku... Kuch nahi hai... Bas bache apne school ke stories suna rahe the tho hum sun rahe the... Bas...
Ladies bring food and place them on the dining table... Sai also comes to the dining hall....
Sai: kya discussion ho rahi hai...
Bhavani: vahi mai bhi pooch rahi hu lekin yeh log kuch or hi jawab de rahe hai....
Sai: tho pakka kuch na kuch chal raha hai....
Virat: hadh hai... Hum bhol tho rahe hai ki kuch nahi hai... Phir bhi shak kar rahe ho... This is not fair...
Pakhi:(arranging plates) humara experience kehtha hai ki jab bhi chauvan brothers ke dimaag mein kuch kurafathi planning chal rahi hothi hai tabhi aise... kuch nahi kuch nahi bholthe rehthe hai...
Karishma: sahi kaha bhabhi... Jabse ghar aaye hai yeh sab group banake discuss kiye jaa rahe hai....
Mohit: karishma...tum hum par nazar rakh rahi thi....
Samrat: aur pakhi tum shak kar rahi ho....
Pakhi and karishma: ji nahi....
Sai: dada... Mohit bhaiya... Ab bas hogaya... Batayiye kya chal raha hai...
Virat: kuch bhi chal raha ho...tumhe kya... Tum sab ke beech bhi kitne saare baathe hothi hai... Hum tho kabhi nahi poochthe... Tho ab aap log bhi kuch math poochiyega...
Sai: aap na...
Saira: stop.... Kya mumma papa... Aap sab Tom and Jerry math bano ab...
Samar: aur aai... Kaki... Dhaadhi... Secret hai tho share nahi kar sakthe...
Krish: aur mujhe bhohot bhook lag rahi hai... Khana milegaa.?
Ashwini: jarur milega.... Yeh dheko kitne saare varieties bane hai....
Krish: laddooo.... yumm.... (He is about to take..)
Sonali:(hits on his hand) oyy... Jaake hasth hand haath wash karo pehle...
Krish: teek hai okay ji daadhi...
Everyone laughs as Krish copies Sonali's style of saying three words...
Sonali: Mera style nakal copy prathilipi kar raha hai... Huh? Badmaash.... (Trying to hit him but Krish runs away...)
After dinner.... Sonali Bhavani and ashwini went back to their rooms...
Kids are stopped by their mothers...
Sai: ab bholo ki kya kichidi pak raha hai...
Samar: kaki... Kal patha chal jayega...
Pakhi: kal? Kal kya hai...
Krish: arree.. voh mo...
Samar: krishhh.... Kal Monday nahi Sunday hai... Kya yaar... Yeh bhi bhool gaya....
Krish: haan...haan... Kal Sunday hai kaki....
Karishma pulls his ear...
Krish: ahh mumma...
Karishma: ab batau ki chal kya raha hai... Sach bathana...
Saira: kaki... Krish dada ko chod dho na... Bas kal thak wait kijiye na... Sab patha chal jayega...
Samar: trust us... Hum kuch gadbad ya shararath nahi karenge....
Virat, samrat, and mohit come there...
Virat: aaj hum bachon ko sulayenge...
Sai: achanak se
Samrat: haa aaj humara mann hai ki hum humare bachon ko sulaye...
Pakhi: arre lekin...
Mohit: chalo bacho.. chalo chalo....
He takes them and samrat and virat follows...
Karishma: kuch tho chal raha hai...
Pakhi: lekin kar bhi kya sakthe hai...
Sai: sirf wait kar sakthe hai... Dekthe hai ki kal kya hoga... Lekin filhaal keliye ache se sojayenge.... Kal subah jaldi bhi utna hoga na...
Pakhi: haa...
Karishma: Good night....
They leave to their respective rooms...
In kids room...
Kids and chauvan brothers are in deep thoughts...
Samrat: humare paas decoration ka samaan hai...
Mohit: lekin kab decorate karna hai...? Subah ya shaam...
Virat: Subah hi karlethe hai na... Morning breakfast Bana Lethe hai aur cake bhi.... Lunch aur dinner order karlethe hai....
Saira: yayyy... Pizza order karthe hai...
Krish: nahi sairu... KFC....
Saira: nahi dada... Pizza...
Samar: arre bas karo tum dono... Kal ki celebration ki planning chal rahi hai aur tum dono ho ki khaane ke baare mein soch rahe ho....
Samrat: shiva... Kal subah mai aur Mohit decorations karlethe hai... Aur tum naasthe mein poha bana dena...
Aur baadh mein hum sab milke cake banalenge...
Samar: baba... Itna sab hoga kya subah subah...
Virat: jaldi utna padega kal... Paanch baje..
Mohit and Krish:(shocked) paanch baje....
Samrat: haa... Utna hogaa...
Mohit: acha okay ...
Samar: lekin baba kaka... Agar subah koyi ut gaya tho....
Virat: haa... Yeh tho socha nahi... Sai tho alarm lagaake sothi hai...
Samrat: pakhi bhi....
Krish: idea... Hum sabke alarms off kardenge... Koyi utega nahi tho hume koyi disturb bhi nahi karega...
Samar: ha yeh teek rahega....
Virat: so fix na... Tomorrow 5am... Ab sone chalthe hai...
They leave to sleep .....
.....
Next day morning....
Virat, samrat and mohit woke up and slowly went to the kids room...
Kids are still sleeping.... They try to wake them up but no one is responding.....
Samrat: wah... Kal tho aise bhol rahe the ki Paanch bajthe hi ut jayenge... Ab dekho itna utane ke baadh bhi koyi ut hi nahi rahaa....
Mohit: aise tho plan flop hojayega...
Virat: nahi hoga...
Virat lifts saira into his arms... And starts tickling.....
Saira: Papaa..... Five minutes.... Sone dho na.... Please.....
Virat: aise hi sothe rehna... Aaj ka celebration cancel....
Saira:(opens her eyes) nooo....
Virat: Good... Ab apne bhaiyiyon ko utau...
Saira: okay....
She lifts her brothers by shaking them....
Krish: kya yaar sairu.... Sone dho...
Saira: dadaa.... Celebrations ka kya... Uthiye na .....
Samar wakes up and lift Krish also...
All go to hall.... As per plan samrat and mohit does decorations with help of kids... Meanwhile virat prepares breakfast... Later all together prepare cake....
Kids: yay.... Sab ready hai...
Virat: mar gaye...
Samrat: kya?
Mohit: dada... Kitchen ka haal tho dekho...
Virat: abhi time hai... Chalo sab clean kardethe hai....
They all clean the kitchen....
And then virat samrat Mohit go to ashwini Bhavani and sonali rooms respectively... Kids go to their respective mom rooms....
Sai: saira tum yaha... Itni subah subah ut bhi gayi...
Saira: haa... Aur aap late ho aaj...
Sai: okay... Ab chalo neeche...
Saira: nooo....
Sai: kyu... Kaam karna hai bachaa....
Samar: kaam baadh mein karlena... Ab jaake fresh hojau aai...
Pakhi: pehle saaf safai karle uske baadh fresh hojaungi....
Samar: no aai... Aap jau...
Pakhi: kyaa hai... Aaj itna Jidh kyu kar rahe ho... Aur subah subah uta kyu? Aur mujhe kaam bhi nahi karne de rahe ho....kya chal raha hai samar?
Samar: ohhho... Aai.... Kitne sawal karthe ho yaar aap.... (He goes to cupboard... It has a cover and takes out a new saree...) Aap jau aur fresh hoke yeh pehanna...
Pakhi: yeh kyu..?
Krish: arre... Pehanne mein kya problem hai mumma? Isme bhi question kar rahi ho....
Karishma: mujhe kuch tho gadbad lag rahi hai...
Krish: aap na apne detective mode off karne... Kuch gadbad nahi hai... Sab teek hai...
Karishma: par...
Krish: no more questions mumma...
Aap jau abhi... Please....
(Imagine parallel scenes)
Sai/pakhi/karishma: okay fine... Jaa rahi hu....
Saira/samar/Krish: that's like a good mumma...
....
Meanwhile ...
Ashwini is about to come out of the room just then virat stops her and takes her inside the room..
Virat: aai... Aap kaha jaa rahi hai...
Ash: yeh kaisa sawal hai Godu... Kaam karne jaa rahi hu aur kya... Aur..tum itni subah subah mere kamre mein... Kuch kaam tha.... Aur yeh haath mein cover... yeh kya hai?
Virat: ohho aai... Kitne sawal karthi hai aap... Police wala aap nahi aapka beta hai...
Ash: kal se dekh rahi hu... Ajeeb sa barthav kar rahe ho sab...
Virat: kuch ajeeb nahi hai... Yeh aapkeliye saree hai... Yeh pehan lijiye aur neeche ajayiyega.... Okay...
Sonali: par kyu...? Aaj kuch khaas special vishesh hai kya...
Mohit: agar nahi hai tho aap yeh nahi pehnenge kya...
Sonali: aisa nahi hai... Already ready hogayi hu na tho phirse kyu...
Mohit:(dramatically) aai... Aapka beta aapkeliye saree lekar aaya hai aur aap aap hai ki pehanna bhi nahi chahti... Hey bhagwan... Aise situation kisi or bete ke jindagi mein na aaye... Na aaye...
Sonali holds his ear....
Mohit: (screams in pain)ayyy.... Aai...
Sonali: bandh kar yeh natak drama nautanki...
Samrat: tho aap maan gayi na badi maami....
Bhavani: aur koyi option hai kya...
Samrat: nahi bilkul nahi hai....
Bhavani: tho phir... Tum itna bhol rahe ho tho yeh saadi pehanke neeche aajaungi....
Samrat: okay badi maami... Apna time lelijiyega ....
.....
All the ladies get ready and opens the door.... Their kids are standing outside the room door and blindfolds them...
They are bought down... And all are standing in a line.... And the kids and boys stand in front of their respective mothers... Samrat infront of Bhavani...
All are asked to open the blindfold...
Everyone says...
" Happy Mother's day"
The decorations are so good....
The children of the mother's have a sache saying " Best mother" and a crown.... They made their mother's wear it... they bought a cake... All the mother's cut the cake and feed their children...
Bhavani: bhohot tasty hai...
Sonali: lekin cake laaye kab... Kal raath tho fridge mein bhi nahi thi...
Ash: aur yeh sab kab kiye...
Samrat: cake hum sab ne milke banaye hai... Aur yeh decorations bhi humne milke ki hai...
Mohit: aur subah utke hi saare kaam khatam kar liye...
Virat: aaj ka breakfast bhi ban chuka hai... Lunch aur dinner bahar se order karlenge... So aapka day off hai aaj... No work today...
Kids: aaj chauvan mothers ka special day hai...
Virat: hum aapkeliye jitne kare utna kam hai... Maa ki pyaar hoti hai itni mahaan.. jiski thulna hi asambhav hai...
Samrat: aur... Hum ek din mein itna pyaar tho lauta nahi sakthe... Lekin ek din ko khaas tho bana sakthe hai na aapkeliye....
Mohit: hum aapse pyaar karthe rahenge... Har roj har pal.... Ek din mein vyakth karke baaki din pyaar nahi karte... Aisa nahi hai... Bas aaj ka din ek bahana mil gaya hai thaaki aapko kitchen area mein jaane se rokh sakhe aur aaram karne ko keh sakhe... Generally tho aap humare baathen sunthe nahi hai na... Isiliye
Samar: so aaj ka din full aaram and full fun....
Krish: kal raath ko yahi planning kar rahe the... Lekin aap sab tho questions kiye jaa rahe the...
Saira: and today... No questions... Koyi kuch nahi bholega... Aaj hum jo bholenge voh karenge... Samajhlaa..
Mother's: hoo...
Virat: ab chaliye... Breakfast keliye...
They all sit on the chairs of dining hall... All are trying to remove those sash and crown..
Saira: yeh kya kar rahe hai aap...
Sai: kyaa?
Saira: yeh sash aur crown utaar kyu rahe hai... Aaj aap queens hai... Aur queen apna crown nahi utaarthi...
Sai: sairu... Kitni dher pehne rahenge... It's ok
Saira: it's not ok mumma.... Aapko pehanna hogaa.... Please please 🥺
Sai: acha okay....
All wear back the sash and crown...
Virat brings the breakfast...
Bhavani: aap sab bhi bait jayiye...
Samrat: nahi maami... Aaj hum serve karenge aur aapke baadh khana khayenge....
Ash: uski koyi jarurat nahi hai... Vaise bhi maa apne bache se pehle khana nahi kha payegi...
Mohit: lekin bache humesha maa ke pehle kha Lethe hai aur sochthe bhi nahi ki maa ne khana khaya hai ya nahi... Hum tho poochthe bhi nahi... Lekin aaj humare liye humse pehle khana kha lijiyega... Please 🥺
Pakhi: acha teek hai... Lekin ek Sharath pe...
Samar: kyaa...
Pakhi: saath mein khalenge... Humara mann bhi bana rahega aur aapka wish bhi poora hojayega...
Sai: haa... Hum kha bhi lenge aur aapko khila bhi denge....
Saira: ek idea hai... Us din aap sab hume khilaya tha... Tho aaj humari baari... Hum aapko khilayenge....
Krish: superb idea sairu....
Kids sit before their mothers and starts feeding them.... Mother's are completely overwhelmed with happiness.... Their tears in their eyes and the smile on their face says how happy they are....
Virat: yeh sahi hai... Hum aapko special feel karane chahthe hai rulane nahi chahthe.... (Wipes tears..)
Samrat: aap aise happy moment pe aansu kyu bajathe ho... No tears maami... (Wipes her tears...)
Bhavani: yeh aansu...
Mohit: haa kaku... Patha hai... Yeh aansu khushi ke aansu hai... Lekin agar baath khushi ki ho tho muskurayiye na... Lamba sa smile kijiye... Ansu kyu bahanaa.... Hai na..
Virat/samrat: haa....
All have breakfast... After that breakfast... Kids does seva to their mothers to feel them relaxed.... Some games... Naach gaana.... Gossips...
With all happy moments... Day ended....
......
I hope you like it and thanks for supporting and keep supporting...
आप पढ़ रहे हैं
Ghum hai ki pyaar mein❤️ part 2
FanfictionThis story is going to be the continuation of my story Ghum hai kisike pyaar mein ❤️...