Sairat convo

681 108 14
                                    

Sandhya: voh... Tumhari baby keliye ek gift lena chahthe the... So mujhe aniket Ajinkya aur milind se touch mein rehna pada thaaki hum plan kar sakhe... Humara ek group create hua tha... Aur ek din Rahul ne voh group dekhli thi... Sab ladke hi the tho... Shak hone laga tha... Phir ek din mai milind se baath kar rahi thi... Aur tab se unhe lagne laga hai ki... Mera... milind ka chakkar chal raha hai...
Sai: What?!
Sandhya:(wiping her tears) haa... Tab Mera phone check Kiya... Humare internship ke time pictures the na... Unhe dekhkar aur bhi doubt karne laga tha... Mai clarify de dekar thak chuki thi... Bhohot minnathe karne ke baadh mujhe function attend karne ka permission Mila tha...
Sai:(low tone) permission?
Sandhya:(continued) milind bhi saath tha na isliye check kar raha tha... Beech beech mein call karke... Ki mai kahi bhaag tho nahi gayi....
Sai: chi... Itna gatiya soch... (Holds her hands) Sandhya... Hum kal hi police complaint file karenge aur ek lawyer se bhi baath karke court ki procedures shuru karvadenge...
......
Meanwhile....
Virat goes to the kids room...
Virat: hiii...
Kids: shhh 🤫
Virat: (whispers) kya hua?
Saira: (pointing towards her bed)baby so raha hai...
Virat: ohhkk... Tho tum log kya kar rahe ho?
Krish: voh itna cute tarah se so Raha hai na ki Hum bas vahi dekh rahe the...
Samar: aur kaka... Yeh tho beech beech mein eyes open kar raha hai... Hume lag raha tha ki yeh utega par nahi voh tho so Raha hai...
Virat: babies tho aise hi sothe hai samar... Mai fresh hoke ajatha hu...
Tab thak dhyaan rakhna... Okay .... Yahi rehne..
Krish: ha kaka... Aap jau...
Virat gets freshenup in some other room and goes to kitchen to make some tea.... In between he goes to check vedh and also gives juice to the kids... He then goes to the room with two cups of tea...
Virat knocks the door...
Virat: mai ajau?
Sai: haa... (She goes to him and takes the tray from his hands and offers a cup to Sandhya)
Virat signs to sai asking if everything was okay... Sai signs back saying all okay...
Sandhya: aap dono meri madadh karna chahthe hai uskeliye thankyou
Virat: dada ko thankyou nahi bholthe... Aur yeh madadh nahi hai humara farz hai apno ka saath dena ka farz...
Sai: bilkul sahi kaha Virat.... Isliye tum bilkul bhi chintha math karo aur yaha rehne mein uncomfortable feel math karo... Hum family hai....
Virat: oh haa... Room ready karna hai na...
Sai: haa... Mai dekhlethi hu...
Sandhya: mai bhi...
Sai: uski koyi zarurat nahi hai...
Sandhya: bilkul hai... Abhi tumhi ne tho kaha tha ki hum family hai... Tho mera bhi haq hai na kaam mein haath bataane ka...
Virat: point...
Sai: smart... Chalo phir hum tumhara room ready kardethe hai... Oh haa virat... Vedh
Virat: theen sipayi hai vaha.. vedh ka khayal rakhne...
Sandhya: sipayi?
Sai: haa... Saira samar aur Krish...
Sandhya: ohh...
Sai: virat vedh ka utne ka time hogaya hai tho aap doondh pila denge?
Virat: ofcourse... Tum dono pehle chai peelena... Mehnath se banaya hai tho waste math karna...
Sai: ji bilkul waste nahi karenge...
Virat leaves... And he goes to the kitchen and prepares warm milk for the baby and fills it in the bottle feeder🍼.... Just then saira comes to the kitchen....
Saira: papa... Papa ...
Virat: kya hua?
Saira: vedh ut gaya hai aur ro raha hai...
Virat: ohh... Chalo chalo....
They go to the room....
Samar: bhohot ro raha hai kaka ..
Krish: Kuch daravna sapna dekha hai kya isne kaka?
Saira: ya phir mumma chahiye hoga na... Mai bhulake lau?
Virat: nahi nahi... Vedh ko bhook lagi hai isliye ro raha hai... (He takes the baby in his arms and sits down)
Samar: kaka aapko kaise patha ki isko bhook lagegi? Aap tho pehle se hi milk bhi lekar agaye?
Virat: iske khaane aur sone ki timings ki vajah se... Mai ghar isi time pe aa raha hu na ek mahine se aur usi time pe aapki kaki isko feed kar rahi hothi hai... Tho aise patha chal jatha hai... Aur dekho tho isne kaise apni mutti tightly bandh ki... Iska matlab yeh hai ki isko bhohot bhook lagi hai...
Kids: ooo....
After a while...
Baby finsihes off his milk...
Virat: dekho... Ab iske haath aise khula hai na... Matlab ab iski chotu sa pet bhar gaya...
Samar: ohh... Kaka aapko tho bhohot kuch patha hai...
Virat: arre tum theeno jab aise babies the na tab sai pakhi karishma aise points observe karthe the... Saira ki time pe tho meri aai itne classes diye tho itna tho jaan hi jaunga na...
He places the baby on his shoulder and gently pats on baby's back until baby burps... After a while he goes back to sleep...
Saira goes behind virat to check whether baby slept or not...
Saira:(whispers)papa... So Gaya
Virat: ohk...
He places the baby back on the bed and arranges the pillows on his either sides...
......
When family members came back home from their works, they were told the situation and every one assured to support Sandhya... And no one had trouble of her staying at the house...
.........
After dinner... Everyone went back to their rooms....
In sairat room...
Virat enters the room and sees Sai standing near the window and lost in her thoughts... He checks for vedh and vedh is sleeping peacefully in the cradle... He goes to sai and hugs from behind placing his chin on her shoulder...
Virat: kya hua? Kaha khoyi Hui ho?
Sai: kahi bhi tho nahi...
Virat turns her around so that she faces him
Virat: tunhare chehre se vedh ko bhi samajh ajayega ki tum pareshan ho... Batau ab?
Sai: voh.... Sandhya ke baare mein soch Rahi hu....
Virat: arree mai tho bathana bhool gaya ki... Maine ek lawyer se baath ki hai... Unhone kaha hai ki voh kal station mein ayenge tho hum case file ke saath saath court procedures bhi shuru karsakte hai...
Sai: acha kiya aapne ki jaldi lawyer ko bhi doondliya... Mera Mann tho kar raha hai ki Mai Rahul ko chodu hi na... Bhohot peetne ka mann kar raha hai...
Virat: shaanth...
Sai: kya shaanth Virat... Sandhya ne jo kaha voh sab sunne ke baadh tho mujhe itna gussa aa raha hai ki...
Virat:(holding her hands) Saii...
Sai calms down...
Virat: vaise Mai poochne hi vala tha ki kya kaha Sandhya ne...
Sai tells everything whatever Sandhya told her....
Virat: what?! Milind se chakkar? Aise kaise apni biwi pe Shaq kar sakta hai?
Sai:(not looking at him) vahi tho... Kitna mushkil raha hoga uske liye us insaan ke saath rehna jo Shaq Kartha ho.... Usko apna control mein rakhna chahta ho... Kuch na kuch kamiya nikalte rehta ho...
Virat remembers the initial days of their marriage... When he brought Sai to the house and entire family was against her... Sometimes he stood against her... He also remembers Sai's suicide attempt...
All these memories bought sadness on his face ....
Sai:(looks at him) aapko kya hogaya?
Virat:(looks down) kuch purane baathe yaad agaye...
Sai: konsi baath?
Virat: jab tumhe is Ghar mein lekar Aya tha tho sab tumhare saath kitna bhura barthav karthe the... Mai bhi kabhi kabhi tumhare khilaf khada hojatha tha... Dusron ke baathon mein aakar maine tho tumhe Ghar se nikhaal bhi diya tha aadhi raat ko... Aur voh suicide attempt...
Sai:(placing her finger on his lips) shh
Chup hojayiye... Mere halaat aur Sandhya ki halath bhohot alag hai...
Virat... Humari shaadi mein parivaar se kisiki bhi Marzi nahi thi... Aur meri duniya meri opinions is parivaar se bhohot alag the.. isi differences ke vajah se har roj kuch na kuch hotha tha... Immediately kisiko bhi apna bana lena pyaar Dena kaha possible hopatha hai sabse...us Ek saal mein bhohot kuch hogaya... Lekin Vakth ke saath saath is parivaar ke log mujhe samajhne lage aur mai inhe... Yeh sab mere liye kuch badlav laye apne soch mein aur mai inke liye... Isi balance ke vajah se hum sab khush hai saath hai aur sabse badi baath ki hum ek dusre ka aur unke opinions ka izzath karthe hai... Sandhya ka case bilkul alag hai... Uski shaadi mein sabki Marzi thi... Adjustments aur compromise sirf ek tarah se tho nahi hona chahiye na Virat... Aur yahi baath Shaq ki... Aapne mujhpar Shaq nahi kiya tha bas us halath ko samajh nahi paye the aur suicide meri bevkoofi thi Virat... Aap us gatiya insaan se apne aap ko compare bhi kaise kar sakte hai...
Virat: mai... (She cuts in between)
Sai:(angry)aur voh baath kuch saalon pehle ki thi... More than a decade... Ab humare dho bache hai... Itna pyaara parivaar hai... Aur baath Sandhya ki ho rahi thi... Tho aapko itni puraani baathen kaise yaad ajathe hai aur kyu...?
Virat: mai bas..
Sai:(angry) mai bas kya?
Virat is about to say something but Sai stops him...
Sai: ab bas chup rahiye... Mujhe kuch nahi sunna... Finger on your lips....
Virat does the same...
Sai sits down there and Virat sits beside her with finger on her lips... Sai clutches his arm and places her head on his shoulder....
Sai: abhi thak tho usey samajh agaya hoga ki Sandhya kahi chali gayi.... Patha nahi kya karega?
Virat:(still finger on his lips) mmmm....
Sai: upar se Sandhya ke parents bhi support nahi kar rahe na... Virat... Mujhe lagtha hai ki.... Hume unse baath karni hogi... Samjhana hoga ki unki beti ko is Vakth unki sabse jyada jarurat hai....
Virat: mmmm...
Sai looks at him and removes the finger ...
Sai: kya mmm mmm kar rahe hai...
Virat: ohho majhi baiko... Mai samajh raha hu ki tum kya kehna chah rahi ho... Lekin please stress math lo... Hum saath milkar kaam karenge tho sab teek hoga...
Sai: isey overconfidence kehthe hai...
Virat: overconfidence nahi viswas hai... Itna saalon mein jo kuch bhi problems aye aur solve Kiya uska experience is viswas ko banaya hai... So relax... Pehle complaint file karenge... Phir Sandhya ke parents ko samjhane ki koshish bhi karenge... Okay..?
Sai: meri dosth keliye aap itne kuch kar rahe hai uske liye...( He places finger on her lips)
Virat: tumhe yaad dhilau... Mai ek police officer hu matlab praja ka sevak... Aur koyi pareshaani Mai hai tho Mera farz hotha hai unhe us pareshani se mukt karna... Aur sabse jaruri baath... Tumhari dosth mujhe dada maanthi hai... Tho Mai apne behen keliye kar raha hu... Samajhla Thankyou ki bachi?
Sai:(holds his finger) ji... Thank you...(Virat 🤨) nahi bolungi (Virat ☺️) par... Kuch aur tho bhol hi sakthi hu...
Virat: kya..
Sai: i loveee you... (Hugs him)
Virat: love you too Jaan... Aur ab mujhe lagtha hai ki tumhe sona chahiye... Vedh jab so raha ho tab tho tum apna neendh poori kar sakti ho na... Lekin nahi tumhe tho kisi na kisi topic ko lekar sochna hai... Hadh se jyada pareshan hona hai... Hai na?
Sai:( imitating him) hai na... 😏
She gets up and looks back at virat who forwarded his hand...
Sai: kyaa?
Virat: help na... Utau mujhe...
Sai: mai? Dekho yeh sab karke na aap prove karthe ho ki aapka Umar ho raha hai budde ho rahe ho...
Virat: mai budda?🤨
He holds her hand and takes support and gets up... In that process sai is about to fall but she balances...
Sai: aise kaun kartha hai... Haath dukh Raha hai mera....
Virat:(puppy face) chorry
Sai: mm... Mai Sandhya ko dekh kar aayi...
Virat: ohk....
......
Sai goes to sandhya's room to check whether she is comfortable or not...
She opens the door and finds Sandhya sitting in the corner and her arms around her knees...
Sai:(worried) Sandhyaa...
She goes and kneels down in front of her...
Sai:(cupping her face) Sandhya... Kya hua... Aisi kyu baiti ho...
Sandhya: mujhe dar lag raha hai sai... Maine na phone on kiya tha... Uske calls tho the hi... Aai baba ke calls bhi the... Voh dono tumhe convince karke mujhe phirse vapas bhej diya tho... Mai nahi rehpaungi sai...
Sai: tum aise kyu soch rahi ho Sandhya.... Mai aur virat tumhare aai baba se baath karenge samjhayenge unhe...
Sandhya: voh dono nahi samjhenge Sai.... Tum jaanthi ho na voh kitne particular hai... Unhe bas society izzath inhi ki padi hai... Naam kharab na ho isiliye pichli baar bhi mujhe convince karke vapas bhej diye the...
Sai: is baar aisa kuch nahi hoga Sandhya... Trust me... Tumhe strong rehna hai... Aise daroge tho aage fight nahi karpaugi .... Please be strong
Sandhya hugs her... Sai caressess her hair... After a while sai makes Sandhya sleep and goes back to the room ...
.......
I hope you like it and thanks for supporting and keep supporting and keep voting and drop your valuable comments too....

Ghum hai ki pyaar mein❤️ part 2जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें