SaiRat to solve Harini's problem

868 128 10
                                    

( I heard many such stories... May sound silly but this creates trauma to the one who's suffering... So just wanna address this issue... I hope you like it)

Harini: aap dono chup kyu ho... Kuch tho batayiye na...
Virat: kya batau princess... Tumhe strongly react karna chahiye tha... Khair... Usey sabak sikhana hoga... Ki voh jo kar raha hai usey pyaar nahi kehthe... Mental abuse kehthe hai...
And tumhe pehle hi batha dena chahiye tha princess... Itne din jhelne ki bhi jarurat nahi thi tumhe...
Harini:(scared)mai dar gayi thi maamu... Agar usne aisa koyi step uta liya tho...
Sai: Virat...( She signs him to calm down) Harini... Relax.... Just relax...
Yeh na bathana tumhari galthi nahi hai... Galthi tho humari hai jo hum yeh yakeen hi nahi depathe ki bache yeh sab apne aai baba se discuss karsakthe hai.... apni family se discuss kar sakthe hai....
Harini gets Sanjay's call....
Harini: usika call hai...
Virat: utau princess....
Harini: nahi maamu... Mujhe nahi baath karni hai usse...
Virat: princess... Hum hai tumhare saath... Is problem ka end tho karna hoga na.... Tum pehle call tho utau... Dekthe hai ki voh kya bholtha hai uske hisaab se hum kuch plan karenge...
Sai: trust us...
Harini lifts the call....
Virat signs her to put the call on speaker... She does the same...
Harini: hello...
Sanjay: hii... Call kyu nahi uta rahi ho huh?
Harini: voh mai... Kaam kar rahi thi...
Sanjay: humse jyaada kaam hogaya hai tumhare liye... Galath baath hai harini... Pyaar matlab us insaan ko vakth dena hotha hai... Lekin yaha tho mujhe bheeg maagni pad rahi hai... Call karo baath karo .... Kyaa yaar
Virat is getting angry and tightens his fist... Sai holds his hand to calm him down....
Harini: dekho... Mujhe kaam hai isiliye mai call nahi uta rahi thi... And mai abhi baath nahi karsakthi hu... Call rakh rahi hu....
Sanjay: aise galthi math karna... Saza bada hoga iskeliye....
Harini: try to understand... Mujhe kisine is time par baath karthe dekhliye tho bhohot problem hogi... Please....
Sanjay: chalo teek hai... Ab baath maan Letha hu lekin ek Sharath pe...
Harini: Kaisi Sharath?
Sanjay: tumhe kal cafe aana hoga... Mujhse milne ....
Harini: mai nahi aa sakthi ....
Sanjay: aana padega... Mujhe tumse milna ka mann hai tho tumhe aana hi padega... Varna mai kuch kar baitunga...
Virat whispers to her that...
Virat: haa kardho... Mai hu na... Haa kardho...
Harini:(in call) teek hai... Mai aungi...
Sanjay: Good... Ok then Meet you tomorrow sharp 4 pm... Good night...
He cuts the call....
Harini: maamu... Mujhe nahi milna ussey....
Virat: tumhe milna hoga princess... Just one last time...
Harini: matlab?
Virat: ek plan hai mere paas...
Sai: kaisi plan Virat...
Virat says the plan to them....
.....
Next day evening....
Harini goes to the cafe (an open cafe area)and goes to the table where sanjay is sitting....
Sanjay: hiii harini... Take your seat...
Harini sits there.... An few people pass by
Sanjay: so... Lets order something first
He orders coffee for both of them...
He blabbers something and harini stays silent until waiter brings coffee
Sanjay:( sipping the coffee) so...
Harini:(cuts him) Isse pehle ki tum aur bak bak karo mai tumse ek baath clear kardena chahthi hu ki mai yaha kuch kehne aayi hu tumhare saath time spend karne nahi...
Sanjay: aur voh baath kya hai
Harini: yeh hai ki I don't love you... Mujhe ab is relationship mein nahi rehna hai... Gutan hothi hai mujhe... Dar lagtha hai tumhare behaviour se ... I can't take it anymore....
Sanjay: look harini... You know right how much I love you...
Harini: love... Tumhare yeh jo hai voh pyaar nahi hai.... It's just Obsession... Tum mujhe apne control mein rakhna chahte ho aur kuch nahi... I don't want to continue this... Leave me...
Sanjay: tumhe patha hai na ki iska kya result ho saktha hai... You know ki I can't live without you... mai kuch karlunga
Harini: are you out of your mind... Dekho... Hum ekdusre keliye sahi nahi hai....it's better ki hum apne apne raasthe mai jaye... Please understand...
Sanjay: acha... Lagtha hai ki tum meri baathe seriously nahi le rahi ho... Suicide commit karne ke baadh agar tum phasogi isme tho deal with it...
Just then he feels a hand placed on his shoulder.... He turns back....
Sanjay: aap kaun?
Person: Virat... Virat chauvan... Harini ka mama... Aur... Ek Police officer bhi...
Sanjay gets scared... He tries to getup and run away but virat pushes him down to the chair... Virat sits on the chair and sai also comes and joins them....
Virat takes out a small knife from his pocket and places on the table...
Virat: karo suicide.... Knife lo...
Come on... Abhi bhol raha tha na... Karo phir....
Sanjay:(trembling)n..nahi nahi sir....
Virat: itna kyu dar rahe ho... Ek pic bhi bheja tha na... Haath pe knife rakhkar... Ab kar naa...
Sanjay: nahi sir... M..maine... Maine aisa kuch nahi kiya... Maine koyi photo nahi bheja...
Sai: teek hai.... Lekin ab tho batha raha tha na ki suicide karega... Tho phir kar na.... Sabke saamne... Acha lagega...
Sanjay: n..nahi mam.... Maine.. aisa kuch nahi kaha... Mujhe jaane dijiye...
Sai: itna dar rahe ho tho kya sochkar itni himmath se isey mentally harass kar raha tha tu... Huh..
Sanjay: maine kuch nahi... Mai bas baath karne aaya tha...
Virat: teek hai... Yeh bhi maan Lethe hai... Princess... Phone dho...
Harini gives him her phone...
Virat opens it and shows him the recording.... Sanjay gets scared listening the recording....
Virat: yeh bhi tum nahi ho... Hai na...
Koyi baath nahi... Hum yeh police station mein dhika denge.. aur voh photo bhi... aur sai ne video bhi li hai voh bhi...Tum bhi chalo humare saath... Police station ki darshan karlo...
Sai: haa... Phir aapki mumma papa ko bhi bhulalenge aur ache se baath karenge...
Sanjay: nahi... Please... Mujhe jaane dijiye.... Mai... Mai promise kartha hu ki mai kabhi nahi milunga harini se
(Sanjay takes out his phone deletes contact pictures. Messages everything) dekhiye... Maine sabkuch delete kardiya .... Mujhe police station nahi jana please chod dijiye....
Virat places hand on his shoulder...
Virat:(warning) iss baar chod raha hu... ayindha se kisi bhi ladki ke saath aisa kiya na... Tho badi punishment milegi.... Pyaar ka sahi arth jaanlo pehle... Kisiko aise control karna aise dara damkana pyaar nahi hotha... Unhe uncomfortable feel karvana pyaar nahi hotha... Aur ek ladki ko aur uske opinion ko respect karna seekho.... Mann tho kar raha hai ki jail ke andhar kardhu lekin tera future karaab hojayega... Tere aai baba ko sharmindha hogi.... Isiliye chod raha hu....
Sanjay:j..ji sir...
Virat: jaa yaha se... Phirse repeat hua na....
Sanjay: nahi... I am sorry... Harini... Sorry....
He then leaves the place...
Harini gets relief....
Virat gestures her to smile.... Harini smiles.....
Virat: chale?
Harini nods as yes... Sai tries to cheer her up...
Sai: nahi... Use pehle icecream... Please 🥺
Virat: okay.... Princess ke saath aaj icecream treat... Okay...
Harini just smiles...
All the three reach a park.... Virat buys icecream for the three of them...
And they sit on a bench... Harini is still looking dull....
Virat: princess.... Problem solve hogaya na... Tho phir abhi bhi aise sad face kyu banaye ho...
Harini: ajeeb lag rahi hai maamu... Maine aise kaise ek person ko judge karne mein galathi kardhi aur usse pyaar...
Sai: nah... Tumne pyaar kiya hi nahi harini.... Tumhe sirf voh ladka pasand tha... Aur tumne usey pyaar samajh baiti....
Harini: matlab?
Sai: harini... Sanjay ko tho tum teek tarah se jaanthi bhi nahi ho... Tumhe sirf ek... Ek dhikavati roop nazar aa rahi thi uska jo tumhe pasandh aane laga... He never been his true self... Tho pyaar hona is not possible....
Pasandh hum har kisko kar sakte hai... Pehle nazar mein hi log pasand aajathe hai... Uske saath time spend karna usse baathe karna pasand ho sakthe hai... Lekin pyaar nahi hosakthi... Time dena aur baathen dono bhi badalthe rehthe hai... Jo constant hotha hai voh hai character...
Jo chupaane par bhi nahi chuptha... Aur voh tumne jab notice karne lagi tho tumne jaake manaa kardiya... Agar tum haa karne se pehle hi uski character ko analyse ki hothi tho kabhi haa karthi hi nahi na....
Harini: haa....
Virat: princess... Jo hua so hua... Aage se ek insaan ko ache se janne ke baadh hi apni life mein usko importance dena... As a friend or as a lover usse apni life mein laane se pehle think ki is he your type... Does he deserves you... Kya uski intentions sahi hai ya nahi... Are you important to them.... Ye sab samajhna hoga...
Harini: mm....
Sai: ab relax hojau... Sanjay ka chapter apne life se nikhal pheko... Concentrate on your life and your work... Okay?
Harini: okay...
Sai: good.... (She looks around and in excitement) virat....
Virat: kya hua...
Sai: candy floss...
Virat: yaar Sai.... Normally nahi bhol sakthi thi kya...
Sai: nahi... Candyfloss ko dekh kar tho meri excitement double hojathi hai...
Virat: okay... Lekar atha hu...
Sai: nahi... Mai jaungi... Harini... Tum bhi khaugi?
Harini: nahi maami it's ok...
Sai: candy floss ko mana kaise kar sakti ho tum... Mai le aungi tumhare liye khana padega tumhe...
Virat: tho phir ussey poocha hi kyu...
Sai: meri marzi 😏
She leaves to the stall... It's bit far from where they sat....
Virat: princess... Jo hua uske baare mein sochthe math rehna... Move on karo.... Okay...
Harini: ha maamu....
Virat gets a call so starts speaking in call... Harini sees a man intentionally bumped his shoulder with Sai's... Sai ignores and buys candyfloss.... While returning he does the same again...
Harini: Veeru maamu.... Vaha dekho...
Virat ends the call...
Virat: kaha?
Harini: Sai maami... Voh ladka maami ko ched raha tha... Aap jau aur usko sabak sikhau...
Virat: mai kyu jau princess?
Harini: aap kya bhol rahe ho maamu... Aap maami se pyaar karthe hai na... Tho jau na protect karo unhe...
Meanwhile...
Sai yells at him....
Sai: eyyy.... Dhik nahi raha kya...
The man comes and stands in front of her....
Man: dhik raha hai... Voh bhi bhohot ache se... Tho...
Sai: (sarcastic)ohh.... dang se chal nahi pa rahe ho... Pair mein dard ho raha hai... Doctor ko recommend karu... Muft ki treatment milegi... Pairon ka bhi aur dimaag ka bhi treatment karvalena...
Man: jyada bhol rahi ho tum...
Sai: tum dang se chala karo...
Meanwhile...
Harini: maamu... Jau na aap... Maami trouble mai hai...
Virat is also seeing what's happening...
Virat: princess... Meri jarurath nahi padegi... Sai ko kam math samajhnaa..
Harini: arre par ....
Virat: dekho tho...
Man steps forward to scare sai... But sai stood still at her place....
Man: eyy....
Sai:(louder) kyaa... Bhol... Kyaa....
She steps forward and he steps back ...
Sai: peeche kaha jaa raha hai... Bhol..
Pointing her finger on his face
Sai: apni hadh kabhi paar math karna.... Ek baar dhakka diya tho chod dhi thi dubara vahi repeat kiya tumne... Itna tho samajh aathi hai mujhe ki galthi se dhakka laga ya jaan bhoochkar..... Aisi kya khushi milthi hai huh? Chilla chilla ke sabko yaha bhuladhi na tho muh dhikane layak bhi nahi rahoge.... actually nahi....sabke saamne maar khayega tho ache se sabak mil jayega.... ( anger) kabhi bhi ladki ko kam samajhna math... ulta jawab dena shuru kardhi na tho phir aise harkathe karne se dar lagega.... Samajhlaa... Jaa yaha se....
He gives her a stare and leaves that place.... Sai walks towards the bench where harini and virat are sitting... And acts like nothing happened...
Sai: harini... Yeh lo.... Virat tumhe chahiye?
Virat: haa...( Before he takes one sai moves aside)
Sai: aap kya hi khayenge candyfloss... It's ok... Mai aapki hissa bhi khalungi... Don't worry...
Virat: arreee....
Harini looks at sai and virat in confusion... They both observe this and asks her...
Sai:(sitting next to harini) aise kya dekh rahe ho harini...
Harini: aapko dar nahi laga maami?
Sai: kisse?
Harini: us aadmi se...
Sai: ohh aapko dhikayi dhiya? Mujhe laga dhoor hai tho dhikayi nahi dhi hogi...
Harini: dhikayi diya aur maine maamu se kaha bhi ki aapka help kare... Lekin yeh tho hile bhi nahi...
Virat: princess... Ab mai kya help karu jab voh kudh deal karke aayi hai...
Harini: haa... Lekin aapko atleast janaa tho chahiye tha na... Maami ka support dene... Unhe aise akele kaise chod sakte ho aap problem ke vakth... Yeh kaisa pyaar hua... Jaha apni pyaar ko akele ladne Keliye chod diya...
Sai: shaanth harini... Saath tho diya na virat ne...
Harini: kahaa?
Virat: princess... Walk karthe hue baath kare?
Harini nods as yes... All the three start
To walk....
Virat: princess... Yeh batau ki agar aapko pehli baar cycle seekhna ho tho kya mujhe aapko akele cycling karne bhejna hai ya phir mujhe bhi aapke cycle ko pakadkar aapko sambhalthe rehna chahiye....
Harini: chodna chahiye...
Virat: tho phir mujhse yeh expect kaise kar sakti ho ki sai ke har ladaayi mai usey pakadke rakhu... Haa mujhe chintha hothi hai... Madadh karne keliye protect karne keliye mai humesha ready hu... Lekin karunga tho tab jab voh kudh mujhse kahe ya mujhe aisa lage ki mujhe enter hona hi hoga... Until then mera involve hona teek nahi hoga... Agar mujhe aisa lagega ki sai nahi lad payegi ya phir bhohot bada katra hai tho mai voh pehle insaan rahunga jo sai ko us or jaane bhi nahi dega...
Harini: agar aap protect karna hi chahthe ho tho aise kuch hi situations mein kyu? Maamu... Koyi ladki ko tease kar raha ho tho aap aise kaise chup chap baitke dekh sakthe ho? Aapko react karna chahiye tha... Maami ko dar nahi laga isiliye voh fight ki agar uski jagah koyi or hotha jisse dar lag raha ho aur patha na ho ki voh kaise deal kare tho... Kya help karne nahi jana chahiye?
.......
I hope you like it... Thanks for supporting and keep supporting and keep voting....

Ghum hai ki pyaar mein❤️ part 2जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें