(Please go with the flows... I tried my best to put logics here... Everything is written based on cinematic knowledge I have about the court sessions so if anything goes wrong forgive me)
After a week ....
Sai rejoined her work... She went to hospital... Sandhya Virat and milind goes to the court...
In the court...
Sandhya's parents came to attend the hearing....
Rahul's advocate name is shaurya..
The session starts...
Shaurya: your honour... Mai Sandhya ji se kuch pooch thaach karna chahta hu...
Judge: Go ahead..
Sandhya comes to the witness box.
Shaurya: so Sandhya ji... Aapka affair kabse chal raha hai...
Sandhya: Mera koyi affair nahi chal raha hai...
Shaurya: tho milind kaun hai...
Sandhya: Mera dosth hai
Shaurya: aur ab colleague bhi
Sandhya: ji ...
Shaurya: aap pehle us hospital mein kaam nahi karthi thi tho rejoin karne keliye usi hospital mein join kyu kiya aapne...
Sandhya: kyunki vahi pe vacancies mile the...
Shaurya: jhoot... Yeh place aapka so called dosth hi suggest Kiya tha aur dho alag hospitals mein bhi aapne apply ki thi lekin isi hospital mein join ki hai...
Sandhya: haa tho isme kya baath hai sir ...
Shaurya: yahi tho baath hai madam... It's clear ki aapka affair chal raha hai... Aur aap aajkal kaafi jyada bahar ghoom rahi hai unke saath... Hospital mein kaam karthi hai tho itna free time kaha se miltha hai... Your honour jo pictures produce Kiya hai usme aap dekh sakte hai kahi se bhi sirf dosth nahi lagthe...
Reema: objection your honour... Mujhe inke points counter karne keliye Rahul ji se kuch questions poochna chahti hu...
Judge: Go ahead...
Rahul stands in the opposite witness box...
Reema: so Rahul ji aapko kabse Shak ho Raha tha ki aapki wife ki affair chal rahi hai...
Rahul:(looks at shaurya and then at Reema) shaadi ke kuch mahine baadh se hi ....
Reema: ohh... Tho kya aapne aapki wife ko pehle kabhi bhi milind se bhohot dher thak baath karthe ya kahi bahar jaathe dekha hai....
Rahul: h..haa....
Reema: jhoot...
Shaurya: Reema ji... Kehne se kuch nahi hotha prove karna padtha hai...
Reema: sure shaurya ji... You honour inke shaadhi ke baadh Sandhya kisi bhi dosth se contact mein nahi thi ek saal thak... Kabhi nahi mili us time pe... Kyunki voh yaha nagpur mein hi nahi thi.... Aur uske baadh Sandhya yaha agayi thi Rahul se dhoor aur yaha kaam karne lagi thi... Us vakth bhi sirf dho theen baar mili thi apne dosthon se... Milind ka calls nahi the...
Uske baadh parivaar ke kehne pe Rahul ke saath rehne lagi thi... Apne dosth ki ek function keliye usko gift dene keliye hi dusre friends se contact mein rahi hai... Aur tabhi milind se baath hui thi... your honour....Call history of last three years aapke saamne hai... Aur yeh information legal tareeke se hi mili hai under surveillance of IPS officer Virat chauvan... Milind ke calls ko red mark kiya hua hai... And they are countable sir... not even 50...
Judge: aap kuch kehna chahenge is par advocate shaurya
Shaurya: uhm... Your honour no.of calls se kya farak padta hai... Issey prove nahi ho raha...
Reema: right... Yeh iljaam lagana bhohot asaan hai... Chaahe voh ek mardh pe ho ya aurath pe.... Rahul ji kya aap batha sakthe hai ki Priya kaun hai?
Rahul: meri college friend hai... Aur mera business partner bhi...
Reema: ohh... Kya Sandhya shaadhi ke shuru se yeh baath jaanthi hai Priya kaun hai...
Rahul: ofcourse... Shuru shuru mein bhohot baar Ghar bhi aathi thi...
Reema: that's great... Lagtha hai Aap dono bhahar bhi jaaya karthe hai... Priya ke social media ke bhohot ache pics mile hai...
Rahul: Hum friends hai... Aur most importantly business partners hai clients ko milne business meetings pe jaathe hai... Meetings ke baadh hum vaha pics click karthe hai...
Reema: kabhi Priya ke point pe Sandhya ne ladayi ki thi aapse...
Rahul: nahi ... Kyunki voh bhi jaanthi hai ki aisa kuch nahi hai...
Reema: note this point your honour...
shaurya: But What's the point in this?
Reema: this the point Mr Shaurya... Rahul aur Priya business partners hai meetings keliye restaurants ya kahi places jaathe hai aur vaha meetings ke baadh pics click karthe hai... And dono ache friends bhi hai... Sandhya aur milind bhi college friends hai... Aur recently colleagues bane hai... Tho kahi bahar jaaye tho affair jitna bada iljaam lagaane jaisa kya hai... Just because patni ki ek best friend hai aur voh ladka hai tho kya affair hojayega?
Shaurya: aise sympathy dialogues kaam nahi karenge Reema ji... Court need proofs...
Reema: aaj full proofs ke saath aayi hu shaurya ji... Your honour call history se yeh clear kardiya hai ki Sandhya milind se ya apne dosthon mein se kisi se bhi jyada contact mein nahi thi... So... Rahul se dhoor aane se pehle affair hai yeh point weak hogaya hai... Ab aapko dusra proof dhikaya jayega jissey patha chal jayega ki Rahul ke rude behaviour ke vajah se hi Sandhya us relation se bahar aayi hai aur domestic violence ka case daalne ki decision li hai...
Your honour I request you to allow to play the video...
Jugde gives the permission and video is played... The situation which is mentioned in previous chapter is recorded and is being played in the courtroom...
Flashback....
Virat wants sai to speak with Sandhya and convince her in execution of the plan told by Reema... Next day sai somehow managed to convince Sandhya... Sandhya is ready to take the risk... Reema prepared the notice of demanding 50% property of Rahul... They knew that he is money minded and this notice would surely make him furious and will come to meet Sandhya....
Virat informed milind and Sandhya to get ready for the plan execution as Rahul is on his way to hospital... Virat got this information from an informer...
And they arranged the phone camera in the room on the shelves covering it with some files and books so that it's not visible.... Milind informed Sandhya when he saw Rahul entering the hospital.... And then all this happened...Milind attended all her appointments for particular time interval that is during Sandhya and Rahul conversation... After Rahul left... Sandhya knelt down and started crying...
Milind enters the room and sees Sandhya's condition and gets worried... He goes to the shelf where camera is placed and saves the video... He shares it to virat... He goes to sandhya and kneels down...
Milind: Sandhya... Ro math na...
Sandhya didn't stop...
Milind hesitantly touches her shoulder....
Milind: sandy....
Sandhya looks at him...
Milind:(wipes her tears) ro kyu rahe ho... Tumne kardiya yaar... Solid proof mil gaya hai...
Sandhya: mai...mai... dar gayi thi...
Milind: samajh sakta hu... Usne kuch... Kiya tho nahi na... Haat utana and all..
Sandhya says him how he behaved...
Milind: kyaa? Tum... Tum teek ho na ab...
Sandhya nods as yes...
Milind: us insaan ko in saare harkatho ka saza milegi sandy... Milne thak ladenge... Please tum himmath math haaro....
Sandhya hugs him...
Sandhya: thank you milind.... Support karne keliye... Mai lucky hu ki Tum aur sai jaise dosth hai is mushkil vakth mein mere saath dene keliye...
Milind didn't hug her back... He loves her yaar... She isn't just a friend for him.... And he knows his limits too... So he's trying hard not to feel anything.... He just caressess her hair and then He holds her shoulder and moves her back...
Milind: Sandy... Face wash karlo... Baaki ke appointments bhi tho dekhne hai na....
Sandhya: haa....
Milind: Good... Lunch break mein milthe hai...
Sandhya: okay...
Milind leaves the cabin and takes a deep breath....
Milind:(in mind) kuch nahi sochna hai... Kuch bhi nahi... Sandy keliye mai sirf ek acha dosth hu... Aur shayad Zindagi bhar vahi rahunga... But that's okay... Is vakth bas uske problems kam karne mein concentrate karna hai... Uske problems badaana nahi hai... Right milind... right...
Virat shared the video to Reema and Reema started further procedures...
Sandhya was normal infront of everyone but...
At midnight
She sat on the stairs remembering the things happened that morning.... He held her neck and she felt the suffocation just by remembering that... Just then Sai places her hand on her shoulder and sat beside her...
Sandhya hugged her... And sai consoled her...
Sai: maine video dekha hai... Mujhe tho itna gussa aa raha hai ki Mann tho kar raha hai ki jaake uski haddiya hi thod daalu...aisa thodu ki Jhodne keliye hospital jaye bhi kabhi jhod hi na paaye
Sandhya smiles hearing that dialogue.. they break the hug...
Sai: tum has rahi ho?
Sandhya:(wipes her tears) tho aur kya karu... Tumhara dialogue hi aisa hai...
Sai: hello.... Underestimate kar rahi ho mujhe... Maine bhohot baar gundon se lada bhi hai... shak hai tho Aniket se poochlo... Agar is baar bhi mujhe allow kare na tho Pakka jaake maarungi... Virat allow nahi kar raha na...
Sandhya: achaa🤭
Sai:(smiles) aise hi smile karthi raho... Us insaan keliye ya uski vajah se rona nahi hai tumhe... Agle hearing mein usko acha khasa sabak mil jayega...
Sandhya: haa...
Sai: jyada socho math... ab jau aur so jau... Good night
Sandhya: Good night...
Flashback ends...
......
Rahul: yeh Mai nahi hu... This is not me... Morphed video hai yeh...
Judge: order order...
Shaurya: your honour... Mere client par kiya gaya iljaam ko prove karne keliye ek jhoota proofs produce kiya jaa raha hai...
Reema: i knew aap yahi kahenge... Isliye Forensic reports bhi produce kar chuke hai your honour... It's proven ki video mein jo insaan hai voh Rahul hi hai... Shaurya ji technology bhohot aage bad chuki hai... Kuch stong counter points layiye na...
Shaurya: objection your honour...
Judge: objection over ruled... There's nothing to object mr.shaurya... aapke paas proofs hai tho produce kare
Shaurya: your honour we need adjournment...
Judge: teek hai... So the case will be ajourned... Agle hearing thak ka vakth hai aapke paas...
Shaurya: thank you your honour....
.......
Outside the court...
Sandhya, her lawyer Reema, virat, milind and her parents are standing outside the court...
Reema: Sandhya... Is hearing mein humara strong point unpar bhohot bhaari padi hai.. agle hearing mein unke taraf se kuch proofs vagera produce karna hoga unke points ko justify karne keliye... Hume jyada careful rehna hoga thaaki unko ek bhi point aisa na mile jissey unhe kuch bhi bholne ka mauka mil sakhe... Tumhe aur strongly confidently apne points rakhne honge next hearing mein...
Sandhya: ji...
Virat: thankyou Reema
Reema: yeh mera farz hai Virat.. aur mai thankyou nahi balki cases ki victory aur justice expect karthi hu...
Virat: tum jaise advocates jo sachayi ka saath khade rahe na tho bhohot logon ko justice mil hi jayega...
Reema: thankyou... Ab mai chalthi hu... Take care Sandhya...
Sandhya: ji... Aap bhi...
Reema leaves...
Virat: chale Sandhya?
Sandhya parents come there...
S mom: Virat... Hum apni beti ko apne saath lekar Jana chahte hai...
S dad: haa... Hum khade rahenge humare beti ke saath aur ladenge jab thak meri beti ko insaaf nahi mil jatha... Is samaajh ki parvah ab nahi rahi... Agar aaj yeh sab dekhne ke baadh bhi hum apni beti ka saath nahi diya tho hum maa baap kehne ke layak nahi rahenge.... hum apne galthi sudaarna chahte hai... Hume bas humari beti ki khushi aur uski suraksha hi chahiye...
Virat: mai yahi chahta hu ki aap apni beti ka himmath bane saath dhe... Agar aapki beti bhi aap par viswas kar rahi hai aur saath Jana chahti hai tho... Mai hotha kaun hu rokhne vala...
Sandhya: Virat sir... Mai apni aai baba ke saath jaungi... Inko realise hogaya hai ki kya galat hua hai... Isiliye...
Virat: okay... Par ek baath ka dhyaan rakhna Sandhya... Kisi bhi situation mein himmath math haarna... Tabhi tum is case ko jeet paugi aur apni life phirse jee paugi... Aur phir kabhi meri jarurat padi tho bejijak chauvan niwas aa sakthi ho... Vaha sab tumhare madadh karne keliye taiyyar honge...
Milind: aur hum dosth bhi hai tumhare saath khade rehne keliye...
Virat: haa...
Sandhya: thankyou
Virat: ab mai chaltha hu mujhe dusra kaam hai...
Sandhya: ok sir...
....
While driving the car..
Virat gets a call from an officer...
Virat: ji officer kahiye...
Officer: Virat sir... Hum ladkiyon ko us jagah se safely bahar laa Diya hai... Lekin devika ji phirse andhar chali gayi hai...
Virat: kyaa?
Officer: sir humare laakh bholne par bhi voh akeli chali gayi un criminals ko pakadne... Aur hume yeh order Diya gaya hai... Isliye mujhe laga ki aapko inform kardena chahiye...
Virat: acha kiya ki inform kardiya aapne... Aap un ladkiyo ko jitni jaldi ho sakhe utni jaldi vaha se safe jagah par lekar jayiye mai on the way pe hi hu...
Officer: ji sir...
The call is ended...
Virat: yeh ladki bhi na... Josh mein aake choti si bhi gadbad kardhi tho musibath mein pad jayegi... I hope mere pahunchne se pehle voh kuch na kare...
.....
I hope you like it and thanks for supporting and keep supporting and keep voting and drop your valuable comments too...
आप पढ़ रहे हैं
Ghum hai ki pyaar mein❤️ part 2
Fiksi PenggemarThis story is going to be the continuation of my story Ghum hai kisike pyaar mein ❤️...