( I am not sure with the rules so... Go with the flow... Happy reading ❤️)
Next day.... Virat Sandhya goes to meet a well known advocate Reema to take over sandhya's case. Sandhya explains the entire situation and Reema is ready to take the case.
Reema: mai yeh case lene keliye taiyyar hu... Par hume kuch sabooth chahiye honge...
Sandhya: sabooth?
Reema: ji.. case tho chaltha rahega... Lekin agar jaldi hume justice chahiye ho tho us insaan ki is gatiya behaviour ka proof chahiye hoga...
Maine aise cases bhohot lad chuki hu aur in sabse mujhe jitna experience Mila hai usko dhyaan mein rakthe hue bhol rahi hu... Jab thak hum tos sabooth nahi produce kardethe tab thak case ko kabhi bhi ghumaya jaa sakta hai....
Virat: aapka kehna ka matlab yeh hai ki hum par false allegations daal sakte hai...
Reema: exactly my point... Aaj kal jhoot par asaani se viswas karlethe hai bas confidence se bholna hotha hai... Aur sach ka sabooth dhikaane par bhi viswas dhilaane keliye ladna padtha hai...
Sandhya: kaise sabooth chahiye honge?
Reema: koyi witness... Yeh bhol paye ki haa aapke saath bhura suluk karthe hai... Ya phir unki damkiya ya unki baathon ka recordings.. aisa kuch
Sandhya: nahi hai... Aai baba ko maine yeh sab nahi batha paathi... Kyunki unke saamne bechara ban jatha hai... Aisa kuch batha detha hai ki... unhe lagne lagtha hai ki mai hi adjust nahi kar rahi... Duniya keliye voh tho successful businessman hai... Koyi viswas bhi nahi karega ki voh galath bhi hosakthe hai... Unke baathe hi itni convincing hothi hai...
Reema: i understand... Jiska image duniya keliye clear ho aur ghar mein aise harkathe karthe ho... Aisi situation mein saboot ka aur jyada jarurat pad jaathi hai... But don't worry... Mai hu na... Notice jaise hi ban jatha hai rahul thak pahunchaya jayega... Aur phir court hearings sab attend karne padenge... We will figure things out... Don't worry Sandhya...
Virat and Sandhya comes out from her cabin... Virat is lost in his thoughts whereas Sandhya is so much worried...
Sandhya: Virat sir... Ab...
Before she could finish her sentence..
Virat: icecream?
Sandhya: kyaa?
Virat: mujhe icecream khane ka mann ho raha hai actually... ab bahar agaye tho .... Tum bhi chalo... icecream khaane ke baadh ghar jayenge...
Sandhya: par...
Virat: chalo chalo...
They go to icecream parlour.... Virat orders a mango flavour for him and another one for Sandhya... They sit on the chairs and virat is just enjoying his icecream...
Sandhya: Virat sir... Aage kya karenge?
Virat: patha nahi...
Sandhya: patha nahi? Aap yeh kya keh rahe hai virat sir...
Virat: Sandhya relax... Tumhari stress kam karne keliye hi tho mai tumhe yaha laya hu... Tum ho aur stress le rahi ho...
Sandhya: meri tension kam nahi aur bad rahi hai virat sir... Sabooth kaha se layenge... Mai kaise prove karungi ki voh mere saath galath barthav kartha tha...
Virat: Sandhya relax... Is dada par viswas tho hai na?
Sandhya: ofcourse hai virat sir...
Virat: tho shaanth hojau na... Mai kuch sochtha hu... Agar tumhe kuch sochna hi hai na tho apne kaam mein rejoin karne ke baare mein socho...
Sandhya: rejoin? Phir yeh case?
Virat: Sandhya.... Case mahino ya saalon bhi lag jayega... Kya tum tab tak apne kaam aise pause karke rakhogi? Voh tho apne business ko sambhaltha hi rahega insab ka asar business par padne hi nahi dega tho tum kyu rukh rahi ho... Tum bhi aage bado...tumhe nahi lagtha ki Apne career par phirse focus karna shuru kardena chahiye...
Sandhya: aap sahi keh rahe hai... Mai job doondna shuru kardungi...
Virat: perfect... Ab icecream khalo varna peena pad jayega 😂
Sandhya smiles...
Virat then buys icecream for the family too... And they travel back to the chauvan niwas...
....
Meanwhile...
Sai feeds vedh and after the baby burps she leans back to the pillows and places vedh upon her... He is sleeping on his tummy position... I hope I am clear... Sai then gently pats on his back and vedh falls asleep... Sai is also too tired that she sleeps in that position itself but her hands are actively patting baby's back...
After a while Ashwini enters the room and sees sai sleeping... She goes near her and caressess her hair... Sai wakes up in a jerk and checks her baby... She then sees ashwini...
Sai: aai...
Ash: vedh ko jhule mein Sula dethi hu...
Sai: ho aai...
Ashwini slowly takes the baby in her hands without disturbing his sleep she places him in the cradle...
Sai: aai... (Holds her hands) mai aapki jyada help nahi kar pa rahi ghar ke kaamon mein... I'm sorry...
Ash: baapre... Yeh kya hogaya...
Sai:(shocked) kya hua aai...
Ash: tu pagal hogayi hai...
Sai: huh?
Ash: aur nahi tho kya... Vedh ko sambhal Rahi ho na... Issey bada kaam aur kya hosaktha hai... Ghar mein itne saare log hai Saab teek se ho raha hai tho tu kyu itna chintha karthi hai... Pagal...
Sai: mai aise hi hu... Kya kare...
Ash: haa kya hi kar sakte hai... (Cupping her face) bhohot jyada pyaar karsakte hai... (Kisses on her forehead)
Sai: love you aai...
Ash: love you tooo... (She touches Sai's hair) maa ho iska matlab yeh nahi ki khudka khayal nahi rakhogi... Baal dekho kaise hogaye... Mai na thel lekar aathi hu... Maalish karenge tho tumhari saari stress phurr hojayegi...
Sai: aai uski jarurat nahi hai...
Ash: tu chup kar... Meri beti apne bachon ka khayal rakthe rakhthe apna khayal rakhna bhool Rahi hai tho mera farz bantha hai ki mai uski khayal rakhu... Samajhlaa?
Sai: hoo...
Ash: abhi ayi ..
After some time she brings the oil and sits on the chair and sai sits down... Ashwini applies oil to the hair and starts massaging...
Ash: Sai... Virat nahi aya abhi thak? Shaam ko is vakth pe ajatha hai na...
Sai: ha aai... Lekin aaj virat Sandhya ke saath advocate se milne gaye hai na... Shayad vaha time lag raha hoga...
Ash: mai ek baath poochu?
Sai: haa aai...
Ash: kya tumhe lagtha hai ki Sandhya ke pati ka hi galthi hogi... Hosaktha hai ki Sandhya bhi galath ho aur yeh jo halathe bataya hai voh asal mein hua hi na ho kuch aur hi hua ho...
Sai turns back and looks at Aai...
Ash: mujhe galath math samajhna sai... Mai shak nahi kar rahi hu tumhari dosth par... Mai bas ek sambhavna batha rahi hu... Aaj kal aise bhi news aa rahe hai ki ladkiya ladko ko pasaathi hai... Aur unpar galath iljaam lagathi hai... Tho bas mai yeh keh rahi hu ki dosth hone ke karan ya yu kahu ek aurath hone ke karan tum dusre taraf ki kahaani ko undekha tho nahi kar rahi? Agar ek maasum ko saza mil gayi tho... Samajh rahi ho na Mai kya keh rahi hu...
Sai: haa aai... Samajh rahi hu... Aur agree bhi karthi hu ki aise aurathe ya ladkiya hai jo phasathi bhi hai apne faidhe keliye... Aur mardh par bhi atyachar ho rahe hai... Domestic violence ka shikar sirf aurathe nahi mard bhi hothe hai.... Lekin aai Sandhya agar kuch aisa karne ke baare mein soch bhi Rahi ho tho mere Godhbharayi ke din matlab kuch mahino pehle jab yaha aayi thi tab itni dari hui pareshan kyu dhiki....
Aur maine Rahul se baath bhi ki thi us din... Uski awaaz se aisa laga tha ki maano koyi hukum chalana chahtha ho lekin kar nahi pa raha ho... Aai jab mai usko phone diya na baath karne tab bhale hi voh smile kar rahi thi lekin uske aankhon mein dar tha... Mujhe hi nahi virat ko aur milind ko bhi yeh sab Nazar aye the... Uska call na lagna agar utaya bhi aise gabrathi hui baath karna yeh sab jhoot tho nahi hosakthe na aai... In saari baatho ko side rakh bhi dhe Sandhya aisi nahi hai jo apni faidhe keliye dusron ki zindagi barbad kardhe aai aur yeh mai yakeen ke saath keh sakti hu...
Ash: bappa ki kripa se usko insaaf jaldi miljaye....
Sai: haa aai...
Ash: ab ghoomo...
Sai turns back... And Ashwini starts massaging again...
Ash: raath ko kya akele sambhalthi ho vedh ko?
Sai: nahi aai... Virat bhi ut jaathe hai...
Agar mujhe bhohot neendh aa rahi ho tho voh baby ko doodh piladethe hai aur Sula bhi dethe hai...
Ash: ohh... Achi baath hai...
Sai: saira ke time pe bhi tho kiye the... Proud feel kar rahi hai na aap aai...
Ash: karthi tho hu...
Sai: aap kehthi hai na... Gentleman hai aapka beta...
Ash: haa... Hai tho..
Sai: mai bhi vedh ko aise hi banaana chahthi hu... Gentleman... (Turns around) thaaki aapke paas aake show-off kar sakhu...ki dekhiye mera beta hai ...
Ash: achaa... Show off karegi?
Sai: ofcourse karungi... Lekin aap jealous math hona aai...
Ash: mai kyu jealous houngi... Mujhe tho or jyada garv mehsus hoga... Aur mujhe poora yakeen hai ki tum sab bache na apne bachon ko itne ache sanskaar dhoge itne ache sanskaar dhoge ki sab kahenge ki dekho dekho chauvan khandhan ke bache hai bhohot Shareef bache hai... Harini Samar Krish saira vedh yeh sab chauvan khandhan ka naam roshan karenge....
Sai: aap pal mein senti baathe kardethe ho aai... Virat bhi aise hi hai... Suddenly kuch senti baathe kardethe hai...
Ash: kya kare... Hum aise hi hai... Chalo... Mai tumhari baal banadethi hu aur tum thodi dher so Jana... Abhi abhi soya na vedh bhi...
Sai: ho aai...
Ashwini plaits her hair and then she leaves... Sai sleeps on Virat's side of bed because that's near to the cradle..
....
Virat and Sandhya reach home... Outside the house, he gets call from officer devika ...
Virat: haa devika bholo...
Devika: sir... Aap please jaldi station ajayiyega....
Virat: okay... Aa raha hu...
He ends the call...
Virat: Sandhya... Tum andhar jau... Mai station jaa raha hu... Yeh icecream lekar jau...
Sandhya: okay...
He leaves and Sandhya goes inside the house....
.....
At night around 7:30 pm...
Bhavani,Ashwini, Sonali mansi ninad and omkar... All these people are playing with the baby in turns... Kids are also present there doing their homeworks... Sai, pakhi and karishma are busy in dinner preparations.
Calling bell rings...
Sonali: mai jaake dekthi hu...
She goes and opens the door... Three Police officers which includes a lady constable are standing outside...
Sonali: aap log yaha? Virat aur Samrat dono hi ghar pe nahi hai...
Officer: jaanthe hai... Vaise hum unkeliye nahi aye hai...
Sonali: phir?
Officer: hume sai chauvan se milna hai... Kaha hai voh?
Sai hears that and walks towards the door...
Sai: ji... Mai sai chauvan... Kya baath hai...
Officer: hum aapko arrest karne aye hai...
Sai: arrest?
Saira:(scared) mumma...
Karishma holds her...
The elders except ashwini comes there as ashwini is holding the baby...
Officer: aur aapke ghar ka thalaashi bhi Leni hai...
Sai: thalaashi?
A voice comes from behind...
" Kis cheez keliye thalaashi Lena hai officer?"
The officers turn around and find Virat, samrat and mohit... Seeing virat and samrat the officers looked bit tensed...
The trio enters inside the house...
Samrat: batayiye... Thalaashi Kisliye?
Aur permission ka kya?
Officer: voh.. humare pass search warrant hai...
Virat: search warrant... Nice... Vaise kaun case dala hai aur voh kya hai?
Officer: uhm... Sir...
Just then Rahul comes there...
Sai: Rahul?!
Rahul: case maine kiya hai...
Virat: vajah?
Rahul: meri biwi missing hai... Aur mujhe Shak ispe hai(pointing at sai) isine meri biwi Sandhya ko yaha pe chupaya hai... Phone ka last location yahi batha rahi hai... Officer aap please thalaashi lijiye...
One officer steps forward and...
Virat: tham... (Bit loud) Sandhya.... Sandhya....
Sandhya comes down saying...
Sandhya: haa aayi...
She sees police and Rahul standing at the door and gets tensed...
Virat: lijiye officer... Inki biwi Sandhya agayi... Sirf bhulane pe...
Mr. Rahul ne kaha tha ki sai sandhya ko chupakar rakhi hai and all tho ek baar bhulane se kaise agayi...
Rahul: aap sab ne usko Dara dhamkaya hoga...
Samrat: ey.... choti bachi hai kya jisko dara dhamkayenge... Insaan tho gatiya ho hi kahaniya tho ache se bana liya kar...
Mohit: dada... Ek kaam karthe hai na... Sandhya se pooch Lethe hai ki baath kya hai...
Virat: haa... Sandhya... Inhe batau ki kya tumhe yaha zabardasti rakha hua hai...
Rahul glares at her angrily which scares Sandhya...
Sai:(giving death glare to Rahul) Sandhya kisise darne ki jarurat nahi hai...
Virat: khaas karke is cartoon se...
Rahul: Mr. Chauvan... Mind your language...
Virat: haa uspe baadh mein charcha karthe hai.... Pehle jawab tho sunle...
Sandhya: mai yaha apne marzi se reh Rahi hu...
Samrat: dekha officer... Ab jo case sai par file hua hai voh bebuniyad hai...
So... You can leave...
Rahul: ek minute.... Kya patha pehle se hi warn karke rakha ho...
Virat: mmm... Jo tum par pehle se case file tumhari biwi ne kiya hua hai uska kya karna hai yeh bhi batha dijiye...
Rahul: case?
Virat: haa... Notice ajayega... Don't worry... Uske baadh court ka chakkar lagana pad sakta hai... So vaha baath karlethe hai ki Sandhya ko yaha bandhi banake rakha hua hai ya kuch aur baath hai... Aur aap officers... arrest karne keliye lady constable ko bhi saath lekar agaye.... Fantastic... Itni jaldi Search warrant bhi mil gayi... Higher officer hu mujhe bhi patha nahi chala ki mere hi ghar mein thalaashi hone waali hai... aur search warrant bhi issue hogayi ..
Samrat: aur vakth bhi kaise chuna hai dekho tho... Hum dono hi yaha maujood nahi the... Good job... Promotion ke baare mein baath karenge...
Officer: sorry sir... Voh...
Virat:(serious tone) leave....
Officer: Jai hind sir...
They leave the place...
Sai: aur tu... Nikhal yaha se...
Rahul: mai apni biwi ke bina nahi jaane vala... Sandhya... Tumhe kya hogaya hai... In logone itna brainwash kiya ki tum mere khilaaf case file kiya hai... (Teary eyes)Tum nahi jaanthi kya ki mai tumse kitna pyaar kartha hu... Please chalo mere saath...
Sandhya steps back...
Sai: asli aansu aur jhoot ke aansu mein farak samajh mein aa hi jatha hai... Isliye yeh rona dhona yaha math hi kariyega...
Rahul: Sandhya... Tumhare aai baba bhi bhohot pareshaan hai... (Stressing these words) unhe aur jyada pareshan karna chahti ho kya...
Sai: samajh nahi aa raha hai kya... Nikhlo yaha se...
Rahul: Sandhya...
He steps forward but sai stands in front of Sandhya...
Sai: don't you dare...
Rahul: tum hothi kaun ho mujhe apne biwi se dhoor karne vaali huh? Tum(pointing finger at sai he steps forward)
But virat samrat and mohit stands in between...
Mohit: sai bhabhi ko humare hothe hue tho tum kuch kar nahi pauge... Aur bhabhi apni dosth ke saath kuch galat hone nahi degi...
Samrat: aur tum itne logon ko cross karthe karthe kahi chalne ki layak hi na bacho....
Rahul: bhohot hogaya... In sab baathon ka bhohot bhaari padega aap sab pe... (Looking at Sandhya) khaas karke... Tum par...
Sai: agaya na asli roop mein...
Virat goes close to Rahul...
Virat: Sandhya mujhe dada maanthi hai... Aur mai apne behen ke saath kuch galat hone nahi dunga... Aur naahi apne biwi ke saath... Jo ukaadna hai court mein.... Now...
Get the hell out of here...
Rahul leaves....
Virat: 😏
Sandhya: I'm sorry 😔.... Meri vajah se aapko yeh sab dekhna pad raha hai...
Bhavani: aisa kuch nahi hai beta... Hume tho ab samajh aa raha hai ki tumhara pati kaisa barthav kartha tha...
Ninad: ha beta... Tumhe apna maana hai tho apno ke saath kuch galath kaise hone de sakte hai... Jab thak sab teek nahi hojatha tum yahi rahogi...
Sandhya: meri aai baba bhi mujhe samajh nahi paye... Aur Aap sab mere saath khade hai... Thank you ❤️
Sai: ab no more senti baathe...
Pakhi: aur dinner karne chale... Sab ready hai... Chalo Sandhya...
Sandhya: haa...
They have dinner together...
.........
I hope you like it and thanks for supporting and keep supporting and keep voting and drop your valuable comments too....
![](https://img.wattpad.com/cover/294195834-288-k38982.jpg)
आप पढ़ रहे हैं
Ghum hai ki pyaar mein❤️ part 2
FanfictionThis story is going to be the continuation of my story Ghum hai kisike pyaar mein ❤️...