Three days later...
In Sairat room....
(At night after dinner)
Virat comes from station to the room... He places the cap on the table and sits on the sofa... Sai is folding clothes...
Sai:(without looking at him) Aap agaye? Aaj bhohot dher hogayi na aapko.... Mujhe aapse kuch jaruri baath bhi karni thi...
She turns around and sees virat pressing his head and his eyes are closed... Sai places the clothes on the bed and goes to virat... She touches his chin and he looks at her...
Sai:(concern) kya hua?
Virat: bhohot headache ho raha hai...
Sai: ek minute...
She brings oil bottle and applies oil on his head...
Virat: yeh kya kar rahi ho Sai... Mujhe ab headbath karna padega...
Sai: ek raath oil lagaake so jayenge tho pahad nahi toot padega aap par... Subah karlijiyega...
Virat: par...
Sai: muh aur aankhein bandh
Virat follows her orders... She massages his hair... After a while ...
Virat: bas hogaya...
He Holds her wrists and makes her sit in front of him on the table...
Sai: thodi dher aur karlethi na...
Virat: nahi... Acha feel ho raha hai aur karne ki jarurat nahi hai.... Tum batau kya bholna chah rahi thi...
Sai: baadh mein baath karlenge na... Aap fresh hojau mai dinner lekar aathi hu...
Sai gets up but virat makes her sit down again....
Virat: pehle batau... Kuch serious baath hai kya?
Sai: arre... Itni bhi serious vaali baath nahi hai... Voh bas... Mere leaves khatam hone ko hai... Mujhe rejoin karna hoga...
Virat: haa tho kabse rejoin karne vaali ho?
Sai: voh dho hafte baadh se....
Virat: that's good...
Sai: aur... Sandhya bhi join kar chuki hai... Milind jaha kaam kartha hai vahi pe...
Virat: haa yeh jaantha hu....
Sai: aur aapko patha hai pehli hearing ke baadh milind ne drop Kiya Sandhya ko .. tab mujhe voh pehli vaali Sandhya jaisa lagi... Khush thi... Ab work join karne ke baadh se aur bhi jyada khush dhik rahi hai... Par..
Virat: par kya...
Sai: Virat.... Uske aai baba ke itne calls aa rahe hai... Mujhe laga ek baar unki bhi baath sun Leni chahiye tho maine kaha ki ek baar baath karlo... Aaj usne call lift kiya... Aur unke aai baba baath ko samajh hi nahi rahe the naahi usko samjhaane ka mauka de rahe the...
Virat: haa... Yeh tho dimaag se hi nikhal gaya... Humne socha tha na ki unse baath karenge...
Sai: haa... Lekin aap bhi bhohot busy ho na... Ek tho station aur dusra Sandhya ka case...
Virat: busy hu lekin yeh jaruri bhi hai na... Mmmm.... Kal chale?
Sai: kal?
Virat: haa... Tum shaam ko station aajana vaha se Sandhya ki ghar paas hi hai... Hum dono chale jayenge...
Sai: teek hai ....
Virat: uski work area mein tho sab teek hi hai na...
Sai: haa milind bhi tho hai na vaha pe...
Virat: haa uske hothe hue Sandhya ko kya hosaktha hai .....
He goes to the cupboard.... Sai kept staring at him... He takes his clothes and turns towards sai...
Virat: aise kya dekh rahi ho...
Sai: aapke kehne ka tareeka thoda alag laga... Isliye...
Virat: ohh...
Sai: kya kehna chah rahe the...
Virat: kuch bhi tho nahi... Fresh hoke aatha hu...
He goes to washroom... Sai places the clothes in the cupboard... When he came out Sai went to kitchen to get him some food... Sai came to the room with food and saw him swinging the cradle... She places the plate on the table and goes to check...
Sai: kya hua? Ut gaya kya?
Virat: arre nahi nahi... Bas hil raha tha
Sai: uff... Thank God uta nahi... Bhohot mushkil se soya hai...
Virat: haa ab third month bhi khatam hone ko hai tho iske sleep timings badalthe rahenge na abse..
Sai: vahi tho... Aap baitke kha lijiye khana Tanda hojayega...
Virat: haa...
While he was having his dinner sai kept staring at him as if trying to read his mind...
Virat: tum mujhe ghoorna band karogi please...
Sai: nahi... Mujhe answer chahiye tab tak aise hi badi badi aankhon se ghoorti rahungi....
Virat: offfooo lady Sherlock Holmes... Jaane Bina shaanthi nahi milegi na tumhe...
Sai: haa...
Virat: teek hai... Yeh plates rakhkar atha hu... Phir bataunga...
Sai: mai..(before she completes)
Virat: bait... Vedh keliye doodh laaya na?
Sai: haa flask mein hai...
Virat: okay...
He goes down to keep the plates in the kitchen and comes upstairs...
Meanwhile sai arranges the bed...
Virat goes to his temporary side of bed and pretends to sleep... Sai climbs the bed and sits in vajrasan position near him and starts poking his arm with her index finger...
Sai: Viratt... Uto...
Virat: mmm....
Sai: Virat... Mujhe vaise bhi neendh nahi aane vaali aur aapko bhi sone nahi dungi... Utiye...(poking poking)
Virat: acha okay... Ut raha hu...
He moves backwards and leans on to the pillows...
Virat: yeh baath kisiko nahi bataugi tum...
Sai: aisa bhi kya hai...
Virat: patha chal jayega... Sandhya se tho bilkul baath nahi karogi is baare mein... Tabhi bataunga...
Sai: okay fine... Ab batau bhi...
Virat: jab mai aur Sandhya advocate se milne gaye the na first time... Aur mai vaha se station gaya tha...
Sai: haa...
Virat: tab milind milne aya tha... Hum cafe gaye the aur ...
Flashback...
At the cafe...
Waiter bought them coffee and places them on the table and left...
Virat; batau Milind... Kya baath karni hai ...
Milind: sir... Voh mujhe patha chala Sandhya ki situation... Aur aaj tho aap advocate se bhi milne gaye hai na... Sai se patha chala
Virat: haa notice bheja jayega phir hearings shuru honge...
Milind: mai isme madadh karna chahta hu...
Virat: agar jarurat padegi tho pakka bhulayenge abhi tho sirf advocate ka kaam hoga...
Milind: sir... Mai chahtha hu ki... Mai Sandhya ka saath dhu is case ke.... Kya aap... Hearings ke time pe mujhe inform kar sakte hai? Thaaki mai aa sakhu... Please
Virat: uhmm... Yeah but... Tum kyu itna stress le rahe ho? Apna kaam chodkar..
Milind: nahi sir... Mai apne...(gulps)dosth keliye itna tho kar hi sakta hu... Mai yeh sai ko bhi batha saktha tha lekin voh Sandhya se bholegi aur usko uncomfortable lag na jaye.... Pehle se hi rahul ne... Hum dono ke dosti ko hi galat samajh baita hai... Usko... Affair ka naam dediya hai... Ab mera directly involved hona Sandhya ko acha na Lage isliye aapse request kar raha hu...
Virat: I get your point... Par ek baath... Poochna chahtha hu tumse?
Milind: ji sir....
Virat: kya yeh sirf dosti hai? Mera matlab hai tumhare baathon se mujhe dosti se kuch jyada hi lag raha hai... I might be wrong... Agar mai galat hu tho bhol sakthe ho... Lekin I want to know the truth... Sirf .... Sach...
(To the present)
Sai: ek minute... Aapko Aisa kyu laga ki dosti se jyada kuch hoga... Mujhe tho kuch nahi laga...
Virat: yaha aau...
Sai goes closer...
Virat: poori sunlegi ek baar mein tho moti hojaugi kya...
Sai:(goes back) 🤨
Virat: aur nahi tho kya... Mai batha tho raha hu na ki kya hua and all... Aur yeh tumhari mbbs ka lecture thodi na hai jo tum beech mein rokhkar doubts poochne lagogi... University topper ho tho yeh jathaane ki jarurat nahi hai... Aur vaise bhi tumhara topper dimaag na pyaar ke maamle mein fail hua karthi thi...
Sai: excuse me...
Virat: haa kyaa batau... pyaar ka ehsaas mujhe hua tha pehle... Aur uske baadh mai na jaane kitne baar bathaa e ki koshish Kiya tha aur tum
Sai: ha teek hai teek hai... (low tone) puraane baathe lekar suna rahe hai khadoos gabbar.... Aage batayiyega....
Virat: beech mein nahi rokhogi...
Sai: haa okay...
Virat continues...
(back to Flashback)
Milind: voh... Sir... Aisa kuch nahi hai...
Virat: Milind... You can share with me... Sai ke dosth ho mere bhi tho ho na... Thoda bada hu Umar mein... Bade bhai samajhke hi share karlo...
Tum apni dosti vaali baath confidently rakh nahi paaya isliye mujhe lag raha hai ki kuch chupa rahe ho...
Milind:(exhales) i love her sir...
(In the present)
Sai:(shock) kyaaaa...
Virat: 🤨
Sai: ohk continue...
(Flashback)
Milind: internship se hi dosti se kuch alag feel kartha tha... Internship khatam hothe hothe mai ussey pyaar karne laga tha...
Virat: tho phir bataya kyu nahi...
Milind: nahi batha Paya sir... Mai jaantha hu uski family kaisi hai... Internship ke vakth ladko ke saath flat share karne ki baath ko unse accept karvaane keliye ek hafta koshish karna pada... Sai aa rahi thi isliye thoda shaanth hue the... Society kya sochegi kya bholegi zone pe hi rehthe hai... Aur tho aur humara same caste bhi nahi hai... Shaadhi keliye ek bada jaang ladna pad jayega... Aur us vakth tho voh apne career par focused rehna chahti thi tho mai yeh sab bathakar naahi ussey divert karna chahta tha aur naahi dosti ko awkwardness mein badalna chahta tha... Isiliye kabhi koshish hi nahi ki... Dosth bankar hi khush tha...
Jab uski shaadhi fix hui tab bhi himmat nahi karpaya... Kyunki mujhe laga tha ki agar batha diya aur mai uskeliye sirf dosth raha ussey jyada kabhi kuch nahi tha tho voh manaa karthi aur dosti bhi normal nahi rehthi ... Isliye... Shaadhi ke baadh tho voh kahi or chali gayi aur... Contact mein bhi nahi thi... Beech mein jab mili tab khush rehne ki dhikava kar rahi thi jab maine uski life ke baare mein poocha tho divert karthi thi... Phir patha nahi kya hua phirse contact mein nahi rahi... Sai ke baby keliye gift plan karthe vakth bhi laga ki Sandhya ko contact kaise kare voh ayegi bhi ya nahi ... Par thank God voh touch mein aayi... Ek baar tho mai decide karliya tha ki usko keh dhu ki mai ussey pyaar kartha hu... Jo hoga baadh mein dekha jayega... Atleast meri mann mein se voh bhoj tho utar jayega... Us vakth achanak se call cut kardiya tha usne and phir jaake realise hua ki mai bevkoofi karne jaa raha tha... Phir Godhbharayi mein mile the aur vahi last meet thi... Uske baadh ab jaake asli situation patha chali ki voh kitna kuch sehen karthi aayi hai...
Virat:(exhales) tho kya... Ab tum isi vajah se tho saath dene ke baare mein nahi soch rahe ki aage jab voh is relation se Azad hogi tho tum...
Milind: nahi sir... Bilkul nahi... Mai bas itna chahtha hu ki voh is mess se bahar nikhal jaaye... Aur kuch bhi nahi... Meri baath ki jaye tho mujhe nahi patha ki aage kya hoga... Par ek baath pakki hai ki mai dosthi tho zindagi bhar nibha sakta hu...
(Flashback ends)
Sai is left in shock... Virat snaps his fingers...
Virat: hallooo.... Hogaya
Sai: itna sab hogaya... Internship se... Tho mujhe kyu nahi dhika... Dhika hotha tho...
Virat: 🤔mmm... Tum meri pyaar mein ghum thi na isliye nahi dhika hoga...
Sai:🤨
Virat: arre sachme... Phir vaha ek ladke ka problem bhi tho tha aur uske baadh kuch mahino keliye mai gayab tha... Insab pe hi ulji hui hogi... Aur Voh sab ho chuka hai... So... Relax...
Sai: par yeh tho ek taraf se achi baath hi Hui na... Yeh case solve hogaya aur Sandhya is risthe se bahar ayegi tho...
Virat: hold on... Itne Aage ka math sochna...
Sai: par kyu ... Milind se acha lifepartner Sandhya ko mil hi nahi sakta na... Voh bhi itne saalon se intezaar kar raha hai abhi thak sirf Sandhya se hi pyaar kartha hai tho...
Virat: sai rukh jau... Yaha aau
He takes her into his arms...
Virat: socho... Sandhya pehle bhi apne aai baba ke faisle pe Rahul se shaadi karli aur kya hua dekh rahe ho na... Ab hum bhi uske dimaag mein milind ki baathe daal dhe tho obvious hai ki voh vahi sochne lagegi aur indirectly humara faisla uspar thopne jaisa hojayega...
Sai: haa... Right...
Virat: Isiliye jo ho raha hai hone dethe hai .... Agar un dono ka milna likha hi hai tho voh tho hoga hi... Jaise humara hua tha... Voh dono tho bhohot ache dosth hai... Aur Hum dono jab mile the hum tho dushman jaise hi barthav karthe the na... Aur ab dekho...
Sai: hum pyaar karthe hai aur humare dho dho bache hai...
Virat: exactly.... Jaise humara milna likha tha aur hum humara ek chotu sa duniya banaye hai vaise hi un dono ka milna likha hoga tho sab hojayega...
Sai: very smart huh...
Virat: haa voh tho mai hu....
Sai:(gets up)sangathi ka asar hai Mr. Virat chauvan... Aapke Mrs ki smartness aapko transfer hogayi hai thodi thodi varna aap aur smartness... Huh
Virat:🤨acha...
Sai slowly moves behind....
Virat: kahaa jaa rahi ho...
Sai: kahi bhi tho nahi...
Before Sai could climb down the bed virat bends down and holds her hand.... He moves towards her and starts tickling her... And she falls on the bed...
Sai:(laughs) Virat... Please... Yeh nahi... Vedh ut jayega...
Virat:(stops) acha okay... Yeh nahi tho dusra punishment milega...
Sai: kyaa?
Virat looks at her lips and then her eyes and moves towards her...
Anddd our vedh starts making sounds.... Sai pushes him aside and goes to check vedh...
Sai pats on him and tries to put him back to sleep....
Sai: acha hua yeh uta nahi... Agar ut gaya hotha na tho aapko saza milthi... Isko sulaane ka... Sojayiye ab...
Virat:😏(in mind) mumma's boy... Mumma ko punishment se escape karvane ka plan hai na tumhara...
..........
Next day as per the plan Sai goes to the station and from there virat and sai go to sandhya's house...
On the way to sandhya's house...
Virat: mujhe laga tum vedh ko bhi saath le augi...
Sai: socha tho tha... Lekin phir laga ki ghar pe rehna hi teek hai patha nahi na us ghar mein kya thamasha hoga...
Virat: sahi hai...
Sai: chintha ki koyi baat nahi... Aai kaki bua kaku bhabhi karishma aur bache... Itne log hai... Inko mauka chahiye vedh se khelne ka... Sab sambhallenge... Aur doodh bhi bottle feeding ki adath hai na shuru se... So no problem...
Virat: haa... Bas jis kaam keliye jaa rahe hai voh hojaye ....
Sai: haa... Please bappa... hum jo kahenge voh log samajh Jaye...
Virat: let's hope for the best...
......
Door knocks...
(Note: Gonna use aunty uncle to refer sandhya's aai baba)
Aunty opens the door and sees sai virat...
Aunty: tum dono? (Looks outside) Sandhya kaha hai?
Sai: voh nahi aayi hai kaki...
Uncle:(comes from the room) kaun hai... (Sees SaiRat) tum dono yaha?
Aunty: aur Sandhya nahi aayi hai...
Virat: uhm... Kaka.. kaki... Hum aapse baath karne aaye hai... Kya... Andhar aa sakte hai?
They welcome SaiRat inside...
Sairat sit on one sofa and aunty uncle sit on chairs...
Aunty: sai... tum tho Sandhya ki achi dosth ho na... Tho yeh tareeka hai apne dosti nibhane ka... Uski Ghar thodke ...
Sai: mai?
Virat: kaki... Aap is tarah meri biwi par iljaam nahi laga sakte...
Uncle: ohh... Tum apne biwi ke saath khush raho aur meri beti ke is khushi ko cheen lo... Kis Janam ki badla le rahe ho tum dono humse...
Virat: yeh tho mujhe aapse kehna chahiye kaka... Aap kis Janam ka dushmani nikhaal rahe hai apni beti se? Is vakth sabse jyada himmath aapko Deni chahiye thi usey... Aise vakth mein aapke paas aana chahiye tha ussey.... aap dono tho uski sabse badi kamjhori banke reh gaye...
Uncle: yeh kya bakwas kar rahe ho?
Sai: bakwas nahi hai kaka.... Aapko apni beti se jyada is society ki padi hai... Apni beti se jyada viswas aap apne damaad par karthe hai... Aur kudhke parwarish par hi shak kar rahe hai.... Shaadhi ke baadh kabhi bhi uske mann mein kya chal raha hai yeh jaane ki koshish ki hai aapne? Nahi... Ussey bas yeh kaha gaya hai ki apne pati ka khayal rakho sasural ka khayal rakho... Aur humara naak math katne Dena.. insab baathon ke neeche uski dard ko tho dabha hi dethe the.... Hai na kaki?
Aur Kaka aap... Aapne kitni mehnath se usko doctor ki padayi karvayi... Jab Sandhya doctor bani tho kitne khush hue the... Aur ab usko apne sasural vaalon ne naukri karne se rokh rahe hai.... Kya haq bantha hai unka... Yeh kabhi poocha bhi hai aapne? Nahi... Bas apne damaad ke baatho mein aake sab mein haa mein haa milaathe jaa rahe hai... Ghar bhejkar shaadhi bhi karvadhi lekin ek baar bhi ussey nahi poocha ki us ghar mein ussey kaise treat karthe hai...
Virat: Aapka dar aapki pareshaani yahi hai na ki Sandhya ke is khadam se aapke rishtedar kya kahenge samaajh mein kaise jeeyegi... Aur padosi kya baathe kar rahe honge.... ek baath batayiye na kaka... kya aapko kabhi madadh ki jarurat padi tho kaun ayega insab mein se aage... Madadh karne.... Koyi bhi nahi... Aaj kal tho sukh mein peet peeche jhalne vaale hai aur dukh mein maza lene vaale log hai... Yeh aap ache se jaanthe hai... Phir bhi yeh sab soch rahe hai...
Aunty: damaad ji Sandhya se bhohot pyaar karthe hai... Uskeliye kitna kuch khareedthe hai itna acha ghar itni achi kamayi itna acha zindagi thi... Lekin voh hai ki... Shaadhi mein bhohot saare adjustments karne padthe hai... Aur aapke generation vaalo keliye tho shaadhi ek mazak ban chuka hai chote chote problems aye tho thalaak ki baathe shuru hojathe hai... Adjust karna aatha hi nahi hai is generation ke bacho ko... Shaadhi aise hi nahi nibthe unhe nibhana padtha hai...
......
I hope you like it and thanks for supporting and keep supporting and keep voting and drop your valuable comments too....
आप पढ़ रहे हैं
Ghum hai ki pyaar mein❤️ part 2
FanfictionThis story is going to be the continuation of my story Ghum hai kisike pyaar mein ❤️...