Sai: yahi tho problem hai humare soch mein harini.... Hum help keliye intezaar karthe rahenge lekin koyi ayega nahi... Aur hum intezaar kare bhi kyu... Jab hum kudh lad sakthe hai tho.... Jab humare saath kuch galath ho raha hai koyi hume ched raha hai Pareshan kar raha hai tho... Hum kudh kyu react karne se darey... Aur jab hum khudhkeliye lad nahi sakthe tho kisi or se kya expect karogi...
Virat: princess... Pyaar matlab uskeliye lad jana hi nahi hotha usey ladne ki kaabil banaana bhi hotha hai... Aur ek important baath yeh hai ki... Aap ladkiyon ko ya auratho ko hum ladko se madadh ki jarurat nahi hai... Aap kudh lad sakthe ho.... Aap tho humse jyada strong ho... Bas apne andhar ke dar nikhal phekoge na tho sab kuch akele hi handle karlogi....
Got it princess...
Harini: yess...
Virat: mmm... Aapki gundi maami agar apni gunda gardhi dhikana shuru kardhi na tho koyi bach nahi payega.....
Sai: yeh kuch jyada nahi hogaya virat
Virat: aisa hai kya .... Mujhe tho nahi laga... Mai tumhari tareef kar raha tha na sai...
Sai: yeh tareef tha?!
Virat: ofcourse.... My gundi biwi...
Sai: Virat aap....
Harini: time out.... Time out.... Ghar chale?
Virat: jaisa tum kaho princess....
They drove back to home....
It's 6:30 pm
As they enter the house they see that family are having fun time in the hall.
Samrat mohit have already arrived home and are playing indoor games with the kids.... Saira sees sai and virat and comes running to them and virat lifts her in his arms.... And walks towards the
Saira: aap tho mujhe lekar hi nahi gaye...
Virat: hum is weekend jayenge okay
Saira: pakka...
Virat: ha babaa pakka....
Sai: sairu... Dekho mai kya laayi hu... Candyfloss....
She gives one to her and other two to samar and Krish....
Samrat: aur humare liye?
Sai: maine sirf theen le ayi dada... Mujhe laga ki aap nahi khayenge isiliye nahi le aayi....
Mohit: rehne dijiye vahini... Hum jaanthe hai ki aap jaanbhoochkar nahi laayi.... Hai na dada
Samrat: haa....
Sai: aisa nahi hai mohit bhaiya dadaa...
Virat: Sai.... Yeh dono taang kichayi kar rahe hai teri....
Samrat: kyaa yaar shiva....
Mohit: vahini.... Aapka chehra tho dekho 🤭🤭🤭
Sai:😑😔
Shivani: oyy mohit Samrat... Kyu sai ko pareshan kar rahe ho....
Samrat: maushi... Hum kaha Pareshan kar rahe hai...
Mansi: chup kar... Sai bada tu jaa aur fresh hoja... virat harini tum dono bhi jau....
All the three go to their rooms... Virat comes to the first... Samrakhi and morishma are also aware of the situation as virat told them but they pretend to be unaware so that harini doesn't feel awkward.... Samrat and mohit took virat aside and asked...
Samrat: shiva... Sab teek hai na?
Virat: haa jeeva.. sab sort out hogaya hai nothing to worry....
Mohit: lekin uski mood abhi bhi off hi lag rahi hai...
Virat: hoga na mohit .... Lekin hum hai na cheer up kardenge..... Ek idea hai... Aaj hum sab harini ke saath time spend karenge... I mean dinner ke baadh.... Bacho ke saath humare saath thoda bathen karegi tho... Divert tho hogi na...
Samrat: good idea shiva..
After dinner... elders back to their rooms... And harini is walking towards her them just then karishma, pakhi and sai stops her....
Harini: kya hua maami.... Rokha kyu?
Karishma: voh hum chahte hai ki hum sab thoda gappe maarle... Jab se aayi ho tab se kaam pe busy ho aur hum bhi... Busy the... Tho aaj bacho ke saath aur humare saath thoda time...
Harini: sorry maami... Phir kabhi... Aaj mujhe mood nahi hai... I mean neendh aa rahi hai....
Sai: jhoot... Tumhari jhoot na asaani se hum pakad Lethe hai....
Pakhi: please harini... Thoda time... Agar tum bore ho rahi ho tho... Tho kamre mein chali janaa... Okay...
Harini:(thinks and says) okay maami
Karishma: dado sutto.... Chalo phir..
All walk towards kids room.... They see virat samrat and Mohit are already present with the kids trying hard to control their masti....
Sairu: taaiiii..... Aau na yaha baito....
Harini goes sits on Sairu's bed...
Kids on their beds... And parents are sitting down leaning to their respective kids beds....
All have some fun time together for a while... Later....
Saira: papa... Aap keh rahe the na kal ki aap aaj stories sunauge kuch naya
Samar: ha kaka .... Voh princess vali books se aap jo padke sunathe ho hum tho sun sunke irritate hogaye...
Samrat: tu bhi stories sun raha hai?
Krish: nahi kaka... Hume sunayi dethi hai na... Sai kaki ya virat kaka jab sairu ko sulane stories sunathe hai tab sunthe the...
Virat: tho naya kya sunau... Story books ke saare stories tho khatam hogaye.... Bacha party.... Aaj yeh story tellers rest lenge aap sab jeeva se ya mohit se pooch lena.... Okay....
Samrat: arre kaha phasa rahe ho yaar.... Stories achanak se matlab... Mujhse nahi hotha... Mohit tu suna...
Mohit: dada... Mai actor hu story mujhe batayenge mai nahi bathatha..
Harini: ek idea hai mere pass....
Sai: kya idea hai harini....
Harini: koyi bhi story books ke stories nahi sunna chah rahe hai aur aap apne aap se kahanaiya banake bhi suna nahi sakthe... Tho....
Pakhi: thooo....
Harini: tho aap log real stories sunayiye na...
Karishma: matlab?
Harini: matlab aapke love stories....
Kids: yayyy....
Virat: princess... Bacho ke samne hum kaise humare love story suna sakthe hai ... Kitna ajeeb lagega....
Samrat: haa sahi keh raha hai shiva...
Mohit: koyi or idea harini...
Harini: teek hai... Mai jaa rahi hu...
Everyone: rukho....
Samrat: hum sunayenge na.... Pehle virat se start karthe hai....
Virat: mai kyu... Mohit se start karo...
Mohit: dada... Aap bade aap dono mein se koyi start karo...
Kids: chhuuuppppp.....
Harini: ispe bhi fight kar rahe ho....
Samar: tai... Ek idea hai .... Kyu na hum chits daale jiska naam ayega voh pehle bholenge...
Samar: tujhe badi jaldi hai humare love stories sunne ki... Huh?
Samar: hai tho....
They prepare chits and pick one...
It's morishma...
Mohit: ohhoooo.....
Samrat: batha batha...
Mohit: okay... humara tho normal story hai..... college ke fest Keliye ek drama ki taiyaari kar rahe the tho hum dono vaha mile.... Rehearsals mein mila tha tab achi lagi... Lekin jab asli act ho rahi thi tab fida hogaya... Patha nahi kyu kaise bas pyaar hogaya.... Aur phir humara milnaa laga rehtha tha... Ek din maine himmat karke propose kar hi diya... Aur voh bhi accept bhi karli... Mujhe job na milne ki vajah se ghar pe roj kuch na kuch sunathe the tho... Kaise bathathaa pyaar ke baare mein... Isiliye baagh ke shaadhi karli aur phir ghar walon ko manna padaa...
Karishma: pyaar thi shaadhi bhi hogayi lekin kuch tho kami thi humare relationship mein... Barosa kam tha.... Ek incident ne(looking at sai as she meant Sai's suicide) mujhe badal dhi.... Tab se ek hi koshish thi ki jo galatiya ki hai voh sudhaar lu... Aur phir kuch vakth baadh humari phirse shaadhi hui... Phir sab dado sutto hogayi...
Harini: ohh wow....
(Kids have fallen asleep.... Only harini is hearing their stories)
Harini: love marriage thi lekin phir bhi problems aayi?
Mohit: haa... Jiski vajah se hum mile the usi theatre acting ko continue karne ke topic pe humara fights hotha tha... Yeh bhi apni jagah sahi thi muje settled dekhna chahti thi... Lekin sai vahini ne samjhaya ki passion ko hume nahi chodna chahiye... Phir jab situations teek hothe gaye tho karishma bhi meri saath dena shuru ki.... And dekho... Here I am... An actor right now....
All clap for him...
Mohit: thank you thank you...
Harini: aapki baari samrat mama...
Samrat: humari shaadhi hui thi kuch misunderstandings ke saath... Bhohot kuch aisa hogaya ki... Ki hum kabhi saath nahi ho paye the... Phir hum alag hogaye....
Pakhi: vaha se humari asli journey shuru hui... Hum alag hone ke baadh bhi friends bane... itne Ache friends bane ki baathe shuru kare tho khatam hi nahi hothi thi... Aur agar kuch hothe nahi tho bas saath baite rehthe chup chap... Lekin phir bhi bohot sukoon milthi thi... Phir... Sam ko army office jana tha apne last Mission keliye... Jab usne yeh baath mujhse kaha tho mai kuch react hi nahi karpayi... Mai bas pray karthi rahi ki sahi salamat vapas ajaye... lagbag six months dhoor thi... Bina calls ke...
And that time I realised ki I am in love with him... Mai sirf uski baathe uski company miss nahi kar rahi thi... Mai tho kudhko hi miss kar rahi thi..... I am sure ki sam ka bhi vahi haal tha(samrat smiles and nods his head)... Aur jab mujhe patha chala ki sam vapas aya hai tho maine message kiya ki mujhe immediately mile... Aur maine propose kiya...
Samrat: aur humne ghar valo ko convince kiya and got married...
Harini: interesting.... Veeru mamu.. sai maami... Aapki baari ....
Samrat: shiva mujhe bhi sunna tha yaar teri love story...
Mohit: mujhe bhi dada...
Samrat: mohit... Tu tho ghar pe hi tha na mai ek saal ghar pe nahi tha... Tho tujhe nahi patha inki story...
Mohit: kaise patha chalega dada... Yeh dono tho ladthe hi rehthe the... Kuch na kuch drama tho hotha hi rehtha tha...
Harini: ab aap dono chup hoge tabhi veeru maamu batha payenge na...
Samrat and mohit: okay okay....
Virat: hum pehli baar ek function mein mile the jo mujhe Gadchiroli mein swagat karne keliye rakha gaya tha....
Sai: nahi.... Hum ussey pehle bhi mil chuke the...
Virat: kabb?
Karishma: yeh kya dada... Aapko aapki pehli meeting bhi yaadh nahi hai ....
Virat: yaad hai mujhe... Maine sai ko us function mein hi dekha tha... Itne gusse se mujhe invite ki thi usne... Voh sab kaise bhoolunga mai....
Sai: aapko kya lagtha hai ki mai yu hi gussa ho rahi thi....
Virat: haa...
Sai: nahi.... Aapse mai gussa dho baatho se hui thi.... Ek tho aapne mujhpar kheechad uchaal diya....
Everyone: haww....
Virat: maine? Kab ?
Sai: aap tho aise bhol rahe ho jaise aapko patha hi nahi hai kuch...
Virat: haa nahi patha... Bataugi bhi...
Sai: aapko sachme nahi patha... Matlab mai aapko gabbar kyu bhulathi hu yeh bhi nahi patha?
Virat: nahi... Actually kabhi yeh question dimaag mein aayi hi nahi...
Samrat: arre yaar... Tum dono baadh mein jagad lena... Lekin hume pehle yeh tho batau ki hua kya hai...
Sai: function se pehle mai aur Usha maushi cycle mein jaa rahe the naye naye suitcases khareed kar... Aur inka car speed se guzra aur hum par kheechad uchaal dhi... Inki car rukhi hui thi tho mai gayi vaha par tho dekha ki yeh daanth phadkar has rahe the... Gabbar ki tarah....
Everyone: oooooo.....
Virat: maine?( He recollects) sai... Gaadi mai chala raha tha?
Sai: nahi....
Virat: tho phir driver ko bhulana chahiye tha gabbar aur uspar gussa hona chahiye tha na...
Sai: lekin battisi phaadkar has tho aap rahe the na.... Kheechad uchaal kar koyi hastha kya dada bhabhi Harini... Bholiye?
Pakhi: nahi.. galath baath hai yeh tho
Samrat, morishma, harini: bhohot galath baath hai...
Virat:arre kya galat... Sai... Mujhe nahi patha tha ki aisa kuch hua bhi tha... Tho mai kyu hasunga tum par... Hai na...
Samrat: point...
Sai: tho phir aap has kyu rahe the...
Virat: mai shayad call pe baath kar raha tha... Sunny se... Nahi nahi.... Jeeva se baath kar raha tha car mein...
Samrat: mujhse?
Virat: haa thune call kiya tha yeh bathane ki ladki dekhne jaane...( He stops remembering the incidents)
All become silent remembering the past... Harini got confused...
Harini: arree.... Achanak se silent hogaye sab.... Veeru maamu sai maami aage tho batayiye na....
Sai places her hand on his shoulder and with a smile on her face...
Sai: phir kya... Function mein inhe dekha tho aur gussa hogayi thi... Aur Usha maushi tho kehne lagi thi ki inse shaadhi ki baath karegi....
Harini: aapne kya kaha....
Sai: maine...(controlling her laugh) Maine kaha ki meri Kolhapuri chappal bhi inse shaadhi na kare...
Virat: 🤨 everyone:🤭🤭
Sai sees virat and says...
Sai: Virat... Voh tho tab ki baath thi na.... Ab dekhiye tho maine tho aap hi se shaadhi ki hai naa... Gussa nahi hothe... Relax...
Virat: 😏 others are trying to control their laugh.... Virat sees them...
Virat: tum logon ko badi hasi aa rahi hai ... Huh?
Samrat: nahi...(controlling their smile) Hum kaha has rahe hai...
Harini: continue continue... Sai maami aapne kaha ki aapko dho baathon ke vajah se gussa ayi thi... Dusra kya tha...
Sai: aaba ka vrs.... Vaha ek gunda tha jagtap... Usne bhohth Pareshan kardiya tha... Mai sochthi thi ki jab IPS VIRAT CHAUVAN ayenge tho mere aaba ka VRS sanction kardenge... Phir mai aur aaba yaha nagpur ayenge... Lekin aisa nahi hua.... (Tears forming in her eyes) aaba tho mujhe chodkar humesha Keliye chale gaye...
Virat:(teary eyes)khaash maine VRS sanction kardhi hothi... (trembling voice) Na mujhe bachane... Apne seene par goli khaye hothe.... aur Sai ko kabhi apne aaba se dhoor hona hi na padtha....
All became emotional... Sai decides to cheer them up...
Sai:(wipes her tears and smiles) patha hai harini... Hum jab bhi milthe tha na jagda karthe rehthe the... Ek baar na... Mujhe school function attend karni thi... Aur aaba ne khadoos gabbar (virat stares at her)ko bhej diya tha mera khayal rakhne protect karne.... Vaha meri friends inko line maar rahe the... Principal inko chief guest banake le gayi... Aur mujhe inhike haatho se award lena padaa...
Virat: kitni dukh ke saath keh rahi ho na ki mujhse award lena padaa...
Sai: aur nahi tho kya... Tab vaisa hi laga tha... Kyu mujhe iss gabbar ke haathon award mil raha hai... Aur phir jab principal mam ne aapko kuch kehne Keliye kaha tha tho aap kitna taunt maar rahe the...
Mohit: taunt? Voh bhi sabke saamne?
Sai: haa...
Virat: kya haa... Sai... Bholo tho maine kya bataya speech mein...
Sai: mujhe yaad nahi...
Virat: kaise yaad hoga... Maine yeh kaha ki itni achi rank aane par bhi isme akkad nahi hai sabse (stressing the word) acche se behave karthi hai... ( Stressing the word) polite hai...
Sai: dekha.. dekha yeh taunt nahi hai kya...
Pakhi: sai... Virat tho sab acha hi bhola na... Tumhari tareef hi tho ki...
Virat:(teasing her)bholo sai... Taunt kaise hua....
Sai: voh... Uhm...
Virat: kyunki sai mere saath sab ulta karthi thi... Akkad dhikathi thi... Gussa tho 24/7 naak par baita rehtha tha...
Harini: tho iska matlab tab bhi Tom and Jerry the aur aaj bhi Tom and Jerry hi ho...
......
I hope you like it and thanks for supporting and keep supporting and keep voting.....
आप पढ़ रहे हैं
Ghum hai ki pyaar mein❤️ part 2
FanfictionThis story is going to be the continuation of my story Ghum hai kisike pyaar mein ❤️...