Family time🤟

628 95 13
                                    

Sai: hum jaanthe hai kaki... Infact humara generation bhi jaantha hai ki shaadhi nibhana padtha hai kuch compromises karne hothe hai... Adjustments karna padtha hai lekin itna bhi nahi ki kudhki pehchaan hi peeche choot jaye... Itna bhi adjust nahi hona chahiye ki sasural mein bahu unki haathon mein ek katputhli banke reh jaye... Bas unki ishaaro mein naachthe reh jaye... Unkeliye saare tyaag balidaan karthe chali jaye... Aapki beti ka vahi haal tha vaha...
Uncle: yahi sab kehke brainwash kiya hai na tumne apni dosth ki...
Sai: maine?
Uncle: hume patha hai ki Rahul uska bhohot acha khayal raktha hai...
Virat: bas kijiye kaka... Brainwash aapki beti ki nahi balki aapka hua hai... Paise hi sabkuch nahi hotha na kaka... Aapka damaad paiso ka dhikava kartha hai iska matlab yeh nahi ki voh Sandhya ko khush rakh Raha hai... (Exhales) ek baath batayiyega... Aap jab Sandhya ko college mein join Kiya tha tab kya aap Sandhya par shak kiya tha ki vaha ladke honge aapki beti galat raastha apnaa sakthi hai...
Uncle: agar aisa socha hotha tho internship keliye Indore nahi bhejtha aur flat mein rehne nahi detha jaha dho ladke bhi honge... Hum humare beti ko aise sanskaar nahi diye hai...
Virat: lekin aapka so called acha damaad aapki beti par yeh iljaam thak daal diya ki voh affair rakh Rahi hai... Usko kahi bahar jaane keliye bhi permission poochna padtha hai... Ya yu kahu ki usko house arrest kar rakha tha...
Uncle:(shock) kya? Yeh... Yeh tum kya bhol rahe ho... Yeh hume nahi patha tha....
Virat: kaise patha chaltha kaka... Aapke so called ache damaad kudhki tareef kaise kartha... Aur Sandhya aapko batha bhi nahi sakti thi .... Aap tho yakeen bhi nahi karthe na uspar... Voh tho acha hua ki voh mere paas ayi complaint file karvayi aur kudhkeliye ladne ki himaath hai usme ..
Aunty: hum Rahul se baath karenge... Hum in dono ke beech saare problems dhoor kardenge... Divorce thak kyu Jana... Baitke baath kar sakte hai na... Haina ji?
Uncle: haa...
Sai: seriously kaki? Baitke baath karengi... Us insaan se? Aapko yaad tho hoga na ki Sandhya ek baar dhoor jaa chuki hai lekin aapke kehne pe usne ek mauka diya tha Rahul ko... Kya hua... Kuch nahi badla... Infact voh aur gatiya tareeke se barthav kar raha hai...
Aunty: tum tho kahogi hi... Yeh badi khandan ki bahu jo ho... Tumhari zindagi mein sab teek hi chal rha hai na... Meri beti ki talaak hogi tho samaajh mein kaise jeeyegi... Kitna kuch sunna padega sehna padega.... Akeli hojayegi... Ussey dubara shaadhi karne keliye kaun ayega...
Virat:(stands up and loudly)bass kijiye...
Sai stands up too and holds his arm
Sai: Virat... Shaanth hojayiye...
Virat:(looks at her) kaise shaanth hojau... Kaise? Hum kabse inhe samjhaane ki koshish kar rahe hai... Lekin yeh tho...
Uncle stands up....
Uncle: jawaan ho... Isiliye aise jaldbaazi mein faisle le Lethe ho... Lekin zindagi aise nahi chaltha... Maine tumse jyada duniya dekha hai... Dekh chuka hu ki samaajh mein aise shaadhi tootne vaalo ka kya haal hotha hai... Mai apni beti keliye aisi zindagi nahi chahta....
Virat: jaantha hu ki aap mujhse jyada duniya dekhe hai... Lekin mai ek police vala hu kaka... Mai jis tarah se duniya dekhta hu us nazariye se dekhthe tho kab ka saath de rahe hothe apne beti ka...
(Exhales) beti ka baap hu... Ek ladki ke saath kya kya ho raha hai is samaajh mein yeh dekhkar dar lagne lagtha hai ki kahi meri .... Meri bachi ke saath aisa na hojaye... Aise haalthe meri beti ke zindagi mein na ajaye...
Yeh sochkar hi(looking at his hands with teary eyes) haath tande pad jaathe hai... (Sai tightens her grip)
(Wipes his lone tear)Aur aap.... Aapki beti ke saath galath ho raha hai... Yeh sab bhi aapko koyi bahar vala aake bathaana pad raha hai... Bathane par bhi kya faidha... Beti ki saath dene ke khayal thak nahi aa rahi....
Sai: Virat... Please calm down....
Aunty: kuch bhi bhole jaa rahe ho beizzati kiye jaa rahe ho ...
Virat: (looks at Sai)dekho tho
Sai: please...
Virat:(calms down) Kaka... kaki .... Domestic violence ka case karna koyi choti baath nahi hai.... Is saal paanch mahine hi hue hai lekin 20 alag alag tareeke cases already file ho chuke hai.... Ek station mein aisa hai tho desh mein kitne honge... Kitne log himmath na karke bas sehthe rahe honge... Yeh sirf auratho ka nahi mardho ke saath bhi ho raha hai...
Kuch cases mein tho suicide karne ke baadh unke parivaar vaalon ko patha chaltha hai ki kya kya hua tha us insaan ke saath .... Agar Sandhya aise himaath se nahi balki vaise khadam utaya hua hotha tho...
Uncle and aunty:(scared) Nahi....
Sai: shukar hai ki Sandhya aisi nahi hai... kudhkeliye ladne ki himmat rakhti hai.... aapki beti ko aapki sabse jyada jarurat hai... Please samajhne ki koshish kijiye...
Virat looks away from them and small mandhir in which ram seetha idols are placed caught his sight....
Virat:(pointing them) aap Sitaram ko maanthe hai?
Aunty:(confused) haa...
Virat: Shree Ram tho kabhi apni patni par shak nahi kiya tha aur Sita matha yeh baath jaanthi bhi thi..... lekin ayodhya ke saare log maatha Sita par shak kar rahe the... Tab apne praja ko paat padaane dharm sikhane apne patni thak ko vanvaas mein bhej diya tha... Sab teek hone ke baadh bhi maata sita shree ram ke galthi na hone par bhi unke paas nahi gayi thi Dharthi mein samaa gayi thi... Aisa kyu kaki?
Aunty:(confused) Apne... atmasamman ke liye...
Virat: haa.... Yeh Rahul tho insaan hai... Aur tho aur shak karke apne patni ko torture kartha hai... Tho Sandhya ko kyu uske paas vapas bhejne ki soch rahi hai... Inki Pooja karthe hai tho inke raasthe mein kyu nahi chalthe?
Issey jyada hum aapko kuch samjha nahi payenge.... Ek baath pakki hai.... Hum Sandhya ka saath denga hi and I will ensure ki voh us Rahul ke paas tho vapas jaaye hi na.... Aap jo karna chaahe karlijiye... Chalo sai...
Sairat leave the place.... Sandhya's parents are left in deep thoughts...
Outside the house..
Virat:(anger) I don't understand... Aise kaise soch sakte hai yeh log...
Sai: Ghar chale?
Virat: haa..
Sai: mai drive karungi...
Virat: mai...
Sai: kaha na... Mai drive karungi...
Virat: okay ...
Sai drives back to home...
On the way.... Virat just kept silent as if trying to control his anger his frustration....
Sai: patha hai Virat.... Jab aap yeh jaanthe hui bhi ki saira karate classes join karegi tho aage jaake bhohot chot lagne ki chances hai upar se usko chot lagthi tho poora Ghar ko sar pe uta lethi hai aapne usko permission dediya tha... Tab mujhe pal keliye laga ki inhe kya hogaya beti ko chot lagegi tho yeh pareshaan hojathe hai phir bhi permission de rahe hai ... lekin aaj patha chala ek pita ka dar apni beti ko lekar... Usko abhi se society mein ho rahe yeh saare incidents se ladne keliye taiyyar karna chah rahe hai...
Sai: kyaa abha bhi... Aise sochthe honge... (Virat looks at her)
Virat: haa... Tabhi tho... Tum itni strong ho ki akele kisi bhi musibat se lad sakti ho...
Sai looks at him and smiles... Then she focuses on the road...
Sai: maa ki pyaar ko tyaag ko sab jaanthe hai bhohot baathe hothe hai... Lekin pita ka pyaar tyaag in sabke jyada baathe nahi hothi.... Un sabko khaas karke ek beti ke pita ko ... Jo har pal dar se jeethe hai ki kabhi kuch hone ka dar tho kabhi beti ke shaadhi ke baadh se dhoor ka dar.... aaj mai dil se unko salute karna chahti hu...(pause). Aur Aap Virat.. sachme nariyal ho...
Virat: kyaa?
Sai: haa bahar se IPS virat chauvan khadoos (virat 🤨) andhar se bhohot emotional bhohot sensitive apne parivaar ko lekar... Isliye... Nariyal ho aap
Virat: please na sai... Rotha hu iska matlab yeh nahi ki bhaari emotional dialogues maarthi rahogi rulathi rahogi....
Sai: acha ji..... Jo aap kaka kaki ke saamne itna lamba chauda emotional dialogues sunaa rahe the uska kya...
Virat: kya faidha... Kuch asar hua hi nahi...
Sai: hojayega... Dekha nahi kya kaka kaki sochne lage the... Unhe vakth dijiye... Unke puraane zamane ke khayalo se bahar aane keliye... Hum tho koshish karna chahte the aur kardiya... Aage Jo hoga voh bappa ki marzi...
Virat: mmm.... (He looks out and suddenly) ghaadi rokho Sai...
Sai: arre kyu?
Virat: side mein rokho tho...
Sai stops the car...
Sai: kya huaa...
Virat: chocolates khareedna hai ..
Sai: chocolates? Seriously?
Virat: haa... Mujhe meri beti par poora bharosa hai... abhi thak ghar pe muh fulaake baiti hogi ki mumma papa usko vedh ko ghar pe chodke akele akele ghoomne chale gaye .....
Sai: ooo...
Virat: haa... Aur uski favourite chocolates lekar jayenge tho thoda tho shaanth hogi...
Sai: ohhoooo... Tho IPS virat chauvan bribe dene ki baathe kar rahe hai... Very bad ah...
Virat: halloo... Tumhe manaane keliye candyfloss Laatha tha na... Ab beti tum par gayi tho mai kya karu... Manaane keliye same technique hi use karna padega na...
Sai: acha... Tho yeh bribe dena sadiyo se chaltha aa raha hai... Mmm...
Virat: kya bribe bribe laga rakha hai .... Yeh bribe nahi yeh... Pyaar hai...
Sai: okay🤭
Virat: chidana hogaya ho tho ghaadi se utre?
Sai: haa ofcourse...
They get down of the car... Virat gets a call...
Virat: Sai... Tum khareedna mai yeh call attend karke atha hu...
Sai: ohk...
Sai goes inside the store... And virat lifts the call...
Virat: Ha devika... Batau...
Devika: sir... Ek aur mil gaya ...
Virat: that's great... Baaki ke saath hi... safe rakhna... mai kal dektha hu...
Devika: ji sir.... Sir... Ek baath poochni thi?
Virat: haa poocho...
Devika: DIG sir aaye the... Aapke jaane ke baadh... Voh mujhse case ki progress ke baare mein pooch rahe hai... Kya kahu unse?
Virat: ohhooo... Devika voh case maine tumhe isliye diya thaaki mai free hojau...
Devika: sir lekin voh case bhohot important hai na...
Virat: Teek hai... DIG sir se mai baath karlunga... Tum bas Jo mai keh raha hu voh karthe jau.... Baaki mujhpar chod dho...
Devika: okay sir... Jai hind...
Virat: Jai hind...
He ends the call and walks towards the store...Just then Sai comes out...
Virat: khareedh bhi liya?
Sai: haa... Isme kitna hi time lagega...
Bacho keliye chocolates aur bado keliye sweets leliya...
Virat: bado keliye ya phir baba keliye
Sai: baba... (Bites her tongue)
Virat: patha tha...
Sai: hello... Mai doctor hu... Aur mujhe patha hai ki unka sugar khana manaa hai lekin yeh tho sugar free hai...
Virat: very smart...
Sai: haa... Koyi shak?
Virat: bilkul nahi...
Sai: Good...Ghar chale?
Virat: ek minute Mai abhi aaya...
He goes to a shop nearby and buys candyfloss for her...
Virat:(showing it to her) ab meri patni parivaar mein sabkeliye kuch na kuch liya hai tho mai apni patni keliye yeh uski fav candyfloss tho le hi saktha hu...
Sai: jaldi yeh covers pakad lijiye please...
Virat: ohk...(he takes the covers from her hand)
Sai: (pulls his cheeks) you are the cutest....
Virat: ahh... Kya kar rahi ho... Hum bahar hai road pe... Mujhe is area ke log jaanthe hai Sai ....Aur tum ho ki....
Sai: aur vahi log yeh bhi jaanthe hai ki mai IPS virat chauvan ki eklauti patni hu aur doctor hu...
Virat: eklauti...🤨
Sai: ji haa... Haww... Koyi aur bhi hai kya....
Virat:😑lo ... Pakdo....
He goes to the driving seat... And sai gets in...
Sai: sachme virat.... Aapko chidaane mein irritate karne mein na... Bada maza atha hai...
Virat: khadoos mai nahi tum ho...
Sai: haha thank you
They drove back to home...
.....
Meanwhile at home...
It's already evening and kids came home just five minutes after sai left...
Karishma and pakhi are playing with the baby....
Saira: vedh aaj neeche hai...
Pakhi: haa vedh aaj apne tai aur dada ko welcome karna chahta hai... Isliye neeche agaya... Hai na vedh... Haina
Baby smiles...
Karishma: dekha... Smile karke jawab dediya... Sab samajhtha hai yeh tho...
Samar: aai agar hum freshup hoke aaye tho vedh se khelne dhoge na...
Pakhi: nahi... Pehle fresh hona hai phir home work karna hai phir vedh se khelne ka mauka milega... Hai na karishma?
Karishma: bilkul... Aur tab thak hum vedh ke saath time spend karthe hai...
Krish: lekin humara tho home work khatam hogaya... so freshup ke baadh vedh ke saath fun time...
Samar: haa kaki is baar no bahaaana... Hum tho full preparation karke aaye hai...
(Kids leave to get freshenup)
Pakhi: bache sachme bade ho rahe hai karishma....
Karishma: vahi tho bhabhi...
Just then Bhavani comes there...
Bhavani: Pakhi... Mansi aashram pahunch gayi hai kya..
Pakhi: ha badi maami kuch hi time pehle call aya tha unka... Pahunch gayi hai... Aur yeh bhi kaha hai ki vaha sab teek hai tho chintha karne ki koyi baath nahi hai kuch din baadh ajayengi...
Bhavani: phir teek hai... (She takes vedh) ab mai apne pothe ke saath khel sakti hu...
Karishma: par kaku...
Bhavani:(serious tone)koyi takleef hai karishma?
Karishma: nahi... Nahi kaku...
Bhavani: tho jau tum dono apna kaam karo... Jau...
Karishma,pakhi: haa...
They leave and Bhavani tries to control her laugh...
After a while...
Saira:(while climbing down the stairs) kaki, dhaadhi.... mumma kaha hai ...
Saira comes to the hall ...
Saira: badi daadhi... Mumma kaha hai ..
Bhavani: bahar gayi hai bacha papa ke saath ... Aajayegi thodi dher mein...
Saira: mumma papa mere bina hi chale gaye.. mai katti hu unpe...
Ninad and omkar arrives home.... They sit on the sofa...
Bhavani: agaye tum dono? Aaj dher hogayi na aane mein...
Ninad: haa vahini... (Makes saira sit on his lap) kya hua meri sairu ko... Aise sad sad face kyu?
Saira: dekho na dhaadhu mumma papa mujhe aur vedh ko chodke ghoomne chale gaye...
Omkar: aane dho un dono ko... Khaan kheechenge... Humare sairu ko nahi le gaye...
Saira: haa☹️
Sandhya comes home....
Sandhya: hiii.... (To saira) hi saira... Kya hogaya tumhe...
Ninad: gussa hai apne aai baba pe... Kahi bahar gaye hue hai na...
Sandhya: ohh... Abhi thak nahi aayi kya Sai?
Bhavani: nahi... Dho ghante ho gaye... Patha nahi kya kaam tha... Bhohot jaldi mein thi pooch nahi paaye....
Sandhya: ohh...
Pakhi and karishma comes out from kitchen....
Sandhya: pakhi dhi, karishma aap dono ne dinner bana liya hai kya...
Pakhi: nahi Sandhya... Abhi banaana hai...
Sandhya: great.... Aaj aap nahi banayenge... Aaj aapka off hai...
Karishma: phir kaun banayega?
Sandhya: mai... Mai aap sabkeliye khana banaana chahthi hu... Khayenge na?
Bhavani: tumhe takleef utaane ki jarurat nahi hai bada...
Sandhya: kaku... Kya aap mujhe parivaar ka hissa nahi maanthe?
Bhavani: aisa maine kab kaha... Tum is parivaar ka hissa kabka ho chuki ho...
Sandhya: phir banaane dijiye na kaku... Mujhe khushi hogi aap sabkeliye kuch special banaake khilau tho... Agar taste ke baare mein soch rahe hai tho mai achi bana lethi hu... Sachme...
Bhavani: teek hai... Tumhari marzi
Sandhya: thank you kaku...
Pakhi: chalo hum bhi help kardethe hai...
Sandhya: bilkul nahi... Mai sab karlungi... Aap dono bas yaha baito aur relax karo....
Karishma: thoda tho karne dho...
Sandhya: noo....
Sandhya goes to the kitchen....
.......
Samrat and mohit came home and got freshup.... They came down to the hall....
Samrat: shiva sai nahi dhik rahe ?
Ash: kahi bahar gaye hai abhi thak nahi aaye...
Mohit: date pe gaye honge...
Samrat hits on his head..
Mohit: ouch dada...
Samrat shows Saira....
Mohit: ohh...
Samrat: haa...
Mohit: hum sab tho yahi pe hai... Sai vahini aur dada tho bahar gaye hai... Tho kitchen se itni achi khusbu kaha se aa rahi hai...
Sonali: Sandhya aaj khana bana rahi hai... Khushu smell mehek se tho lag raha hai ki ekdum Ruchir delicious swadisht bhojan ban Raha hai....
Just then sairat come home...
Virat: hellooo family... Humara intezaar kar rahe the kya... Sabke sab yaha baite hue hai...
Mohit: (placing his hands across Virat's shoulder) dada... Sach bathana... Date pe gaye ho na....
Sairat look at eachother....
Virat: kuch jyada nahi chala rahe ho dimaag ko .... Kuch kaam tha isliye gaye hai...
Ash: haa gaye tho gaye... Humare sairu ko kyu nahi lekar Gaye tum dono....
Krish: kaka... Manaane keliye kuch laaye ho na... Humesha ki tarah...
Virat: mohit... Batha Raha hu agar yeh chup nahi hua na tho tujhe bhohot maar padegi...
Mohit: Krishh...
Krish: par sachme dekho tho kaki ke haath mein bag hai .... Usme pakka chocolates honge... Saira ki favourite.... Saira ko (virat closes manaane)
Saira:😑
Virat: tu bhi apne aai baba ki tarah hogaya hai taang keechne ka phasane ka ek mauka nahi chodthe ho...
Sandhya came out of the kitchen...
Sandhya: dinner taiyyar hai... Aap sab ajayiyega....
Sai: arre wah aaj tumne dinner prepare Kiya hai...
Sandhya: haa... Vaise tum dono kaha gaye ho...
Virat: (leaving Krish) voh... Uhm... Bas bahar gaye hai...
Saira: voh bhi mere aur vedh ke bina
(Folds her hands and looks away from virat)
Virat kneels down and holds saira...
Virat: sairu... Kaam tha isliye...
Sai: aur dekho tumhare liye chocolates laaye hai... Ab gussa nahi karegi na meri sairu...
Krish: dekha... Maine sahi guess kiya na... (Virat:🤨)
Saira: dho...
Sai:( gives chocolates) par abhi nahi... Dinner ke Baadh kha lena... Okay?
Saira: haa...
Sai: samar Krish yeh lo tumhare liye...
Samar: thank you kaki..
Before Krish takes one virat takes chocolates from his hand...
Sai: Virat...
Virat: isko nahi milega... Jyada Masti sooj raha hai kaka ke saath...
Saira takes the chocolates from virat and gives it to Krish...
Krish: behen hai meri...
Virat: hehehe...
Sai takes vedh into her arms...
Sai: roya tho nahi na...
Bhavani: bilkul nahi.... Humare saath khel raha tha ache se...
Sai: mai isko doodh pila dethi hu... Aur hum bhi fresh hoke aapko join karthe hai...
Bhavani: haa ....
Sairat goes to get freshup and after a while... Virat comes down and others have started their dinner and are praising Sandhya for preparing delicious food.... Saira is still giving angry looks to him...
......
I hope you like it and thanks for supporting and keep supporting and keep voting... Drop your valuable comments too

Ghum hai ki pyaar mein❤️ part 2जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें