Virat is restless to know what's going on there.... He calls sai... But she is not answering the call because her bag and phone are on a table and sai is very far from that place.... her phone is in silent and she is attending the patients.... Aniket saw her phone ringing.... He saw for sai but couldn't find her.... He lifts the call....
Virat: hello Sai....
Aniket: hi sir... Aniket here...
Virat: Aniket.... Sai?
Aniket: uski phone yaha hai... Aur voh kahi dikh nahi rahi....
Virat:( worried) kyaa...? Voh teek hai na? Is she fine....?
Aniket: sir... Sir relaxx... She is fine... I meant ki voh patients ko treat kar rahi hai... Jis jagah pe mai hu I can't find her... Maybe voh other side pe hai...
Virat:(relieved) ohh.... Vaha... Vaha sab teek hai na... Kuch issue tha... Voh... Voh sort out hogaya kya?
Aniket: sort out tho nahi hua hai sir... Par aapki sai na bhohot acha sa jawab de diya hai unlogon ko.... So abhi Keliye nothing to worry...
Virat: abhi Keliye matlab?
Aniket: matlab sir... Voh shayad phirse ayenge....
Virat: kya? Mai vaha aa raha hu...
Aniket: sir... Please... Aap yaha math ayiyega....
Virat: but why? Mere aane se problem kya hai... Sai bhi manaa kar rahi thi...
Aniket: sir... Aap relax kijiye.... Virat Sir... I understand ki aap sai Keliye bhohot jydaa worried hai jabse aapko yeh issue ke baare mein patha chala hai... Aur aapke aane se issue bhi solved hojayega...
Virat: tho phir...
Aniket: lekin sir... Yaha ke logon ke dil mein sai ne jo himmath bhari hai unke khilaf ho rahe injustice ke against ladne keliye us leader se ladne keliye... Voh waste hojayega.... Ab hum solve kardenge tho baad mai agar phirse inki lives mein aisa koyi netha ayega jo power ke aage kuch nahi dhektha yeh log kabhi nahi lad payenge apne liye... Yeh unka pehla step hoga.... Hum sab hai yaha par... Agar kuch bhi out of control jayega tho sai kudh aapko bhulayegi....
Virat:( takes deep breath...) You are right... Tum... Sahi keh rahe ho Aniket... Par...
Aniket: Sir... Sai ko kuch nahi hoga... Aapki diyi hui training ka poora istemaal kar rahi hai.... Itna maara hai usne un logon ki kya batau... Mazaa agaya dekhkar...
Virat feels proud of his Sai....
Just then sai comes to that place and sees Aniket speaking in her phone...
Aniket sees her...
Aniket: Sir .... Sai aagayi... Baath karlijiye....
He gives phone to her and signs that he is going to attend patients....
Sai: Virat...
Virat: Sai... Tum teek ho na?
Sai: haa... Aap Aniket se... Kya baath kar rahe the..?
Virat: tumhe kyu batau ...
Sai: arree.... Bathane mein kya problem hai aapko....
Virat: damki dhe raha tha....
Sai:(shock) kyaa.? Par kyuuu?
Virat:(laughs) mazak tha Sai... Bas baath kar raha tha ki sab teek hai ya nahi... Aur voh batha raha tha ki kya hua and all...
Sai: ohhh.....
Virat: haa... Sai....
Sai: haa...
Virat: I am proud of you.... So much proud.... Aniket ne bataya ki tumne sab handle karli hai aur un logon ko himaath bhi dhi hai... you are just awesome....
Sai: bas bas Virat... Itna bhi kuch nahi kiya maine... Bas Aaba se aur aap se jo bhi seekha hai vahi kardiya....
Virat: aur mai aaba ka student hu... Tho jo tumne mujhse sikha hai voh tho aaba ka hi diya hua hai... So poora credit unhe jaatha hai....
Sai: mmm.... Aapko ek aur award dena chahiye....
Virat: kyaa?
Sai: Best student aur best damadh ka bhi award milni chahiye aapko... Matlab aapke guru ko credit dene ka ek mauka nahi chodthi hai na aap...
Virat: kuch bhi...
Sai: acha mujhe jaana hoga Virat... Aap chintha bilkul math kijiye....
Virat: haa... Aniket bhi yahi keh raha tha ki sai jaise badi gundi ke saamne voh log kaha tik payenge... Isiliye no worries....
Sai: ha ha ha so funny....
Virat: but this is serious... Acha okay... Take care... agar meri jarurath lagi tho please call me... okay?
Sai: okayy.... Bye
Virat: bye...
He cuts the call but still he is bit tensed.....
That night sai spoke with family and Sairu.....
.......
The next day.... the same routine took place....
In medical camp...
Doctors are busy attending the patients..... Just then two jeeps stopped in front of the camp.... That grabbed everyone's attention... Goons climbed down the jeep.... One was still sitting in the jeep... A goon who got beaten up by sai pointed out at Sai and is saying something to that person.... That Goon signed sai to come there.... Sai walked towards them and Aniket followed her....
Sai:(to that goon)phirse maar khaane agaya hai kya....
Goon:(anger) eyy....
Sai: kyaa... Sahi tho kaha maine.... Aur vaise bhi naye gunde ko lekar aane ka kya faidha... Maine tho aapke leader ko hi bhulane kaha tha na... Itna darpok hai ki ghar mein hi bait gaya...
The man in jeep yelled at her....
" Eyy..... Tu kya samajh rahi hai apne aap ko... Huh?"
Sai: mai kuch bhi samjhu aapko ussey kya matlab... Aur vaise bhi mai tho us darpok leader ke baare mein baath kar rahi thi tho aap kyu beech mein ghus rahe hai....
Goon: (pointing that man) yahi hai humare leader....
Sai:(looking at the man) yeh... Lagthe tho nahi hai....
Leader: 😠tumhe nahi lag raha ki tum kuch jyadaa hi ud rahi ho... Aur maine bhi bhohot mauke dhe chuka aap logon ko lekin meri ek nahi suni.... Kudh apne zindagi ko katre mein daal rahe ho.... Abhi bhi vakth hai ki chale jaye... Yahi rukhe tho koyi nahi bachega....
Sai: voh tho humne kal hi humara jawab dediya na aapko... Aapke gundo ne nahi bataya kya aapko....
The leader looks at the goons and goons are like 🤷🏻♂️
Sai: yaha se.... Ek insaan kya ek bhi suyi bahar nahi jaane vaali.... Hume dho haftho keliye bheja gaya hai tho hum humare kaam poora kiye bina nahi jaane vaale ....
Leader gets more angry.... He holds her neck..... Aniket comes to stop him but one goon hold him back.... Sai is struggling to get free... Seeing that the people stepped back in fear... He moves forward sticking sai to the pole.... A nurse is standing nearby with a tray that has medical tools... It has scalpel(knife type).... She takes it and within fraction of second she cuts his wrist.... He leaves her screams in pain.... Goons come to support him.... Leaves Aniket also...
Sai signs Aniket to come her side...
Goon: eyy... Yeh kya kiya tune.....
Sai: dekh... Maine leader ki nas kaat dhi.... Khoon bhohot beh raha hai aur agar jaldi medication nahi mila tho yeh mar jayega....
Goons try to come near.... All doctors take that knife in their hands....
Sai: dekh... Ab sab ke haath mein hai... Kisiko bhi agar haath lagaya tho konsi nas kat jaye kuch patha nahi chalega....
Leader:(In pain he screams) eyy ladki... Pagal hogayi kya.... Jail hogi agar hum mar jayenge tho.... Inke liye... Jail jaugi kya...? Chal ... Teek kar mujhe....
Sai: jail tho tab jaungi na jab koyi mere khilaf bholega... Yaha koyi hai jise mai galath lagthi hu aur mere khilaf complaint karegaa?
Doctors and villagers together: nahi...
Sai: dekha....
Leader to his goons....
Leader: abey... Mujhe hospital lekar ja.... Jaldi....
Sai signs the people to surround the jeeps and not allow anyone to move from there...
Sai: for your information.... Tere is ghav mein koyi hospital nahi hai... Aur hospital hai voh yaha se poora ek ghanta dhoor hai.... Tab thak tu marjayega.... Tumhare yeh gunde log agar maar peet ke liye taiyyar hai tho bhejdho... Sabke nas kaat dalenge aaj... Doctors hai tho ekdum sahi nas cut karenge thaaki jaldi se bappa ke paas chala jaye... Himmath hai tho ayiye na....
All the goons steps back.... Leader is screaming in pain....
Sai moves towards the leader....
Sai: dard ho raha hai na.? Dar lag raha hai na ki kahi aaj hi mar Na jau... Hai na?
Leader is just looking at her.... No words... But he has that fear in his eyes....
Sai: tu vaha mahal jase ghar mein ek luxurious life jee raha hoga... Aur tere is ghav mein rehne vaale log aise halath mein reh rahe hai jaha khana paani sab ki kami hai.... Har roj ek akri din ki tarah jee rahe hai.... Ek hospital ki nirman nahi kar saktha tha kya... Ab baath teri tak bhi aagayi... Tu bhi ab marne vala hai lekin hospital kaha hai? Bathaa.....
(Her words seems to have impact on that leader)
Sai: leader ho tho inka dhyaan rakhna tumhari zimmedari hai... Inhe bhi jeene ka hak hai jaise tujhe hai... Hum yaha mufth mein treatment dene aaye hai tho usme bhi tujhe problem ho rahi hai.... Ab tumhara ilaaj karne humare sivay yaha koyi nahi hai... Ab hai kya tujhe problem? Nahi hogi... Kyunki baath tumhari hai na... Itna bada power mila tho kitna develop kar saktha tha is ghav ko in logon ko acha life dhe saktha tha... Badle mein yeh log tujhe samman dethe tere saath khade rehthe... Lekin tumne kya kiya... Jinke vajah se tumhe yeh... Power mili yeh paise yeh ghar yeh luxury life mili unhe insaan ki tarah bhi treat nahi kar rahe ho.... Sharam aani chahiye tujhe kudh par....
Abhi bhi vakth hai apna galathi maan kar ek naye shuruaat karne ka... apne is power ke saath kuch acha karne ka.... Samajh bhi aa raha hai ki mai kya keh rahi hu?
Leader:(in pain)haa .... Par yeh khoon.... Mai mar jaunga tho....yeh jo.... tumne kaha hai.... voh kaun karega.... Pehle bachaloo....
Sai: arre wah.... Marthe vakth bhi insaan ka sense of humour nahi jaa raha hai... Nice... I like it ....
Leader: ab kuch karogi bhi..... ahhh(pain)
Sai: mera aur yaha ke sab logon ka ego hurt hua hai.... Isiliye izzath se request karna....
Leader: please.... Doctor ji.... Mujhe bacha lijiye....
Sai: agar bachaliya tho guarantee kya hai ki tum phirse yeh sab nahi karogi....
Leader: aree nahi karunga meri maa.... Marthe vakth koyi jhoot kya bholega.... Mai sab acha hi karunga... Par please mujhe bachalo na....
Sai: teri yeh... Yeh gundo ka kya.... Inhe dekhkar tho aisa Bilkul nahi lag raha ki yeh badal gaye hai ....
Leader: agar mai badal gaya hu tho mere gunde kyu nahi badlenge... Agar nahi bhi badle tho mai badal dunga.... Please bachalo... Khoon bhahut jaa raha hai....
Sai: acha fine... Aniket...
Aniket and sai does the treatment....
During treatment leader fallen unconscious.... After he gained consiousness he went back along with the goons assuring the villagers that he will not repeat any such things... He apologized everyone....
After he left everyone thanked sai....
And appreciated her brave step.... They packed up for the day....
Sai and Aniket walked towards their rooms.... On the way Aniket was looking at her in shock....
Sai: dekh tu aisa ghur math... Okay?
Aniket: haa... Okay... Par mai kya kru yaar.... Tum mujhse shock pe shock de rahi ho....
Sai: kya shock dhi maine?
Aniket: tumne situation ko aise handle kardiye ki voh poora badal bhi gaya.... Aur tujhe dar nahi laga kya...
Sai: dar? Kis baath ki?
Aniket: agar use kuch hojatha tho... Tumhara doctor license katre mein pad saktha tha....
Sai: lekin usey kuch kaise hoga jab maine itna depth cut kiya hi nahi.... Tumne treat karthe vakth dekha nahi hai kya?
Aniket: mai itne shocked mein tha ki kuch process hi nahi kar pa raha tha ki actually ho kya raha hai....
Sai: hmm...
Aniket: tho usey tumne yahi kaha na ki tum mar jayega and all... Voh sab... Jhoot tha?
Sai: of course.... Usey bas dara rahi thi thaki voh inke point of view se dekh sakhe....
Aniket: tum itne sure kaise thi ki voh apne nazariya badlega?
Sai: sure nahi thi... Bas trial thi... Virat ne kaha tha ek baar ki voh apne kuch criminals se sach ugalvane keliye na aisa hi technique use karthe hai... Un criminals ko mauth ka dar dhilaya na tho voh sab sach batha dethe hai... Tho maine bhi vahi technique use kari... Uske mann mein itna dar bita diya ki voh jaldi mar jayega.... Aur tab jaake voh baathe samajhne laga na...
Jab thak voh kudh in villagers ke situation mein khada nahi hotha tab tak usey kuch samajh thodi na ayegaa....
Aniket: tum doctor hi ho na...? Itna plan bana diya...
Sai:ha doctor hi hu... Lekin saath mein police wali ki biwi bhi hu tho thoda Policegiri dhika dhi....
Aniket: Sai... You are just awesome....
Sai: bas bas... Hogaya.... Ab jau aur aaram karo...
Aniket: haa... Aur tum bhi rest karna... Take care...
They go to their respective rooms....
Sai calls to her family and speaks with them as if nothing happened....
After dinner she also spoke with virat and sairu....
.......
Just tried to write something different.... I don't know how is it... Please let me know through the comments....
आप पढ़ रहे हैं
Ghum hai ki pyaar mein❤️ part 2
FanficThis story is going to be the continuation of my story Ghum hai kisike pyaar mein ❤️...