Mohit can't come home during rakshabandhan as he has important scene shoots that day... This made sai a bit upset too... In the Morning preparations are all done... Devi and harini came to chauvan niwas... Pulkit couldn't attend as he has some important surgeries to attend...
Bhavani: Shuru kare?
Sai: nhi nahi kaku... Abhi nahi...
Bhavani: koyi aa raha hai kya..
Sai: haa kaku... Sandhya ne kaha voh ayegi...
Bhavani: ohh...
Ash: tho call karke pooch kaha thak aayi hai?
Sai: haa kar rahi hu aai...
She calls Sandhya... Sandhya lifts the call...
Sai: hello Sandhya... Kaha ho? Aur kitna time lagega?
Sandhya: bas tumhe darwaza kholne jitna time lagega...
Sai: ohh tum agayi...
Sandhya: haa ab door open karogi?
Sai: haa aayi...
She goes to open the door and finds Sandhya and milind.... Sandhya hugs her...
Sai: ayiye andhar....
Sonali: ab aarambh start shuru kare?
Sai: haa...
First comes the elders then the next generation and then the kids... Virat holds vedh while Saira ties rakhi to vedh... then to samar and Krish... Harini does the same...
While Sandhya goes to tie rakhi to virat and samrat, Ashwini takes vedh and sai stands beside milind and stares at him🤨 (in a corner)
(Convo in low tone)
Milind: aise kya ghoor rahi ho yaar...
Dar lagtha hai mujhe...
Sai: very funny...
Milind: okay... Ab batau baath kya hai..
Sai: voh tho tumhe bathana chahiye
Milind: mai? Kya?
Sai: yahi ki tere dil mein Sandhya keliye kya hai...
Milind:(stammering) d...dosthi hai... Aur ... Aur kya hi hoga...
Sai: achaaa... Tujhe sachme lag raha hai ki mujhe kuch patha nahi hoga
Milind: ooo... Tho virat sir ne sab kuch batha diya tumhe...
Sai: yes...
Milind: ofcourse
Sai: tabse baath karne ki soch rahi thi lekin ho nahi paya... ab batha... Kyu nahi bataya yeh baath mujhe... Mai dosth hu na... Virat sir ko bataya lekin mujhe nahi...
Milind: arre yaar.... Mai kisiko bathana chahtha bhi nahi tha voh tho end moment pe nikhal gaya muh se...
Sai: mmm... Ab?
Milind: kya
Sai: aage kya socha hai?
Milind: no idea... Filhal voh apna carrier aur us insaan se chutkara paane ke baare mein hi soch rahi hai... Aur mai bas support kar raha hu...
Sai: voh patha hai mujhe...
Milind: phir ... Aur kya janna hai?
Sai: yahi ki... tumhara kya? Tum wait karpauge? What if... Voh kabhi... Samajh rahe ho na?
Milind: uska dar tho bhohot pehle se hi hai mere dil mein... Yeh phase thak dekh chuka ki she is married and can't be mine... Abhi tho chotu sa ummedh jaga hai ... Dekthe hai aage kya hoga...
Sai starts thinking...
Milind: oh hello... Jyada socho math... Kuch nahi karogi tum... Jo ho raha hai hone dho...
Sai: arre par...
Milind: samajhtha hu ki dost keliye kuch karna chahti ho...
Sai: haa...
Milind: ek kaam kar sakti ho tum...
Sai:(excited)kyaa
Milind: kuch na karne ka kaam ...
Sai: tch... Vaha virat bhi yahi kehthe hai aur yaha tum bhi...
Milind: kuch baathe na...
Sai: haa haa patha hai... Vakth pe chodna chahiye... I know....
Milind: smart😂
Sai: teek hai mazak math udau...
Devi: Sai yaha aau... Gift nahi lena kya?
Sai: ofcourse lena hai tai...
Milind: haa haa jau aur loot lo...
Sai: chup kar...
She goes to her dada..
Samrat: huh... Is festival ka yahi problem hai...
Devi: chup chap de Samrat... Dialogue bhaazi nahi chalegi..
Virat: koyi aur option bhi tho nahi hai humare paas...
Virat and samrat looks at eachother winks and then smiles and look back to Devi...
Virat: bhabhi, Sandhya yeh tum dono keliye... (He gives them gifts)
Devi: aur hum?
Samrat: aapkeliye tho special hai na tai... Haath aage karo?
Devi forwards her hand...
Virat and samrat takes out their purse and places 101 rupees each on her hand...
Devi: yeh kya hai
Virat: thofa...
Devi: yeh... Aai dekho tho...
Bhavani: Virat samrat yeh kya hai bada... Har saal tho dethe ho thofa is saal yeh?
Virat: har saal choice hum par hothi thi kaku... Is baar tho humare haath mein itna lamba list pakda diya tai ne... Karishma bhi...
Samrat: aur sai bhi...
Sai: arree...
Samrat: isliye is baar yeh shagun ke 101 paise hi milenge... (Takes Sai's hand and places 101 rupees on her hand)
Virat takes karishma's hand and places 101rupees...
Karishma: yeh galat baath hai dada... Bhabhi bhi tho demand ki thi na...
Virat: ki thi lekin sirf ek... Tumhari tarah list nahi pakdayi mere haath mein...
Karishma: phir bhi...
Virat: extra acting keliye paise kaat dunga ...
Karishma: arree...
Ash: eyy godu... Samrat... Kaye... Kyu satha rahe ho...
Devi: bada mazaa aa raha hai na hume sathaane mein...
Virat: haa😅
Devi: 🤨teek hai... Aai kaki... Mai jaa rahi hu... Nahi aungi yaha...
Samrat: baapre... Itna gussaa tai .... Mazak kar rahe the tai... Gifts laaye hai na hum...
Virat: haa tai... Sorry na
Devi: pehle gifts de...
Virat and samrat give them their gifts ...
Devi: 🤭 ache bache...
Virat: gift milgayi tho chehre pe smile tho dekho... Wah...
Samrat: humara pockets khaali karvake kitna khushi milta hai na...
Sai: bhohot jyadaa... 😂
After seeing all these , seems like kids have some questions 😅
Samar: tai kya aap bhi aise hi gifts demand karoge...
Harini: nahi... Jo tum dono dhoge vahi mai aur sairu lenge...
Krish: phir teek hai...
Harini: ahaa... Itna jaldi khush nahi hothe mere pyaar brothers... Jab thak tum dono bade hoke earn karne na lag jau... Tab thak keliye jo tum dhoge voh lelungi...
Samar: phir?
Harini: uske baadh thoooo.... Mai aur sairu bhi tumhare pockets khaali karenge😂 hai na sairu?
Saira: haaa.... Mai bhohot saare gifts lungi....
Krish: aur sabme guns hi mangegi haina?
Saira: correct...
Everyone:😂😂
Krish: phir tho hume bade hona hi nahi hai...
Sonali: acha... Bas 15 varsh years saal ki baath hai... Phir tho tum na chahne pe bhi bade hojauge... Tab kya karoge?
Krish: mai na aapke abhushan jewellery haar bhech dunga... Tab tho bhohot paise milenge na...
Omkar: wah Krish... Kya masth idea hai... Mai bhi help karunga haa... dono milkar bhech denge
Krish: haa dhaadhu😂...
Sonali: tum dono ko kya pareshaani problem takleef hai meri jewellery se...
Krish: mujhe kuch nahi hai ... Dhaadhu ka mujhe patha nahi ...
Sonali looks at Omkar... 🤨
Ninad: lagtha hai koyi phas Gaye...
Omi: sonali .. mai bas mazak kar raha tha... Hahahaha.... Aur mujhe kya problem hogi batau....(low tone) vaise kubsurath tho tum ho hi lekin patha hai tum unhe pehanne par tho voh jewellery hi khubsurat ho jayenge...
Sonali:(blush)aww.. sachme omkar ji...
Omi: aur nahi tho kya...
Ninad: jhoot bholna chahiyee bachooo... Galat baath hotha hai... Samajh rahe ho...
Omkar: 🤨
Others: 🤭🤭
...........
After a while Sandhya and milind left...
During lunch... All gathered at the dining hall... Kids, Harini had their lunch and later the rest sat down... Harini took vedh so that sai can have lunch peacefully... With some random talks they finished off their lunch... And then they came to the hall and settled down on sofas... Sai takes vedh and puts him to sleep... She makes him sleep in kids room on Saira's bed and arranges pillows all around... Kids also go to the room as they have to finish off their homeworks so they said they will take care of him and call sai when vedh wakes up, so sai leaves to hall... In between some talks harini took their attention to say something
Harini: mujhe kuch kehna hai sabko ..
Devi: kya baath hai Harini... Kuch hua hai kya
Harini: mumma relax... Baath yeh hai ki... Mujhe Australia jaana hai...
Devi: kyaa?
Harini: Mumma... Ek course keliye Jana hoga... Ussey jyada faidha hoga...
Devi: 🖐️🤨 pulkit jaanthe hai?
Harini: haa... Papa ko kal raath hi batha diya aur.. maan bhi gaye... Aap nahi maanogi na itni asaani se isliye yaha..
Devi: ohh... Tho yaha sabko patha hai... Sivay mere...
Sai: bilkul nahi tai... Hume bhi abhi abhi patha chala...
Everyone: haa...
Harini: mumma... Sabko saath mein batha rahi hu na...
Devi: achaa... Papa ko kal raath bataya aur mumma ko nahi...
Bhavani: Deviii... Kya tum bhi... Ab batha tho diya na...
Devi: haa... (Looks at Harini) lekin tum nahi jaugi...
Harini: isiliye maine ghar pe nahi bataya... Yaha tho sab aapko samjhayenge... (Goes and hugs Bhavani) dhaadhi please aap hi batau na...
Bhavani: Devi... Pehle bhi tho gayi hai na padayi keliye...
Devi: haa par voh Delhi thi... Ab Australia ki baath kar rahi hai aai...
Samrat: haa tho kya hua tai...
Devi: arre... Har baar mujhe samjhana hotha hai kya aap sabko... Tab padayi keliye gayi thi ab kaam bhi kar rahi hai na... Acha us course se career mein aage badegi tho teek hai karo (harini 😁) lekin India mein kahi karo... (Harini 😐)
Virat: yeh kya baath hui...
Devi: tum sab tho rehne hi dho... Delhi mein tho tho dekhne jaathe the aur voh aathi thi beech mein... Ab Australia jayegi tho vahi pe settle hone ki plans banayegi baadh mein...
Harini: aisa bilkul nahi hai... Mai kyu vaha rahungi bhala... Mujhe mera desh pyara hai...
Devi: tho yahi karlo...
Harini: mumma yaar...
Devi: planning tho dekho... Chauvan niwas mein sab mumma ko manayenge harini ki har baath maanthe hai isliye yaha batha rahi hai...
Virat: Tai.... Maan jayiye na... Humara script writer Mohit bhi apne shoots pe gaya hua hai varna aapko manaane ka dusra option doond lete...
Samrat: haa tai... Mohit hotha tho humari acting skills se mana Lethe... Lekin ab kuch idea sooj bhi nahi raha... Harini ki bholi bhaali shakal tho dekho .... Jaane dho na usey...
Devi: kitne dramebaaz ho tum sab...
Sai: Tai... Jaldi maan jayiye varna yeh dono aur drama shuru karenge... Phir ek ek karke members add honge...
Harini: mummaa... Please na.. please please...
Devi: acha teek hai... Meri baath kaha sunne vaali ho .... Karo apni man ki... Par sabse pehle tho pulkit ko dekhlu..
Samrat: ouchh... Jiju gaye kaam se...
Virat: bechare humare jiju...
Devi: Haa... vahi bechare hai.... Jiju ke saalon....
Bhavani: Devi... Yeh kaise baathe kar rahi ho...
Ninad: vahini... Devi kya karegi bechari jab Bhai aise pareshan karenge tho...
Devi: vahi tho kaka... Theeno hi kitne badmash hogaye hai... Humesha pareshaan karna hotha hai inko .. yeh baath pe inke patniya bhi mujhse agree karengi... Hai na sai pakhi karishma?
Them: haa haa...
Virat: achaaa...
Harini: helloo.... Aap log apas mein shuru hogaye... Mujhe mera jawab tho clarity se dho...
Devi: ghar pe decide karlenge... Aapke papa ke saath...
Harini: arre abhi tho teek hai kaha na... Phir baath palat dhi mumma...
Bhavani: mai shayad samajh gayi ki devi tumhe is vakth dhoor kyu nahi bhejna chahti hai...
Others: kyu?
Bhavani: kyunki bas theen chaar saal ki baath hai uske baadh tho tumhe humesha keliye bidaai karna hoga na isliye ab voh tujhe kudh se dhoor karna nahi chahti...
Harini: kya matlab?
Devi: 😔yeh bhi vajah hai aur nahi bhi...
Karishma: aap harini ki shaadi ki baath kar rahi hai kaku?
Harini: Nooo... I'm just 22
Bhavani: haa abhi kaun karva raha hai... Theen chaar saal baadh hi tho kaha...
Harini: dhaadhi yaar... Mujhe lagtha tha ki aap aise shaadhi ki topic nahi layengi jaise mere friends ke saath hotha hai... Lekin aapne tho...
Mujhe nahi karni shaadhi... Aur agar phirse yeh topic lekar aaye na dhaadhi... Tho batha rahi hu ki ... Ki mai... Australia se vapas hi nahi aungi
Devi: patha tha... Yahi plan thi na shuru se...
Harini: mumma yaar... Mai tho bas flow mein bhol diya... Australia ko shaadhi ko connect math karo na..
Sai: haa Tai... Abhi bhohot time hai... Aap abhi se itna dhoor kyu soch rahe hai...
Ninad: sochenge hi na beta... Ek beti ke aai baba ke dimaag mein yeh baath hothi hi hai ki beti ki shaadi karni hogi ek din beti ki bidaayi karni hogi... Samay kaise beet jatha hai yeh thak patha nahi chalta... dekha tho beti badi hogayi hothi hai...
Omkar: Devi ki shaadhi bhi teek se nahi hopayi... Hum mein se koyi shaamil nahi tha... Tho humara Mann tho hoga na ki devi ki beti ki shaadi tho Dhoom dhaam se kare...
Sonali: haa na... Kitna Masti fun mazaa ayega... Third generation ka pehle vivah marriage shaadhi hogi...
Harini: aap tho aise baath kar rahe ho ki sachme theen chaar din baadh shaadhi karvane ki planning ho rahi hai...
Ash: theen char din nahi beta saal... Agar tumhe din teek lage tho...
Harini: Ashwini dhaadhi.... Aap bhi...
Ash: mazak kar rahi thi... Aur yeh bas baathe hai aur yaha koyi force karega hi nahi tumhe... Shaanth hojau....
Harini: tho Australia keliye haa hai na....
Devi: haa...
Harini: yayyy thq mummaa...
Devi: Par mai abhi bhi gussa hu tumse aur... Pulkit se bhi... Mujhe pehle nahi bataya...
Harini:(kneels down and holds her hands whereas devi sat on sofa) mumma... Sorry ki pehle nahi bataya... And love you ki aap maan tho gaye...
Devi: mmm... Lekin phir bhi ghar pe pulkit se tho baath karungi hi...
Harini: okay... Tho... Badi maami...
Pakhi: haa Harini...
Harini: raath keliye na please food pack karke dedena...
Pakhi: ohk... Par kyu?
Harini: voh Papa keliye... Kyunki dinner cut hoga unka... Hai na aai...
Devi: (pulls her ear) achaa... Phirse palat jau kya...
Harini: arre nahi nahi mumma... Please... Sorry...
Everyone 🤭😂
Just mohit calls karishma...
Karishma: mohit ka call agaya...
Sai: Finally...
Everyone talks with him and mohit is badly missing them... Devi Sai pakhi wished him... Everyone took turns to speak with them...
Meanwhile
Virat stands behind Harini and samrat on the other side...
Harini: kya hua maamu... Kuch kehna hai
Virat: haa...
Harini: kya..
Samrat: yahi ki tum Australia jaa rahi ho... Hume bhool tho nahi jauge?
Harini: humesha keliye thodi na jaa rahi hu... Bas ek saal ki course hoga..
Virat: kya patha vahi pe koyi mil jaye tho...
Harini: kuch bhi...
Samrat: ho tho sakta hai...
Harini: apne bhaanji ko chida rahe ho aap dono?
Virat: yasss.... Eklauti bhaanji jo ho...
Samrat: vaise vaha ladke kaise honge... Bhohot ghore honge kya?
Virat: arre nahi nahi... Sab tareeke ke honge... Ab kitne log jaathe hai padayi keliye kaam keliye alag alag places se...
Samrat: point... Harini... Jyada ghora choose math kardena... Aur lamba tho... Mere jitna ya shiva jitna bhi suit karega tujhe...
Virat: aur haa Indian choose karna...
North ya south koyi bhi chalega...
Samrat: haa haa chalega...
Harini: ek minute... Mai vaha ladke doodne nahi jaa rahi... Course karne jaa rahi hu... Upar se jo love story meri life mein hui uske baadh tho mujhe viswas bhi nahi hai ki mujhe aap jaise ache love story apne life mein honge bhi
Virat:( hits on her forehead) aise devdas type baathe tumhe bilkul suit nahi karenge princess... Aur voh Jo hua tha voh pyaar tho bilkul nahi tha..
Samrat: exactly... Aur humara hi example Lelo.. mera aur shiva ka pehli baar mein hi perfect story thodi na thi... Kuch problems hue phir jaake hume humare lifepartners mile na..
(While saying thi jeeva shiva looked at their life partners and smiled)
Harini looked at them and snapped her fingers...
Harini: apne wives ko ghoorna hogayi? Mmm... Phir bhi mai vaha course karne keliye hi jaa rahi hu...
Aur mere maama jaise kisiko nahi mil sakta jo apne bhanji ko chida rahe hai... Pyaar ke topic pe discussion kar rahe hai...
Virat: haha voh tho hai... We are special
Samrat: ofcourse... Padayi tho tum yu karlogi isliye thodi gyaan ki baathe kar rahe the...
Harini: acha acha.... Tho mumma ko batau maamu... Aapke lessons
Virat: arre aree nahi bilkul nahi...
Samrat: phasauge kya maamu ko...
Pakhi: Sam virat harini vaha kya khade ho yaha aau na... Shivani Maushi aur aai bhi call mein connect hogayi hai...
Samrat: haa aa rahe hai...
Virat: chalo chalo...
.....
I hope you like it and thanks for supporting and keep supporting and keep voting and drop your valuable comments too..
आप पढ़ रहे हैं
Ghum hai ki pyaar mein❤️ part 2
Fiksi PenggemarThis story is going to be the continuation of my story Ghum hai kisike pyaar mein ❤️...