~>~>~>~>~>~>~> 🤎
Waha Rishi kritika ke lap par apna sir rakhakar roya jaa raha tha or yahi dekhkar un log shocked reh gye, y/n ne turant smile kar liya unhe dekhkar kyuke uska bhai yaha tha or ro raha tha matlab use ehsaas to hua.
Rishi: kri-kritikia, i-im sorry....
Kritika: I shou-should be sorry, kyuke aapki behen ko maine bura kaha aapko bura tab hi laga na? Kaash me wo kehti hi nhi....aapko nhi maalum par kal aapki behen ka bhi accident hua tha, usne bataya nhi aapko tension me nhi daalne ke liye par ye sach hai...maine itna sab sunaya use par usne abhi tak mujhe ulta jawab nhi di ya indirectly meri insult nhi ki, ulta use hi sabse jyada khushi hui ke me yaha aai hu...wo hi thi jo mere saath thi hospital me bhi lejate wakt bhi yaha bhi, sirf wo hi mera khayal rakh rhi hai....wo bohot acchi hai bas use koi samjhta nhi....
Rishi: samjhana use bhi mushkil hai or mujhe bhi, hum dono ek jaise hai.... I'm sorry ke maine t-tumhare upar haath uthaya...tum mujhe maarlo uske badle!!! Maaro...
Wo uske haatho se apne aap ko slaps maarta hai, par kritika apna haath piche kar leti hai.
Kritika: nhi, me apne pati ko kabhi maar nhi sakti....aap hi to hai jisne itne mahine mera sabse zyada khayal rakha...me aapki insult nhi kar sakti aapko yu maarkar or apna badla lekar, pehli baat mujhe aapse koi badla nhi Lena me gussa nhi hu aapse, me to bas chahti hu ke aap-ke aap bas mere saath rahiye or acche se rahiye pehle jaise, or agar aapko mujhe maaf nhi karna to mat kijiye par Im-im really sorry.... really sorry...
Kritika rone lagti hai or Rishi just use hug karta hai, ishaan yaha y/n or Tahir ko dekhta hai blank face se jo apne aansu poch rhe the kyuke unhe dukh hua tha sabse zyada jab Rishi or kritika ek dusre se dur huye the. Wo just simply annoying face banakar darwaza khol deta hai pura or andar bhaag jata hai.
Ishaan: small sister!!!
Wo kritika ki beti ke paas bhaagta hai jo soi hui hoti hai, wo dono hi use dekhte hai or y/n or Tahir waha se bhaag jate hai , I mean chup jaate hai.
Kritika: u-um....Ishu? Tum? Mumma papa kaha hai tum kiske saath aaye ho??
Ishaan: mami, me mumma papa ke saath hi Aya hu wo log yahi----- ek minute yahi to the kaha gye!!?
Wo dekhne lagta hai darwaze ke taraf along with kritika or Rishi, tabhi ishaan bahar aakar dekhta hai tahir or y/n ko jo wall ke sahare kamre ke aaju baaju chupe the wo use chup rehne ka ishara kar rhe the par ishaan to ishaan tha, wo zor se chillata hai.
Ishaan: MUMMA!!! PAPA!! CHALIYE ANDAR!!! khade kyu hai yaha??
Y/n apne hi sir ko Peet ti hai or tahir just awkwardly smile karta hai, ishaan un dono ka haath pakad kar unhe kamre ke andar kheechkar lata hai or Rishi unse puchta hai.
Rishi: tum dono hamari baate sub rhe the chup chup kar? Isn't it?
Y/n: wo-hum wo-hum...h-hum wo...
Kritika: is tarah kisi ki baate sunkar accha nhi hai bhabhi...
आप पढ़ रहे हैं
𝑲𝑨𝑺𝑨𝑴 - [𝐤𝐭𝐡𝐟𝐟+𝐒2] ✔
Fanfiction"Kasam khaati hu ke kabhi wapis kadam nhi rakhungi is ghar me, na mujhe chehra dekhna hai kisika, khaas kar tumhara Tahir Singhania.!!!!" "Tum mera chehra dekhna chaho ya nhi ye to wakt hi Tey karega, or tumhe me is ghar me to nhi lekin is desh me w...