Chapter 1

458 42 36
                                    

"Humaima beta tum jo kerne ja rahi ho woh gunha hai, tumhari poori zindagi gunha ban ker guzre ge." Ammi ke alfaz meri rooh per pathar ki tarha lag rhay thay. Kash mein tab unki baat sunleti.

"Tum kin sochon mein gum ho?" David kamray mein achuka tha.

"Kuch nahi bus aisay hi." Mainay usse talnay ki koshish ki. David mujhse bohot pyaar kerta tha, Kash woh musalmaan hota aur mein kabhi apni family se door na hoti. Kabhi yeh gunah kerne per majboor na hoti.

"Tumhe kyun samjh nahi ata ke tumharay har waqt pereshan rehne se hamaray anay walay baby ki health per asar perta hoga." Mein 6 months pregnant thi.

***

"Aapi! Kya ek musalman mard ko ijazat hai ke woh kisi gair muslim aurat se shadi keray?" Aapi ne mujhe herrani se dekha.

"Haan ijazat hai, agar woh aurat ihl e kitaab ho tw."

"Tw kya musalman aurat ko bhi ijazat hai ke woh ek gair muslim se shadi kerle, agar woh larka ihl e kitab ho tw?"

"Nahi aurat ko ijazat nhi hai."

"Kyun nahi hai? Yeh tw ghalt hai. Hamaray mazhab mein saray rights sirf mardon ko diye jatay hain. Aurat tw bus unke paon ki juti hoti hai." Aapi ne mujhe herani se dekha aur thora sa ruk ker unhone mujhe samjhanay ki koshish ki.

"Dekho Humaima! Tum ghalat bat ker rhi ho, baat rights ki nahi. Acha tum hi btao ke kya ek musalman aurat ko yeh gawaara hosakta hai ke uske bachay kisi dosray mazhab ke hoon?"

"Nahi."

"Bachay wohi mazhab follow kerte hain jo unke baap ka hota hai. Ek musalman mard agar chahay tw woh apnay bachoon ko muslaman bana sakta hai. Lekin ek aurat chah ker bhi apne bachoon ko muslim pehchan nahi dilasakti agar uska shohar muslim na ho."

"Mrs David! You're next." Mein achanak se pukare janay per chonk gayi. Yeh mein kya kernay ja rahi hoon, mein itna bara gunha tw already ker hi chuki hoon. Ab agar mein apne bachay ko musalman nahi bna saki tw mein Khuda ke agay kitni bari mujrim hojaon ge. Ya Allah! please meri madad ker."

"How are you doing Humaima?" Dr. Katherine ne mujhse pocha.

"I want to abort this baby." Mainay ne bina sochay samjhay yeh boldiya. Mein apne bachay ka qatal kerne ja rahi thi. Lekin agar yeh bacha is duniya mein ajata tw mujhse isse bhi bara gunha hojata.

"I am sorry Humaima! But it's too late now."

"What do you mean?"

"You are in your 6th month, you should have decided this before. And at this stage if you'll abort your baby, you will also risk your life."

"I don't care about my life. I just don't want this baby."

"I am sorry but I can't help you. All I can do for you is that I will no tell Mr. David anything."

Yeh tw mainay socha hi nahi tha ke David is sab per kaisay react kerta.

"Thankyou Doctor." Mein uth ker janay lagi tw Doctor mujhe bataya.

"Btw it's a girl."

How's the chapter people?????

I need your support in writing this novel.

Please Vote, Comment and ask your friends to read it as well.

I promise you that this novel is going to touch your heart :)

First Published: June 3, 2017

Khuda Rooh aur Khuwaish Where stories live. Discover now