"Urosa Maima tw mujhse baat hi nhi ker rahi. Mein usse btana chahti hoon David ke baray mein."
"Enough of this David drama now." Mein ne bola.
"Humaima tum yahan?" Urosa ne mujhe achanak wahan dekh ker kaha.
"Bohot hogaya David David. Masla kya hai tumhara Rida? Agar usne move on kerliya hai tw tumhara kya ja raha hai? Aur kab tak woh mera ghum manaye ga?"
"Humaima jisne tumharay saath itna bura kiya tum uski side kyun le rahi ho?" Rida ne chilatay hoye kaha.
"Kya kiya hai usne? Btao mujhe kya bura kiya hai usne?" kuch bhi tw nahi kiya tha David ne. Saara qasoor hi mera tha.
"Rida Humaima calm down! Baad mein baat kerte hain. Rida tum apne kamre mein jao aur Maima tum mere saath ao."Apno ki saazishon ne cheer diya seena
Bas kaafi jee liya hai
Aur nahi jeena.
Ab main kisi kaabil nahi
Kahin se kuch hasil nahi.Mein Urosa ke saath uske kamray mein chali gayi.
"Dekho Humaima! Agar Rida ki baat mein sachayi hai bhi tw tumhe farq nhi perhna chahiye."
"You are right! Mujhe farq nahi perna chahiye. Lekin mein soch rahi thi ke David ne ek baar bhi mujhse contact kerne ki koshish nahi ki. Ek dafa apni beti ke baray mein nhi pocha. Mujhe aisa lag raha hai ke David shyd phele se hi Atarah se contact mein tha."
"Maimaa? Aisa kaisay soch sakti ho? Acha meri jaan agar aisa hai bhi tw ab is baray mein mat socho. Tumhari Quran classes kabse start hain?"
"Abhi coming monday se bachay ana start hojayein gay InshaAllah."
"InshaAllah"Tu jahan hai dil yeh tere pass hota hai mera.
Mere dil ko bhi nhi ehsas hota hai mera.
Tu nhi tw mein nhi hoon, mein nhi tw hum nahi.
Ek bus tu hi nahi hai aur koi ghum nahi.Rida's POV
Humaima madam. Samjhti kya ho khud ko? Har jagha drama queen banjati ho. Tumne jo kuch mere saath kiya tha na. Khair thank you David. Thankyou so much! Tumne mujhe woh picture khenchne ka moqa diya.Mera phone bajne laga. Itni raat mein kon hosakta hai?
"Hello?"
"Hey Rida! Its me Atarah!"*A/N: Assalam O Aliakum!!!
Hows the chapter people?Rida ko kya hogaya hai? And why Atarah called Rida?
If you like the chapter please press the star. And please leave you comments.
Jazak Allah!
Stay blessed!
YOU ARE READING
Khuda Rooh aur Khuwaish
SpiritualWINNER OF THE DESI AWARDS 17 ALHUMDULLILAH June 2017 to February 2018 . "Itna bharosa hai tumhe usper? itni mohobat hai usse? Tum kyun sab kuch qurbaan kerdena chahti ho uskeliye?" Surprisingly Baba was not mad at me. woh pereshan thay. "I am sorr...