Chapter 26

126 27 25
                                    

"Dehleez pe mere dil ke jo rakhain hain tunay qadam" David was so happy. Sach kahoon tw mein bhi bohot khush thi. Hum dono sab kuch peeche chor ker agaye thay, magar ek dosray ko paalenay ki khushi hi hamaray liye kafi thi.

Maazi ki in yadoon mein khoyi hoi thi mein jab, Waleed kamray mein daakhil hoye.
Mein kaafi had tak uncomfortable feel ker rahi thi, jab unhone mera haath thamnay ke liye apna haath berhaya. Per phir achanak se unhone apna haath peeche kerliya.
"Mein tumhari jaisi na pak larki ko haath bhi nhi lagana chahta."

"Phir apnay mujhse Nikah kyun kiya?"
"Kyunke mere ghar wale aisa chahte thay!"
"Apki bhi tw phele ek shadi hoyi thi."
"Shadi ki thi mainay, zina nahi."
Woh yeh keh ker kamray se chalay gaye.

Kis baat ka ghusa hai tumhe Humaima? Kis baat ka? Jo kuch bhi Waleed ne kaha woh bilkul sach hai. Tumne kiya tha zina. Ek baar nahi baar baar kiya tha.

Mein wuzu kerke ja ker jaanemaaz per beth gayi. Ya mere Allah! Mujhe maaf farmade. Tere bande tw Mujhe kabhi bhi maaf nahi kerain gay. Per tu tw mujhe maaf kerde. Mere dil ko sakoon dede. Mujhe btade ke tunay mujhe maaf kerdiya hai.

Mein bistar per ja ker lait gayi. Aur Astaghfaar ki tasbeeh perhnay lagi.

لَّا إِلَهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ

(There is no God but You; Glory be to You, Truly I have been one of the wrongdoers)
[Surah al-Anbiyah, 21: 87]

Jab subah meri ankh khuli tw Waleed mere sarhanay bed per hi lete hoye thay. Na janay yeh kis waqt ayein hongay?

"Mujhe maaf kerdo Humaima! Mujhe tumse aise baat nhi kerni chahiye thi."
"Lekin apne kuch ghalat tw nhi kaha." Mein janti thi ke unse kisi bhi qism ke shikwe ka koi faida nahi
"Mainay ghalat kaha tha. Tum janti ho, meri pheli biwi mari nhi thi. Mainay usse chor diya, aur usse uski bachi cheenli."
"Lekin aapi ne tw-"
"Unhe khud kuch nahi pata. Mainay Atarah se shadi ki, jab woh pregnant thi tab usse akela chordiya. Aur jab woh maa ban gayi tw usse bacha cheen liya. Mein tumharay qhareeb isliye nahi askta kyunke mein aaj bhi ushi se mohobat kerta hoon."
"Per apnay usse chora hi kyun?"
"Ushi wajhay se, jis wajhay se tumne David ko chora tha."
"Per aap tw ek mard hain, aur ek mard tw ihl e kitaab se shadi kersakta hai!"
"Humaima! Shadi tw kersakta hai magar uski biwi kabhi bhi apni aulaad ko islam nhi sikhasakti. Mein nhi chahta jo gunah mainay kiye woh meri beti keray."

3 weeks later....

Itna waqt hogaya shadi ko, aur hamaray beech sab waisa hi hai. Shadi kerke bhi mujhe koi sakoon nhi mila tha. Woh mujhe apni beti se bhi dour rakhtay thay.

"Ap mujhe iske qhareeb kyun nahi anay dete?"
"Mein nahi chahta ke isse tumhari adat hojaye."

Aaj mein unke saath mall jarahi hoon. Ek lambay arsay ke baad mein ghar se bahar nikloon gi.

"Atarah tum?" Mainay achanak usko apnay samnay dekh ker hairangi ka izhaar kiya.
"Tum David ki ex-wife ho na?"
Oh tw yeh mujhe pehchanti hai!
"Haan! Aur tum uski dost Atarah?"
"Uski dost tw ab bhi hoon, magar ab Atarah nhi."
"Kya matlab?"
"Mainay Islam qabool kerliya hai. Mera naam Aaira hai."

Itnay mein Waleed mujhe dhontay hoye neri taraf aye.
"Atarah?" Unhone ne jaisay hi uska naam liya, woh wahan se chali gayi.
"Tum isse kaisay janti ho?"
"Yeh mere ex-husband ki dost hai! Per aap isse?.... Yeh apki ex-wife hai?"
"Yeh abhi bhi meri biwi hai!"
"Lekin iske husband ka naam tw Farhan nahi tha." Mujhe achi tarah yaad tha Farasha ne Farhan hi btaya tha.
"Waleed Farhan Shah! Waleed Farhan Shah nam hai mera! Magar documents per sirf Waleed Shah hi likha hai."

Arey haan aapi ke dewar ka naam tw Farhan hi tha. Ya Allah! Mujhe kya hota ja raha hai? Mein sab kuch bhool gayi hoon. Mein itnay arsay se apni pereshaniyoon mein itni masroof thi ke kisi ke baray mein kuch sochnay ka waqt hi nahi mila.

Agar Atarah ab bhi Waleed ki biwi hai, tw kya mujhe unhe btadena chahiye ke usne Islam qabool kerliya hai. Lekin agar mainay unhe btadiya tw woh mujhe chor dein gay. Mein apnay maa baap ko kya moo dikhaongi?

*A/N:
Assalam O Aliakum!!!
Kaisay hain aap sab?

InshaAllah next update would be up early!!

Yeh btayein chapter kaisa hai?

Humaima ko kya kerna chahiye? Waleed ko btadena chahiye Atarah ke baray mein ya nahi?

Advance mein Happy New Year 🎉 🎉 🎉

Khuda Rooh aur Khuwaish Where stories live. Discover now