Chapter 4

232 40 39
                                    

*Thankyou people!!!
I am so happy that my novel is #1 in Spiritual**

David's POV
"Urosa mein David se bohot pyaar kerti hoon. Lekin ab mein uske saath ab reh nhi sakti."

Kyun Humaima tum kyun nahi rehna chahti mere saath? Aisa kya hogaya? Mazhab ka farq tw hum me phele bhi tha na.

"Mein nhi chahti ke meri beti ghair muslim ho. Mein usse ek achi musalman banana chahti hoon."

Mein tumhe apni beti kaisay desakta hoon. Mein bhi tw chahta hoon ke woh Christian ho. Nahi Urosa mein tumhe usse musalman nhi bananay doon ga. Agar woh Christian hogaye tw mein wapis apne parents se contact rakh sakta hoon.

Yeh sab sochte hoye jab mein ghar ke darwaze ki taraf berha tw woh khula hoa tha. Humaima tw kabhi bhi aisa nhi kerti. Ghar mein dakhil honay ke bad mainay Humaima ko bohot awaazain di. Shyd woh so gyi thi. Mein fridge ki taraf berha pani lenay ke liye, tab meri nazar ek letter per perhi.

David,
   Janti hoon ke yeh tumharay liye asaan nhi hoga. Lekin please mujhe maaf kerdo. Mein tumse talaq nhi mangoon ge. Kyunke mere mazhab mein is shadi ki koi hasiyat hi nhi. Mein tumse mohobat kerti thi, aur hamesha kerti rahoon gi. Magar ab yeh mere liye asaan nhi. Mein mazeed ek gunha ki zindagi nhi guzarna chahti. Mein is bachi ko phele hi duniya mein nhi lana chahti tho. Lekin ab jab mein aisa nhi kersaki tw mein isse leker bohot door ja rhi hoon. David mujhse kabhi kisi qism ka taluq rakhne ki koshish na kerna. Mujhe ya apni beti ko kabhi mat dhonda. Hosakay tw mujhe maaf kerdena. Aur please apna khayal rakhna. Tumhe bukhar hai please apni dawa lelena. Meri ghaltiyon ki saza tum khud ko na dena. Shadi kerlena aur hamesha khush rehna. Please David agar tumne kabhi bhi mujhse mohobat ki hai, tw mujhe maaf kerdena.
                         ~Humaima

Itna asaan haina sab kuch bhula dena jaisay? Mein tumse nafrat nhi kerta. Aur ker bhi nhi sakta. Meri beti ko kam se kam mujhe dikha hi deti Humaima. Please jahan bhi raho hifazat se raho. Kabhi koi bhi cheez tumhe nuqhsan na pohchaye. I love you Humaima. Meri zindagi tumharay baghair na mukamal hai.

*A/N
Assalam O Alaikum
Guysss I am actually crying. Humaima and David really love each other. But couples like them are probably not meant to be together.

Zarori tw nhi jeene ke liye koi sahara ho
Zarori tw nhi hum jin ke hoon woh hamaray hon
Kuch kashtiyaan doob bhi jati hain
Zarori tw nhi ke har kashti ka kinara ho.**

Khuda Rooh aur Khuwaish Where stories live. Discover now