Chapter 19

133 34 30
                                    

Thank you so much for 1K reads ❤❤❤❤❤

Thank you so much for 1K reads ❤❤❤❤❤

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Happy Reading!!!

Kal meri Jannat ki first birthday thi. Mein Urosa, Rida aur Farasha ke saath mall gayi thi.

Kya kya socha tha mainay aur David ne apni beti ke liye. Khair Allah usse khush rakhay Atarah ke saath.

Mein sonay ki koshish ker rahi thi. Lekin nend thi ke anay ka nam hi nahi le rahi thi. Dil ker raha tha ke saari yadoon ko zeher de ker maardoon.
Mere maa baap ne aisa kyun kiya mere saath? Jab woh sab jaan hi gaye thay tw mujhe kisi bhi tarha rok lete. Mujhe kamray mein band kerdete. Phone tordete. Kuch bhi kerte per mujhe kisi bhi tarha rook lete. Mujhe ek baar bhi dhondnay ki koshish nahi ki. Mein itna bara gunah kerti rahi aur mere maa baap ne honay diya. Kyun Allah? Duniya ke samnay tw mar hi diya tha, apne liye tw zinda rakhtay. Ap loag tw bhool hi gaye mujhe. Kabhi mujhe talash kerne ki koshish nahi ki.

David's POV
"Kya haal banaya hoa hai yaar tunay apna?" Zaid ne meri taraf atay hoye kaha.
"Kal mainay Humaima ko dekha---"
"Tw kya?" Usne meri baat kat tay hoye kaha.
"Meri beti ki first birthday celebrate ker rhi thi woh. Aur mainay... Mainay apni beti ko abhi tak dekha bhi nahi. Usse goud mein nhi uthaya. Usse mehsos nahi kiya. Yeh sab Humaima ne kyun kiya mere saath. Jab shadi ki thi tab kahan gaya tha uska Islam?"
"Kitna samjhaya tha tum dono ko. Lekin us waqt tw mohobat sar charh ker bol rahi thi. David ab tum hi btao kya hosakta hai."
"Pata nae." Yeh kehte hoye mere ansoon girne lagay.
"Kin sochon mein gum ho tum Zaid?"
"Soch raha tha ke kitna tabdeel hogaya hai na tu. Tum woh David ho hi nahi jisse mein bachpan se janta tha."
"Waqt insan ko bohot kuch sikha deta hai .... Arey Zaid tum Farasha se kaho na ke woh Humaima ko samjhaye ke woh mujhe ek baar meri beti dekhne de."
"Abay tu bhool gaya ke Humaima aur Farasha ki tw dosti khatam hogayi thi na tum logon ki shadi per."
"Haan woh tw hogayi thi. Per kal jab mainay Humaima ko dekha tha tw Farasha uske saath hi thi."
"Ab tujhe kya btao mein!" He sighed. "Everything is over between me and Farasha."
"Kya matlab? You were madly in love with her. Farasha never confessed it lekin pora college janta tha that she loves you."
"You know me na yaar .... Flirty fitrat honay ne marwa diya. Aaira yaad hai?"
"Haan woh jo tumharay peeche peri hoi thi." Mainay hanstay hoye kaha.
"Haan wohi! Tw hoa yeh ke jin students ko scholarship mili thi US ki, un mein woh bhi thi. She was with me in Engineering university. University mein prom tha, I wanted to ask Farasha to go with me per Farasha apne cousin ki shadi ke liye Chicago gayi hoi thi. I went there with Aaira --"
"Kya? Abay tu pagal hai?" Mainay usse kat te hoye kaha.
"Agay tw suno. Phir wahan se kisi tarha Farasha tak pictures pohonch gayi. Aur woh yeh samjh bethi ke mere Aaira ke saath kuch chal raha hai."
"Oh.. Waisay qasoor sara tera hi hai."
"Pata hai bhai... Tum aur hatalo."
We both laughed.
End of David's POV

Assalam O Alikum everyone!
Hows the chapter? Share your views with me 😇
Aur kya bolna tha? Haan! The story is going to take a twist. Stay Tuned!
Keep Reading.
Please press the star for me 😇😇😍

Khuda Rooh aur Khuwaish Where stories live. Discover now