Chapter 23

132 28 14
                                    

Rida's POV
Wowww Maima! Tumhari wajhay se aaj mujhe dar badar hona pera. Abay yaarrr! Mein tw yahan kisi ko janti bhi nahi hoon.

Mein park mein bethi subha ke intezar ker rhi thi. Na janay kab meri waheen ankh lag gayi.
"Hello Madam!" Zaid ke uthanay per mein nend sw jagi.
"Oh! Tw yeh khuwab nahi tha!" I sighed.
"Tum yahan kya ker rhi ho?" Usne pareshan hoye andaz mein pocha.
"Landlord ne 1 mahine phele ghar khali kerne ka notice diya tha, aur mainay dekhne ki zehmat hi nhi ki. Tw bus ab mein yahan hoon."
"Ab kya kero gi?"
"Jo Allah ki raza!" Mainay muskuratay hoye kaha.

"Acha madam, aise udaas na ho! Jab tak tumhe rehne ke liye koi safe jagha nhi miljati tum mere apartment mein reh sakti ho."
"Tumharay ghar?" Mainay hairangi se pocha.
"Arey don't take me wrong. Mein apne dost ke pass reh loon ga jab tak."
"Are you sure?"
"Arey haan! Chalo utho. Saman uthao apna." Mein 2 second tak uski shkl dekhti rahi. "Acha chalo mein hi uthaleta hoon. Chaliye!"

Mein uske saath chal peri. Koi aur option jo nahi tha mere pass. Waisay yeh Mr. Kharos itne naik kaisay hogaye hain? Hairat hai!

End of Rida's POV

"Itne arsay tumne apne parents ko ghalat samjha. Aur sara qasoor Rida ka tha." Farasha ne kaha. Mujhse zyada tw usse ghussa tha Rida per. Woh kuch pareshan si lag rahi thi.

"Farasha? Tum pareshan ho?"
"Yaaar Maima!" Woh mere galay lag ker ronay lagi.

"Farasha!"
"Zaid! Usne mere ghar rishta bhijwaya hai."
"Hain? Per kaisay?"
"Yar mein abhi jab Karachi gayi thi, tw uske parents leker aye thay rishta. Aur mumma baba ne haan bhi kerdi."
"Farasha, tw isme ronay ki kya baat hai? Tumhe tw mohobat miljaye gi tumhari."
"Woh wafa nibhana nahi janta."

Farasha usse mohobat tw kerti thi, per Zaid ne usse mayus kerdiya tha. Mein pichle 3 saloon mein Zaid se ek dafa bhi nahi mili thi. Per yeh zaroor janti hoon ke woh aaj bhi Mohobat kerta hoga Farasha se.

"Farasha! Mainay Islam ka bohot khayal tw nahi kiya. Per ek mashwara dena chahti hoon tumhe."
"Haan kaho!"
"Tum aisa kero ke istighara kerlo!"
"Istiqhara?"
"Khuda ki marzi maloom kerlo. Agar Zaid tumharay haq mein behter hoga tw Allah tumhe mashwara dede ga."

"Mujhe dar lag raha hai Maima. Mera dil nahi man raha uske liye."

"Daro mat! Ek baar Khuda ki raza jaan lo. Waisay bhi Khuda us hi baat per azmata hai jis bat per dil kanp jata hai."

Woh chup thi.

"Farasha! Tum mohobat tw kerti ho na usse? Tw phir kya masla hai? Allah ka naam lo aur haan kerdo."
"Mein istiqhara zaroor keroon gi ek baar."

Chalo manzil sy phele hum
Yeh rusta mor jatay hain
Ke jin ko dil main rakhty hainn
Wohi dil tor jatay hain

A/N: Assalam O Aliakum 😍
Rida ke saath kya hona chahiye?
Farasha ko kya kerna chhaiye?
And what about David? Uska Point of View chahiye kisi ko?

Khuda Rooh aur Khuwaish Where stories live. Discover now