Chapter 8

195 36 31
                                    

*A/N: Thankyou so much girligirl2000 for this edit. This really means a lot to me.*

Aaj mein yahan se bhi dar badar hojaon gi. Agar Aswad Rida se baat ker bhi le tw bhi kya mein Rida ko face kersakoon gi? Mere Khuda mein keron tw kya keron?

Urosa mere kamray mein daakhil hoi tw mainay apne ansoon pochne ki koshish ki. Lekin usne dekhliye.
"Bus kerde Humaima. Kitna roye gi?"
"Rona tw ab meri qismat mein likhdiya hai."
"Kya hogaya hai Humaima? Kyun aisa soch rhi ho tum?" Urosa ki awaaz mein mere liye pareshani thi.
"Pta hai Urosa meri dadi kehti theen ke aurat mein sabse zyada haseen cheez uski haya hoti hai. Aur mein tw apni haya hi bhool gayi."
"Humaima yaar aise na bolo--"
"Sab kuch kho diya mainay, khali haath reh gayi hoon mein, kuch bhi tw nahi bacha aaj mere pass."
"Sab kuch kho dene ke baad biu agar tum mein hosla baqi hai tw samjh lo ke abhi tak tumne kuch nahi khoya."

Urosa agar tum na hoti tw mein tw mar hi jati.
(A/N: MariamArif5 agar tum na hoti tw mein tw mar hi jati ❤❤❤)

Jannat ke sojanay ke baad mainay namaz perhi aur Quraan perhne beth gayi. Ab ki baar mein Quraan turjumay ke saath perhna chahti thi.
'Woh tamaam log jo is zameen per hain fana ho jayein gay' [Surah Al-Rahman:26]

"Tum roo kyun rhi ho?" Urosa mere sarhane khari thi. Mere ansoon besaqta Quraan e Pak per gir rhay thay.
"Duniya ki har cheez ne tw ek din fana hojana hai, tw phir hum insan duniya mein Janat hasil kerne ke peeche akhirat mein apne liye Jahanum kyun khareedlete hain?"
"Mainay tumhe kitni dafa samjhaya hai ke tum agar sachay dil se maafi mango gi tw Khuda tum ko maaf kerde ga."
"Lekin mujhe kaisay pta chalay ga ke Khuda ne mujhe maaf kerdiya hai?" Mein yeh bol ker phir ronay lagi.
"Jab tumharay dil ko sakoon miljaye ga."
"Aur mere dil ko sakoon kab mile ga?"
"Uff Allah! Humaima tum kitna bolti ho yaar! Hamaray college ki wahid larki thi tum jisko 'Best Smile' ka title mila tha. Aur aaj dekho khud ko ansoon ki tanki ban gayi ho."
Uski is baat se mere chehre per halki si muskurahat ayi. Yaqeenan usne yeh ishi irade se bola hoga.

*A/N: Assalam O Aliakum everyone!!

I would like to dedicate this chapter to MariamArif5
Do you guys like Urosa? Yes Mariam is Urosa to me ❤❤❤

Sorry for a short chapter. InshAllah next update would be long and more creative. Guys please pray for my Chemistry exam on 27th July 2017.

And I can't thankyou guys enough for keeping my novel still number 1 in Spiritual. Lol kya sab ne likhna chor diya hai kya? 😂

 Lol kya sab ne likhna chor diya hai kya? 😂

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Khuda Rooh aur Khuwaish Where stories live. Discover now