Chapter 10

157 32 15
                                    

*Assalam O Aliakum!!!
I am on cloud nine. Thankyou so much for keeping my novel still number 1 in Spiritual. Its been more than a month Alhumdullilah.
And please check out the video. I love their couple so much ❤❤❤
Paal mera ruk sa gaya
Waqt mera thum sa gaya 😍

Aaj jana hai mainay ke khamoshi kya hoti hai. Pichle 2 din se mein Aswad ke ek dost ke flat mein pari hoi hoon. Aaj jab mein yahan lachar haal mein pari hoi hoon tw samjh araha hai ke ek aurat ki zindagi mein mard ki kya ehmiyat hoti hai, chahay woh koi bhi ho uska baap bhai beta ya shohar. David se shadi kerne kr chakar mein mainay apni perhayi bhi khatam nhi ki thi, aj mujhe koi achi job bhi nhi milsakti. Na janay mein apni betu ko ek acha future kaisay doon gi.

"Humaima tum kam as kam apni degree tw mukamal kerlo. Yaar mein bhi tw perg raha hoon."
Kash tab mein David ki yeh baat manleti tw aaj mein is haal mein na hoti.

Mein apne pachtawoon mein gum thi jab darwazay per dasktak hoi. Ya Allah! Itni subha kon hosakta hai? Mainay ek nazar Jannat per dali, woh pursakoon so rahi thi. Mein dheeme khadmoon ke sath darwazay tak gayi. Jab mainay darwaza khola tw wahan Aswad aur Urosa ke saath Rida bhi khari thi. Mera dil ker raha tha ke mein bus usse galay laga loon.

"Darwazay se tw hato." Aswad ne kaha tw mein apni duniya se haqiqi duniya mein wapis agayi.
Rida ne ghar mein daakhil hotay hi pocha, "Jannat kahan hai?"
"Mein usse utha ker lati hoon."
"Agar so rahi hai tw mujhe uske pass lajao."
"Haan...haan ao."
"Acha Humaima hum chaltay hain abhi, tum apna samaan uthalo yahan se phir hum tum 3no ko pick kerlein gay." Urosa aur Aswad wahan se chalay gaye. Ab wahan sirf mein, Rida, aur hamari khamoshi thi. Rida wahan khari hoi sirf Jannat ko hi dekh rhi thi, uski ankhoon mein ansoon thay.
"Tumharay Nikah kerne ke baad Baba ko pata chal gaya tha," usne khanoshi tori, "aur kyunke woh tumhe rok nahi saktay thay, isliye unhonay sab se keh diya ke tum higher studies ke liye US jarahi ho. Aur jab tum ghar se bhaag gayi, tw thorr arse baad mein baba aur ammi Dubia chalay gaye. Aur wahan se wapis aker baba ne sabse yeh kehdiya ke tumhari ke car accident mein death hogayi hai." Yeh sab kehte hoye Rida ki ankhoon mein ansoon thay. Aur yeh sun ker mein heeran thi. Agar baba sab jante thay tw unhone mujhe roka kyun nahi.
"Woh mujhe rok bhi tw saktay thay, 2 chammat marte, ghar mein khaid kerdete. Ya sach mein hi mardete. Lekin yeh gunah tw na kerne dete."
Rida ki ankhoon mein ansoon thay. Woh zaar o qatar roo rahi rhi.
"Humaima baba toot gaye hain, please wapis ajao. Woh tumhari Jannat ko dekh ker tumhe maaf kerdein gay."
"Mein wapis nahi jasakti. Mein margayi hoon duniya ke samnay. Mein wapis ja ker apne maa baap ki izzat daghdar nahi keroon gi. Please mujhe bus ek dafa unse milwado. Please bus ek dafa."

"Yeh baat tum zehan nasheen kerlo ke agar ab woh tumhe dhake marke bhi nikalay ga tw mere ghar mat ana

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Yeh baat tum zehan nasheen kerlo ke agar ab woh tumhe dhake marke bhi nikalay ga tw mere ghar mat ana."
Baba ne shadeed ghusse mein kaha tha. Lekin us waqt mein sar per sirf David sawar tha, aur yeh aitmad tha ke woh kabhi mujhe dhoka nahi dega, jo sach bhi hai. Lekin mein kahan janti thi ke mein yeh sab realize kerloon gi aur usse chordoon gi.
"Mein marna prefer keroon gi lekin ap logon ki shkl kabhi nhi dekhoon gi."
"Tum marnay hi tw ja rahi ho." Baba ne bari mayusi se kaha tha.

Khuda Rooh aur Khuwaish Where stories live. Discover now