David's POV
"Yeh tujhe meri yaad kahan se agayi?" Mainay Zaid se tanziyan andaz mein pocha.
"Bhaiiii! Bakwas na ker!" Usne bag utha ker bed per rakha. "Mein chund din ke liye tere sar per musarat honay aya hoon."
"Aur yeh mere kis gunah ki saza hai?" Mainay muskuratay hoye pocha.
"Bhai tujhe aitraz hai tw btade!"
"Arey nahi nahi! Pagal ho mein tw mazak ker raha tha."
"Haan tw mein bhi tujhe hi janay ko kehne wala tha." Usne hastay hoye kaha.Zaid ne mujhe apnay anay ki jab wajhay btayi, tw mein hairaan tha, "Bhai tu Zaid hi haina?"
"Bako mat! Acha yeh btao Humaima se baat kerne ke baray mein socha?"
"Abay kahan yaar! Himmat hi nahi hoti." I sighed. "Tumne Farasha ke ghar rishta bheja tha na. Uska kya hoa?"
"Mana kerdiya madam ne."
"Oh..."
"Acha suno! Mein Humaima se baat kerne ki koshish keroon. I mean ke woh tumhe ek dafa tumhari beti dekhne de."
"Kya woh maan jaye gi?"
"Koshish kerne mein kya harj hai?"
End of David's POV"Woh Atarah hai na?"Mainay mall mein uski taraf ishara kerte hoye kaha.
"Arey haan! Per yeh kis ke saath hai?" Urosa ne hairangi se pocha.
"Yeh tw David ke--"
"Aur yeh Rida ne kaha tha, Humaima Rida ki batoon per dehan de ker khud ko aziyat na do."
"Lekin woh pictures-"
"Jab woh itni bari game khel sakti hai tw pictures koi bari cheez nahi."
"Per woh tasweerain photoshopped nahi lag rahin theen."
"Acha bus! Stop thinking about him. The best part is ke tumharay parents tumse naraaz nahi hain. Aur kya chahiye tumhe?"
"Sahi keh rahi ho!" I sighed.Hum log ab alag shift hogaye thay. Aswad bhi wapis agaya tha Urosa ke pass.
Jab mein ghar pohonchi, tw ammi baba mere kamray mein bethe mera intezaar ker rahay tha.
"Assalam O Aliakum!"
"Wa Alaikum Assalam! Beta humain tumse ek zarori baat kerni hai."
"Jee kahiye."
"Tumhe ab shadi kerleni chahiye!" Baba ne kaha.
"Per Baba! Yeh kaisay hosakta hai. Meri ek beti hai, mein kaisay shadi kersakti hoon."
"Beta mard ke baghair aurat ki zindagi na mukamal hoti hai. Aur jo gunah tumse hogaya hai. Usse tumhe hi sudharna haina."
"Lekin meri ek shart apko man ni peray gi. Phir ap jisse kahain gay mein shadi kerne ko tyaar hojaon gi."
"Kaho beta?"
"Rida ko wapas ghar leayein!"
"Lekin beta!" Ammi ne kaha.
"Jo ghalti meri dafa mein ki hai, woh Rida ke saath mar keray ga. Woh kaheen kuch aisa na kerle, jiske liye hum khud ko maaf na kersakain."
"Theek hai beta! Mein Rida ko leaon ga. Per tumhe tunhari aapi ke dewar se shadi kerni hogi."
"Per Baba woh mujhse shadi kyun keray ga?"
"Uski bhi divorce hochuki hai. Ek beti hai 6 mahine ki."
"Mujhe qabool hai! Bus woh meri beti ko apna naam dede."Author's Note:
Yeh kya Humaima shadi ker rahi hai?
Ab David kaisay react keray ga?
Kya woh Humaima ko Jannat dedega? Ya cheen lega?
YOU ARE READING
Khuda Rooh aur Khuwaish
SpiritualWINNER OF THE DESI AWARDS 17 ALHUMDULLILAH June 2017 to February 2018 . "Itna bharosa hai tumhe usper? itni mohobat hai usse? Tum kyun sab kuch qurbaan kerdena chahti ho uskeliye?" Surprisingly Baba was not mad at me. woh pereshan thay. "I am sorr...