Chapter 21

115 31 34
                                    

Assalam O Aliakum 🌹
Finally yeh chapter likh hi liya mainay huh! It was really difficult to write. I was actually crying with Humaima.
Please leave your feedback!

Happy Reading 🌹 🌹 🌹

"Maima ek mint! Ammi ki call hai tumhari." Urosa ne mujhe chup keratay hoye kaha.
"Speaker per kerdo yaar! Arsa hoa unki awaaz sunay."
Usne phone speaker per kerdiya.
"Assalam O Aliakum aunty!"
"Wa Alaikum Assalam beta! Woh darasal hamain tumhe yeh inform kerna tha ke hamri flight 2 din baad ki hai."
"Lekin Aunty Rida tw bol rahi thi ke ap log next week anay walay hain."
"Nahi woh darasal hum Rida ko surprise dena chah rahay hain. Beta tum usse kuch batana mat."
"Jee aunty. Koi issue nahi. Mein usse kuch nahi btaon gi."
"Khuda Hafiz beta! Apna khayal rakhna."
"Khuda Hafiz."

Meri ankoon mein ansoo se. Per khushi ke ansoon thay. Itne arsay baad ammi ki awaaz sun ker dil se khushi hoi thi mujhe.

Rida's POV
Ammi abbu ke anay mein sirf 4 din reh gaye hain, aur mein nahi janti ke kya kerna hai? Kaisay chupaon gi ke Humaima zinda hai? Ya Allah! Mujhe koi rasta dikha.

Neeche se mujhe kuch awaazain sunayi di. Shayad koi aya hai! Ja ker dekhti hoon!

"Ammi abbu aap? Aap log tw 4 din baad anay walay thay na?" Un dono ko wahan dekh ker mere pairon talay zameen nikal gayi.
End of Rida's POV

Mein himmat kerke wahaan gayi.
"Ammi! Baba!" Meri ankoon mein ansoon thay.
"Humaima?" Baba mujhe wahan dekh ker chonk gaye.
Ammi mere pass lapak ker agayein. Unke haath mere chehre per thay. Unhone mere mathay per pyaar kiya. Unki ankhoon ke ansoon rukne ka naam hi nhi lerahay thay. Baba bhi meri taraf aye aur mujhe galay laga liya.
Yeh kya? Ammi Baba mujhse naraaz kaisay nahi hain. Mein tw unke liye mar gayi thi na.

"Rida? Humaima zinda hai? Aur tumhe yeh baat maloom thi. Aur tumne hamain nahi btaya?" Baba ne Rida se pocha.

"Lekin Rida tumne tw kaha tha ke Ammi Baba ne sab se kaha hai ke mein margayi hoon. Rida yeh kya horaha hai?" Mainay usse pocha.
"Hamain tw khud ishi ne btaya tha ke tumhara aur David ka accident hogaya hai America jatay hi." Woh David ka naam lete hoye takleef mein thay. Aur meri ankhain sharam se neeche jhuk gayein.

"Rida kuch poch raha hoon mein?" Baba ne ghusse se usse sawal kiya itne mein Jannat chalti hoyo meri taraf agyi. 'Mumma' Uski awaaz sun ker mein peeche muri.
"Ammi yeh meri beti hai." Ammi air Baba dono Jannat ki taraf berhi, tab Rida ne apni khamoshi tordi.
"Yeh David ki beti hai!" Woh 2 second ruki. "Humaima aur David ki beti. Jo gunah isne kiya, uske samnay mera jurm tw kuch bhi nahi hai."

"Humaima? Tum itne arsay David ke saath thi." Ammi ne sharminda lehjay mein mujhse kaha.
"Ammi Nikah kiya tha mainay usse."
"Yeh Nikah jaiz nahi tha."
"Chor diya ammi mainay usse. Pregnancy mein chordiya usse. Koi taluq nahi hai usse mera ab."

Mein ronay lagi, aur ja ker ammi ke seenay se lag gayi. Kab se chahti thi mein yeh.
Mein siskiyoon ke saath ansoon baha rahi thi. Na janay kitni dair mein ammi ke chipki roti rahi. Phir mein Baba ki taraf berhi. Mein zameen per jhuk gayi aur haath jor ker unse maafi mangnay lagi.
"Baba please mujhe maaf kerdein! Mein janti hoon ke mera gunah maafi ke qabil nahi. Lekin please mujhe maaf kerdein. Jab tak ap mujhe maaf nahi kerain gay. Mera Allah bhi mujhe maaf nahi keray ga. Baba please! Please maaf kerdain mujhe."

Woh zameen per jhukay aur unhonay mere samnay haath jor liye.

"Babaa!"

"Beta qasoor tw mera hai! Zindagi mein kabhi tumhe waqt nahi diya. Tumhari tarbiyat nahi ki. Tumhe sahi ghalt ka farq nahi btaya. Aur jab is Rida ne kaha ke tum is duniya mein nahi tw iska yaqeen kerliya. Meri jaan mujhe tumhe khud dhoondna chahiye tha. Agar mein janta hota ke tum David ke saath reh rahi ho, tw mein tumhe is gunah se bacha leta."

Don't forget to VOTE 😉

Khuda Rooh aur Khuwaish Where stories live. Discover now