Chapter 28

135 29 45
                                    

David's POVMainay akser azaan ki awaaz suni thi, woh awaaz mujhe napasand kabhi bhi nhi thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

David's POV
Mainay akser azaan ki awaaz suni thi, woh awaaz mujhe napasand kabhi bhi nhi thi. Humaima ne bhi Mujhe chor ker janay se thore arsay phele apnay phone per azaan ka app install kerliya tha. Per aaj bohot saloon baad jab yeh awaaz mainay suni, tw ajeeb si khamoshi mere ird gird cha gayi.

"Tu aa bhi gaya?" Zaid ne meri taraf atay hoye kaha.
"Haan! Jaldi agaya nahi?" Mainay apni watch mein time dekhte hoye kaha.
"Acha chal! Chaltay hain!"
"Masjid ke samnay khara hai, abhi azaan hoyi hai. Namaz tw perhle!"
"Per tujhe intezaar kerna peray ga na."
"Tw kya hoa? Apnay Khuda ko kya bolay ga? Ke namaz isliye chordi thi, ke David ko akela kaisay chorta!" Mainay muskuratay hoye uski taraf dekha tha.

Kya mein islam ki taraf raghib horaha houn? Per aisa kaisay hosakta hai? Apna mazhab tw mainay Humaima ke liye bhi nahi chora tha! Nahi! Mein apna mazhab nahi chor sakta! Per yeh bechaini kyun?

End of David's POV

Zaid's POV
David mein yeh change? Agar usne Islam qabool kerliya tw uske aur Humaima ke beech sab sahi hosakta hai. Mujhe is baray mein Farasha se baat kerni chahiye.

"Tum kin khayaloon mein gum ho?" Rida ne meri taraf atay hoye kaha. Ya Allah! Yeh Rida bhi tw zindagi ki ek haqeqat ban gayi hai. Mein kya keroon? Na mein Farasha se mohobat kerna band kersakta hon. Aur na isse mohobat kersakta hoon!

"Mall chalain?" Rida ne mujhse kaha, tw mein usse inkar na ker saka.
"Chalo!"

Hum kafi dair se mall mein ghoom rahay thay, Rida bolay ja rahi thi, aur mein sunay ja raha tha. Mere zehen mein sirf Farasha ka khayal tha.

"Arey Zaid!" Mein yeh awaaz sun ker peeche mura.
"Humaima? Kaisi ho? Long time yaar!"
"Mein theek Alhumdullilah!" Aur achanak uski nazar Rida per peri. "Rida? Tum Zaid ke saath?"
Woh hairan thi Rida ko mere saath dekh ker.

"Tum isko kaisay janti ho?"
"Bhen hai meri! Per tum.." Rida ne meri baat katdi.
"Mein isse shadi kerrhi hoon!"
"Zaid?" Woh 2 second ruki, "tum isse shadi kaisay kersaktay ho? Tum ne tw Farasha?"
"Humaima tum kya bakwas ker rhi ho? Badla le rhi ho na mujhse?" Usne ghusse se kaha.

"Rida araam se! Mere samnay Humaima se aise baat nhi kersakti tum!" Meri is baat ne Rida ko shadeed ghusa diladiya tha.

"Oh tw isse bhi phansaya hua hai tumne" Rida ne apna sara ghussa bechari Maima per utar diya tha.

"Bakwas band kero Rida! Meri best friend hai yeh, bhen samjhta houn mein isse."

Humaima ki ankhoon mein ansoon thay. Rida ki itni ghatiya soch hai mein soch bhi nahi sakta tha.

"Rida tumhari batamezi ke saath tw mein guzara ker sakta tha, per tunhari soch ke saath nahi. Mein koi taluq nhi rakhna chahta tumse."

"Bhar mein jao. Mein bara mar rahi hon tumse shadi kerne ke liye!" Lafzoon ke chata mar ker woh wahan se chali gayi. Mainay bhi zyada dehaan dena zarori nahi samjha, kyunke us waqt mera Humaima se baat kerna zyada zarori tha.

"Mainay suna tumhari divorce ka. Tum theek ho na?"
"Haan! Waisay bhi us rishte ki hasiyat hi kya thi mere dil mein."
"Tw ab kya socha hai?"
"Kis baray mein?" Usne muskuratay hoye kaha.
"Apni takleef mujhse nahi chupasakti tum, theek haina! Chalo kaheen beth ker baat kerte hain."

"Jannat ko kabhi nhi milne do gi kya usse?"
"Kaisa hai woh?"
"Kaisa hosakta hai?"
"Zaid yaaar! Mein kya keroon? Mein kya kerti? Mohobat kerti hoon usse, usse kabhi bhi takleef nahi dena chahti thi... Magar.. Pta nae yaar?" Woh rotay hoye mere galay lag gayi. Mein halkay se uske baal sehlanay laga.

"Maima! Tum roo tw mat!" Woh achanak hi mujhse thora dour hat ker khari hogayi.
"Sorry yaar!"

"It's okay! Bhai hun tumhara."
Usne muskuratay hoye mujhr dekha, baghair kisi jawab ke.
"Mein janta hon, ke tum aur David ek dosre se nahi milna chaho gay. Per ek dafa usse milnay tw do Jannat se."
"Mein Khud yeh chahti hon, magar phir yeh sochti hon, ke agar woh usse mil le ga, usse mehsos kerlega tw mein un dono ko dour nahi kersakti."
"Mein kya bolun ab Yaar!"
"Jo gunah mainay kiya tha uski saza David aur Jannat ko mil rahi hai."

Mein uske ansoon mazeed nahi dekh sakta tha.
"Acha bus! Hum apni baat kerte hain, itnay saloon baad milein hain yaar."
"Arey haan! Tum Rida ke saath kya ker rahay thay?"

Ab isse kaisay btaon ke sirf Farasha ko mohobat ka ehsas dilanay ke liye iski bhen ko istemaal ker raha tha.

"Kahan kho gaye?"
"Propose kiya tha usne mujhe! Shadi kerni tw thi na. Tw why not her?"
"Farasha tayar hai Zaid! Usse mat khona, bohot pyaar kerti hai woh tumse."
"Mein kam kerta hoon kya?"
"Hahahha! Nahi tumhari mohobat per koi shuk nahi mujhe!"

Author's Note:
Assalam O Aliakum!!
Views on the chapter?

Kya Humaima ko Jannat ko David se milne dena chahiye?

Drop down your views! And please press the star for me!

My exams start next week, mere papers achay hojayein. Is per 'Ameen' boldein.

Jazak Allah.

Khuda Rooh aur Khuwaish Where stories live. Discover now