Chapter 16

148 34 20
                                    

David's POV
Din apni riftar se guzar rahay thay. Zindagi agar ab bohot mushkil nahi thi, tw bohot asaan bhi nahi thi. Agar zindagi mein sakoon nahi tha, tw bechaini bhi nahi thi.

Aaj mein Atarah ke saath mall mein tha. Uske baby ke liye hum shopping ker rahay thay.

Ek waqt tha jab mein aur Humaima hamari beti ke liye shopping kerte thay. Aur ek yeh waqt hai jab mainay apni beti ko dekha bhi nahi hai. Mein tw bilkul hi toot gaya tha. Agar Atarah meri zindagi mein na ati tw mein abhi tak apne aap ko sambhal nahi pata.

"Kin sochon mein gum ho tum?" Atarah coffee liye mere kamray mein daakhil hoyi.
"Thankyou 😌 Maima bhi rooz raat mein mere liye coffee zaroor banati thi."
Woh mere pass aker beth gayi.
"David, har cheez mein Humaima ko mat dhondoon."
"Hmmm." Kya keron mein? Humaima meri pheli mohobat hai.  Mainay apne aap se zyada mohobat ki hai usse. Kaisay bhool jaon usse?
"Ab kya soch rahay ho tum?" Atarah ne pocha.
"Aaj mall mein jab hum coffee shop mein bethe thay, tw mujhe laga wahan kaheen aas pass Humaima hai."
"Acha tw tum isliye uth ker gaye thay?"
"Haan mainay usse dhondne ki koshish ki per mujhe koi bhi nhi dikha."
"Acha choro! Tum yeh btao coffee kaisi bani hai?"
"Bohot achi hai. Tum janti ho ke coffee tum gooroon se bhi achi banati ho." I smiled at her.
"Lekin Humaima se achi nahi." She smiled.

Sahi kaha usne. Humaima ki tw har cheez mein perfection hai. 2 saal hogaye hain Maima tumse alag hoye. Aaj bhi na janay kyun darwazay per is umeed se dekhta hoon ke tum shyd wapis ajao.
Janta hoon ke tumharay liye aaj sab se phele tumhara mazhab hai. Lekin kya keroon mein? I miss you Maima! I want you back in my life. Mein ek baar apni beti ko dekhna chahta hoon. Bus ek baar dikhado usse mujhe Maima.

"Kya soch rhi ho Atarah?" Jab raat mein pani peene gaya tw Atarah TV lounge mein bethi hoi thi.
"Kuch nae bus aise hi." Uski ankhoon mein ansoon thay.
"Kyun roo rahi ho?"
"Soch rahi thi ke kash mainay tumse mohobat na ki hoti David."
I stayed silent and she continued.
"Agar tumse mohobat na hoti. Tw kabhi bhi Farhan se shadi na kerti. Mainay Farhan se shadi sirf isliye ki thi ke tumne bhi ek musalman larki se shadi ki hai.... Per aajj.. Aaj mujhe Farhan se jab mohobat hogayi tw usne mujhe chor diya."
"Farhan ne kyun chora tumhe. Tum pregnant ho. Usse is baat ka bhi lehaaz nahi."
"Mazhab ke liye. Woh chahta hai ke mein convert hojaon. Lekin mein convert nhi hoon gi."
"Ek baar soch lo. Bohot khoobsorat mazhab hai Islam. Mainay Humaima ke dil mein uski talab dekhi hai. Quraan perhne ke baad usko jo sakoon milta tha, woh sakoon mainay  mehsoos kiya hai."
"Tw tum kyun nhi musalaman hogaye?" Uski is bat ka mere pass koi jawab nahi tha.

Mohabbat ki kahani mein
Kaha ye mord Aty hain
Ke Jinn Ko Dil Mein Rakhtein Hai
Wohi dil tor jatein hain

End of David's POV

Rida's POV
I am sorry Humaima. Per mainay bhi tw tumhari wajhay se Faris khoya tha. Jab mein uske liye tarapi hoon tw tum bhi David ke liye tarpo gi.

[Flashback starts]
"Tumhe samjh kyun nahi ata ke Faris tumse mohobat nhi kerta." Ammi ne mujhe samjhatay hoye kaha tha.
"Kyun? Kyun Ammi? Kya kami hai mujhmein?" Mainay rotay hoye ammi ki goud mein apna sar rakh diya tha.
"Beta usne bachpan se Maima ko chaha hai."
"Lekin ab tw Maima mar chuki hai tw phir. Phir aisa kyun kiya usne?"
"Woh Maima ki choti bhen se kaisay shadi kersakta hai. Beta tum khud hi socho."
[Flashback ends]

Faris ne mujhe tumhari wajhay se thukraya tha Humaima. Faris se mainay tab se mohobat ki thi. Jab mein janti bhi nahi thi ke mohobat kya hoti hai.

Tumhara Naam Le le kar 
Tarpana kiya sulaghna kiya
Muhabbat Tum Jo Ho Jao
Toh Milna Kiya Becharna kiya
Yeh Kia ke tum bnati ho
Bana kar tum mitati ho
Yehi hain chochlein tere
Log mefil chor jatay hain
Jin ko dil main rakhtein hain
Wohi Dil tor jatein hain

"Just wait and Watch Humaima!"

*A/N: Assalam O Aliakum!
David's point of view is here!
Any thoughts about David? Isn't he amazing? 😍

Thankyou so much my readers!!! I am so happy, is liye early update 😍
My novel is #2 in Spiritual!!

Everyone please try out my other novel 'Haya Ka Rasta' It's #1 in Spiritual Alhumdullilah!#feelingblessed

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Everyone please try out my other novel 'Haya Ka Rasta' It's #1 in Spiritual Alhumdullilah!
#feelingblessed

Khuda Rooh aur Khuwaish Where stories live. Discover now