Chapter 27

114 29 15
                                    

Rida's POV
"Zaid mujhe tumse kuch kehna hai!"
"Haan kaho Rida?"
Mein ab apnay ghar wapis achuko thi.
Na janay yeh Humaima ka ehsan tha ya badla.
"Tumne mera saath tab diya, jab mere apnoon ne mujhse moo morliya tha. Agar tum na hotay tw na janay mein kis tarha Khud ko aur apni izzat ko sambhalti."
"Arey yaar! Isme konsi bari baat hai. Farz tha yeh tw mera."
"Na janay kab mujhe tumse mohobat hogayi. Mein kuch bhi nhi janti tumharay baray mein. Siwaye iske ke mera dil tumharay naam per gawahe deta hai."
"Pasand tw mujhe bhi ho tum. Aur aaj se nahi, balkay tab se jab mein tumse pheli dafa park mein mila tha."

Zarori tw nahi hai ke zindagi guzarnay ke liye, kisi se mohobat ho. Agar woh shkhs humse mohobat kerta hai. Tab zindagi zyada haseen guzarti hai.
End of Rida's POV

"Mein majboor hun Humaima, per mujhe tumhe talaq deni hogi. Hosakay tw mujhe maaf kerdena." Usne mujhe talaq ke kaghaz thamaye aur wahan se chala gaya.
"Meim khud bhi apko btadena chahti thi ke Atarah ne islam qabool kerliya hai, Mein khush hoon ap dono ke liye."

Mera usse sirf kaghazi rishta tha. Per phir bhi mere upper ek daagh lag gaya tha. Ek aur daagh. Jisse mein chah ker bhi nhi hata sakti thi.
Ammi Abbu wahan khare nadamat se mujhe dekh rahay thay.

"Kash mein tumhari qismat likh sakti Maima!" Ammi ne mere pass aker, mujhe galay lagatay hoye kaha.
"Ammi ap aise na kahain please!"
"Beta! Tumne zindagi mein kya kuch jhela hai."
"Ammi mainay kuch bhi nhi jhela, mainay jo gunah kiya tha yeh uski saza hai."
"Phir bhi beta.."
"Allah Talah apnay bandoon se 70 maaaon se zyada mohobat kerta hai, tw woh kaisay apnay kisi bhi banday ki taqdeer ghlt likhsajta hai. Ammi yeh mera imtehaan hai. Aur mujhe isme pass hona hai."

Abbu dour kharay mujhe dekh ker muskura rahay thay. Phir woh chaltay hoye mere pass aye.
"Beta mein tumharay andar yeh tabdeeli dekh ker bohot khush hoon."

Aaj phir kitne arsay baad mein Jannat ke saath sorahi thi. Usko apni ankhoon ke Samnay dekh ker ek ajeeb sa sakoon tha.
Isha ki namaaz perhnay ke baad. Mein jaanemaaz per hi lait gayi. Meri ankhain nend mein doobi hoyein theen, lekin mujhe aisa lag raha tha ke agar mein jaanemaaz per se uth gayi tw saara sakoon ghayab hojaye ga.

Ya mere Allah! Mujhe maafi ka koi rasta dikha! Mein thuk gayi hoon, apnay gunahoon ka mazeed bojh nahi uthaparhi. Mein darti hoon, ke tere maaf kiye baghair hi kaheen is duniya se na chali jaoon.

Illahi teri chokhat pe bhikari ban ke aya hoon
Sarapa faqr o ijz o nadamat saath laya hoon
Bhikari woh ke jiske pass jhooli hai na pyala hai
Bhikari woh jisse hirs o hawis ne maar dala hai
Teri chokhat ke har adaab se haath hain khali
Yeh tera dar hai, tere mehr ka darbaar hai Mola

Yeh naat aaj bohot saloon baad mere laboon per thi. Har result se phele mein aise hi jaanemaaz per beth ker roo roo ker yeh naat perhtay hoye duayein mangti thi.

رَبَّنََآ إنَّنَآ ءَاَمنَّا فَاغْفِرْ لَنَا ذُنُوبَنَا وَ قِنَا عَذَابَ النَّارِ

(Our Lord! we have indeed believed: forgive us, then, our sins, and save us from the agony of the Fire)
[surah Ali' Imran; 3:16]


*Author's Note:
Assalam O Aliakum everyone!!
Chapter kaisa tha?

Kya yeh sahi hoa Humaima ke saath?
Please drop down your views!

Please mere exams ke liye dua kijiye 😇😇

Guzar chali thi dabay e paon sham e tanhai
Tera khayal jo aya tw ankh bhar ayi...
~MahaSohail03


Shayiri kaisi lagi?
Achi haina?

Then Check out MahaSohail03 's book: "Poetry From Heart And Soul"

You will definitely find some amazing shayiris there!


Khuda Rooh aur Khuwaish Where stories live. Discover now